30. RAMAZAANUL MUBARAK KUCH AHAM SABAQ DETE HUE HAM SE RUKHSAT HO GAYA
RAMAZAANUL MUBARAK KUCH AHAM SABAQ DETE HUE HAM SE RUKHSAT HO GAYA
Jin Haalat Se Aaj Duniya Guzar Rahi Hai Unki Taarikh Raqam Hoti Ja Rahi Hai Aane Wali Nasle Hamari Taarikh Parhengi Aur Jaae Gi Ke Isme Unke Liye Bahut Kuch Asbaaq Paae Jate Hai Mumkin He Mustaqbil Behtar Banane Ke Liye Apni Islaah Bhi Kare. Un Naslo Ko Aane Me Abhi Waqt He Pehle Hame Yaha Se Guzarna Hoga Lekin Sawaal Hamare Liye Bhi Bahut Aham He Ke Ham Ne Raqam Hoti Hui Aaj Ki Taarikh Se Kiya Kuch Sikha Aur Sabaq Liya?
Ramazaan Aaya Aur Jaise Laga Lamho Me Ham Se Rukhsat Ho Gaya Magar Iski Barkate Saal Bhar Khatam Nahi Hoti Bashart Yah Ke Haasil Karne Walo Ne Maah e Khair Aur Falaah Se Waqai Sa’adat Aur Barkat Haasil Ki Ho Allah Ka Farmaan He:
قد أفلح من تزكى وذكر اسم ربه فصلى.(اعلى:١٤-١٥)
Tarjumah:- Beshak Usne Kaamiyabi Paai Jo Paak Ho Gaya Aur Jis Ne Apne Rab Ka Naam Yaad Rakha Aur Namaaz Parhta Raha.
Is Aayat Ki Tafseer Me Allama Ibne Kaseer RH Ne Likha He Ke Jis Ne Apne Nafs Ko Bure Akhlaaq Se Paak Kiya Jo Kuch Allah Ne Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Par Naazil Kiya Uski Tabedari Ki Allah Ki Khushi Aur Uske Ahkaam Aur Shariat Ki Paasdaari Karte Hue Namaaz Ko Apne Waqto Par Qaim Kiya Woh Kaamiyaab Ho Gaya.
Is Aayat Ko Aayat E Siyaam Ke Lafz
لعلكم تتقون۔
Taaki Tum Parhezgaar Ban Sako. Se Jod Kar Dekhte Hai To Hame Maloom Hota He Ke Maah E Siyaam Aur Uski Ibaadate Moamino(Isme Naam Ke Musalmaan Daakhil Nahi He) Ko Gunaaho Se Paak Aur Aur Nafs Ko Parhezgaar Bana Deti Hai. Hame Allah Ki Bepaya Rehmato Se Ummid He Ke Is Maah Me Moamino Ki Magfirat Ho Gai Hogi Aur Ham Kaamiyaab Hone Walo Me Se Ho Jaaenge. In Sha Allah
Abhi Hamaari Magfirat Ho Gai Aur Ham Gunaaho Se Paak Ho Gae Lekin Yaad Rakhiye Masiyat Ka Irtikaab Karne Se Fir Ham Gunehgaar Aur Allah Ke Mujrim Ho Jaaenge Is Liye Apne Nafs Ko Paak Rakhna Aur Usi Tahaarat Aur Paakizgi Par Khud Ko Baqi Rehna Bahut Hi Aham Masala He Jo Aksar Ki Nazro Se Ojhal Hota He. Zara Gaur Farmaae Ke Allah Ne Kaamiyabi Ke Liye Kiya Kaha He? Allah Farmata He Ke Beshak Usne Falaah Paai Jo Paak Ho Gaya Aur Jis Ne Apne Rab Ka Naam Yaad Rakha Aur Namaaz Parhta Raha.
Yaha Namaaz Se Muraad 5 Waqt Namaazo Ko Apne Waqto Par Qaim Karna Aur Uski Muhafizat Karte Rehna He Jaisa Ke Mukhtalif Mufassereen Ne Is Aayat Ki Tafseer Me Zikar He. Matlab Yah Hua Ke Asal Kaamiyabi Uski He Jo Allah Ke Ahkaam Aur Shariat Ki Paasdaari Karta Aur Uski RAZA Ke Liye Hamesha Namaazo Ki Pabandi Karte Rehta He Kisi Khaas Mauqa Se Ibaadat Kar Lena Kamaal Nahi He Balke Sada Ibaadat Par Qaim Rehna Kamaal He Aur Yahi Matloob Moamin Bhi He Jaisa Ke Allah Ka Farmaan He:
فاستقم كما أمرت.(هود:١١٢)
Tarjumah:- Pas Ay Muhammad! Tum Aur Tumhare Woh Sathi Jo(Kufr Aur Bagaawat Se Imaan Aur Ta’at Ki Taraf)Palat Aae Hai Thik Thik Raahe Rasat Par Saabit Qadam Raho.
Yahi Baat Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Ek Mauqa Se Sawaal Karne Wale Sahaabi Sufiyaan Bin Abdullah RA Ko Bataai Jab Unhone Aap Se Sawaal Kiya Ke Mujhe Islaam Ki Ek Aysi Baat Batlaae Ke Fir Aap Ke Baad Kisi Se Uske Mutalliq Sawaal Na Karu To Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
قل آمنت باللہ ثم استقم۔(صحیح مسلم:38)
Kaho Mera Rab Allah He Aur Usi Par Qaim Raho.
