Search
Sections
< All Topics
Print

02. ROZE KI NIYAT [Intention for fasting]

02. ROZE KI NIYAT

Tamam aamaal ka daar o madar niyat par hai lehaza Roze ki qubooliyat ke liye achchi niyat ka hona zaroori hai.

Allah ka farmaan hai:

قُلْ أَتُعَلِّمُونَ اللَّهَ بِدِينِكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۚ وَاللَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ​

Tarjumah: Keh dijye ki kya tum Allah ko apni deendaari se aagaah kar rahe ho, Allah har us cheez se jo aasmaano mein or zameen mein hai bakhoobi aagaah hai. Or Allah har cheez ka jaanne waala hai.

(Surah Al-Hujuraat, Surah No: 49 Ayat No: 16)

Goya naam le kar apne aamaal ko bataane ki zaroorat nahi.

Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:

حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ الزُّبَيْرِ، قَالَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، قَالَ حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ الأَنْصَارِيُّ، قَالَ أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ التَّيْمِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ عَلْقَمَةَ بْنَ وَقَّاصٍ اللَّيْثِيَّ، يَقُولُ سَمِعْتُ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ـ رضى الله عنه ـ عَلَى الْمِنْبَرِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ:‏ إِنَّمَا الأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ​

Tarjumah: Alqamah Bin Waqqaas Al-Laithi bayan karte hain ki maine Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Mimbar e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallahu Anhu ki zabaan se suna, wo farma rahe the ke maine Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farma rahe the ki tamaam aamaal ka daar o madaar niyat par hai aur har amal ka nateeja har insaan ko uski niyat ke mutaabiq hi milega, pas jiski hijrat (tark e watan) doulat e dunya (duniya ki daulat) hasil karne ke liye ho ya kisi aurat se shaadi ki gharz ho, pas uski hijrat un hi cheezon ke liye hogi jinke hasil karne ki niyat se usne hijrat ki hai.

(Sahih Bukhari: 1)

Niyat ka talluq dil se hai lehaza alfaaz ke zariye zabaan se bol kar niyat karna bidat hai. Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:

وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَكُلُّ ضَلَالَةٍ فِي النَّارِ

Tarjumah: Har bidat gumraahi hai aur har gumraahi aag (jahannam) mein le jaayegi.

(Sunan Nasai: 1578)

Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

Aamaal ki qubooliyat ke liye zabani alfaaz ki nahi balki sachchi niyat (ikhlaas) aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ki pairwi ki zaroorat hai. Jis ka zikr Allah ke is farmaan mein hai:

فَمَنْ كَانَ يَرْجُو لِقَاءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلًا صَالِحًا وَلَا يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدًا​

Tarjumah: To jise bhi apne parwardigar se milne ki arzoo ho use chahiye ke nek aamaal kare aur apne parwardigar ki ibadat mein kisi ko bhi shareek na kare.

(Surah Al-Kahf, Surah No: 18 Ayat No: 110)

Poore Ramadhan ki ikaththe (ek saath) niyat karna durust nahi hai balki har Roze ki alag alag niyat kare. Niyat ka waqt Maghrib ke baad se Fajr tak hai. Is douran kisi bhi waqt Roze ki niyat kar le.

Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai:

عَنْ حَفْصَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ:‏ مَنْ لَمْ يُبَيِّتِ الصِّيَامَ مِنَ اللَّيْلِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ​

Tarjumah: Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jo shakhs raat ke waqt Roze ki niyat na kare uska Roza nahi.

(Sunan Nasai: 2334)
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

عَنْ حَفْصَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ : مَنْ لَمْ يُجْمِعِ الصِّيَامَ قَبْلَ الْفَجْرِ فَلاَ صِيَامَ لَهُ​

Tarjumah: Ummul Momineen Hafsa Radhiallahu Anha se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jis ne Fajr hone se pehle Roze ki niyat nahi ki us ka Roza nahi hoga.

(Sunan Abi Dawood: 2454)
Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko sahih kaha hai.

In dono Ahadees se jahan is baat ka ilm hota hai ke har Roze ki niyat alag alag honi chahiye wahien yeh baat bhi maloom hoti hai ke Roze ki niyat ka waqt raat se le kar Fajr tak hai.

Logon mein Roze ki niyat ke alfaaz maroof (famous) hain woh alfaaz kuch tarah se hain:

نویت أن أصوم غدا

(main kal ka Roza rakhne ki niyat karta hun)

بِصَوْمٍ غَدٍ نَّوَیْتُ

(kal ke Roze ki niyat karta hun)

وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَیْتَ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ

(aur main Ramadhan maheene ke kal ke Roze ki niyat karta hun)

Niyat ke yeh mukhtalif alfaaz kisi Hadees se saabit nahi balki is talluq se koi Zaeef ya Mauzoo’ riwayat bhi nahi milti. Niyat ke alfaaz khud hi batlate hain ke hum khudsaakhta (khud se banaye huwe) hain. In alfaaz mein lafz “ghad (غد)” (jo ke kal ke meaning mein hai) kaise sahih ho sakta hai jabki Roza aaj ka hota hai.

Tambeeh:

Kuch log ummat ko niyat ke naam par aise aamaal ka dars dete hain jo na sirf mashaqqat ki wajah bante hain balki aamaal ke barbaad hone ka bhi sabab hain. Main ne suna hai ke kitne log is liye Namaz nahi padhte ke unhein namaz ki khudsaakhta (khud se banaayi hue, banawti) niyat nahi aati.

REFERENCE:
BOOK: “Ramazaan ke kuch Ahkaam-o-Masael”
Taleef: “Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafidhahullah”
Roman Transliteration by: Umar Asari

Intention for fasting

 

 

إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ، وَإِنَّمَا لِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى، فَمَنْ كَانَتْ هِجْرَتُهُ إِلَى دُنْيَا يُصِيبُهَا أَوْ إِلَى امْرَأَةٍ يَنْكِحُهَا، فَهِجْرَتُهُ إِلَى مَا هَاجَرَ إِلَيْهِ “

 

Narrated ‘Umar bin Al-Khattab:

I heard Allah’s Messenger (ﷺ) saying, “The reward of deeds depends upon the intentions and every person will get the reward according to what he has intended. So whoever emigrated for worldly benefits or for a woman to marry, his emigration was for what he emigrated for.”

 

[Bukhari: 01]



قُلْ أَتُعَلِّمُونَ ٱللَّهَ بِدِينِكُمْ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ مَا فِى ٱلسَّمَـٰوَٰتِ وَمَا فِى ٱلْأَرْضِ ۚ وَٱللَّهُ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمٌۭ ١٦

 

Say, “Do you inform Allah of your faith, when Allah ˹already˺ knows whatever is in the heavens and whatever is on the earth? And Allah has ˹perfect˺ knowledge of all things.

 

[Surah Hujurat:49: 16]

 


[2] Can You Utter Intention for Fasting Out Loud?


Summary of answer

 

Fasting in Ramadan and other acts of worship are not valid unless accompanied by the proper intention and it is not prescribed to utter it out loud.

 

Answer

 

 

Praise be to Allah.

Do you have to say intention for fasting?

The Ramadan fast and other acts of worship are not valid unless accompanied by the proper intention. This is because the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: “Actions are but by intentions, and everyone shall have but that which he intended…” (Narrated by al-Bukhari, 1; Muslim, 1907) 

When to make intention for fasting

The intention is subject to the condition that it be made at night, before the dawn comes. This is because the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: “Whoever does not intend to fast before dawn, there is no fast for him.” (Narrated by al-Tirmidhi, 730)

According to a version narrated by al-Nasai (2334): “Whoever does not intend to fast from the night before, there is no fast for him.” (Classed as hasan by al-Albani in Sahih al-Tirmidhi, 573)

What is meant is that whoever does not intend to fast and resolve to do so from the night before, his fast is not valid. 

Is uttering the intention for fasting out loud required?

The intention (niyyah) is an action of the heart. The Muslim should resolve in his heart that he is going to fast tomorrow. It is not prescribed for him to utter it out loud and say, “I intend to fast” or “I will fast tomorrow” or other phrases that have been innovated by some people. 

How to formulate the intention to fast

The correct intention is when a person resolves in his heart that he is going to fast tomorrow. 

Hence Shaykh al-Islam Ibn Taymiyah said in al-Ikhtiyarat (p. 191): 

“If it crosses a person’s mind that he is going to fast tomorrow, then he has made the intention.”

The Standing Committee was asked: How should a person intend to fast Ramadan

They replied: 

“The intention is done by resolving to fast. It is essential that the intention to fast Ramadan be made every night.” (Fatawa al-Lajnah al-Daimah, 10/246)

And Allah knows best.

 

REFERENCES:
[1] Quran.com & Sunnah.Com
[2] https://islamqa.info/en/answers/37643/can-you-utter-intention-for-fasting-out-loud

 

 

Table of Contents