Is Liye Guzarte Hue Ramazaan Se Ek Aham Sabaq Yah Milta He Ke Bilashuba Ramazaan Guzar Gaya He Magar Allah Ka Zikar Baqi Uska Deen Aur Uski Ibaadat Baqi He, Ham Uski Hamd O Sana Karte Rahenge Uske Deen Par Chalte Rahenge Aur Uski Ibaadat Marte Dam Tak Karte Rahenge Jaisa Ke Farmaan E Ilaahi He:
واعبد ربک حتی یأتيك اليقين.(الحجر:٩٩)
Tarjumah:- Aur Apne Rab Ki Ibaadat Karte Rahe Yaha Tak Ke Aap Ko Maut Aa Jaae.
Corona Haalat Ki Wajah Se Ramazaanul Mubarak Me Masaajid Band Ho Jane Se Ham Sab Kabeeda Khaatir The Aaj Bhi Is Wajah Se Ham Me Maayusi He Magar Allah Ke Deen Me Bari Kushadgi Aur Tasalli Ka Samaan He Yahi Guzishta Aayat Dekhe Jo Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ki Tasalli Ke Liye Is Waqt Naazil Hui Jab Mushrekeen Makka Aap Ko Tarah Tarah Se Sataate Aap Ka Mazaaq Udaate Aur Deewana Paagal Keh Kar Takleef Pohnchate The Is Se Aap Ko Ranjeeda Aur Kabida Khaatir Ho Jate Allah Ne Aap Ko Tasalli Dete Hue Tasbeeh Bayaan Karne Aur Sajdah Ka Hukam Diya. Aap Ko Kaha Apne Rab Ke Liye Namaaz Parhte Rahe Aur Uske Liye Sajdah Aur Tasbeeh Me Lage Rahe Usi Me Aap Ko Qalbi Sukoon Mile Ga Aur Ayse Aap Ko Allah Ki Madad Bhi Milti Rahe Gi.
Jis Tarah Allah Ne Gam Aur Malaal Ke Mauqe Par Apne Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ko Ibaadat Aur Zikar Ke Zariya Dhaharas Bhandaai He Isi Tarah Usme Hamari Tasalli Ka Bhi Samaan He Ham Se Rab Ki Ibaadat Matloob He Lihaza Ham Jaha Bhi Rahe Aur Jis Haal Me Rahe Apne Parwardigaar Ki Hamd O Sana Bayaan Karte Rahe Aur 5 Waqt Namaaz Ki Muhafizat Karte Rahe Us Se Dil Ko Sukoon Mile Ga Aur Allah Ki Madad Haasil Rahe Gi.
Aaj Ke Haalaat Aur Ramazaanul Mubarak Se Aam Musalmano Ko Yah Sabaq Mila Ke Ham Ne Deen Ke Woh Zaroori Ahkaam Bhi Nahi Sikhe The Jin Se Waasta Rozmarra Ka He Yahi Wajah He Ke Ramazaan Jaise Ibaadat Ke Mausam Me Kitne Ghar Tilaawat Namaaz Aur Qayamul Lail Se Sune Honge Kuy Ke Unke Ghar Koi Namaaz Parhane Wala Nahi Aur Koi Quraan Janna Wala Nahi Tha Kiya Yah Corona Hame Sabaq Deta He Ke Deen Ko Itna Ham Me Se Har Koi Sikhe Jo Kam Az Kam Ibaadat Ke Liye Kaafi Ho?
Masaajid Band Ho Jane Me Un Logo Ke Liye Lamha Fikriya He Jo Sirf Jum’a Ki Ibadat Karte The Unse Musalsal Jum’a Chhut Raha He Yaha Tak Ke Ramazaanul Mubarak Ke Jum’a Bhi Chhut Gae. Ayse Logo Ke Liye Nasihat He Ke Namaaz Sirf Hafta Me Farz Nahi He Balke Din Aur Raat Me 5 Martaba Farz He Yah Baat Deen Me Likhi Hui Pehle Se Maujood He Aur Aaj Corona Ki Wajah Se Isqaat E Jum’a Aur Jama’at Ne Ahsaas Bhi Dila Diya. Ay Kaash Ke Ham Nasihat Haasil Kare.
Is Tarah Ke Beshumaar Asbaaq Mil Jaaenge Lekin Meri Nazar Me 3 Aham The Jin Ka Mene Zikar Kiya He Uska Khulasa Yah He Ke Corona Ke Is Daur Me Ramazaan Se Ek Sabaq To Yah Mila Ke Jo Ke Har Ramazaan Ka Sabaq He Ke Hamari Kaamiyaabi Dar Asal Usme He Ke Panjwaqta Namaazo Ki Muhafizat Karte Rahe Ge Chaahe Qaid Rahe Ya Aazaad Rahe.
Dusra Sabaq Yah Ke Dunyawi Uloom Ke Sath Sath Deen Ki Buniyaadi Ta’leem Bhi Haasil Kare Taaki Khud Se Bhi Rab Ki Bandagi Uski Hamd O Sana Aur Qur’an Ki Tilaawat Kar Sake Kitni Ajeeb He Ke Duniya Ki Badi Se Badi Degree Haasil Karne Ke Bawajood Hame Namaaz Parhna Aur Quraan Ki Tilaawat Karna Na Aae.
Teesri Baat Yah He Ke Jo Log Deen Par Apni Marzi Se Amal Karte The Woh Sambhal Jaae Rab Ki Is Taur Bandagi Kare Jis Tarah Karne Ka Hukam Hua He.
Allah Se Dua He Ke Woh Ramazaan Me Anjaam Diye Gae Hamare Aamal Ko Qabool Farma Kar Use Hamari Najaat Ka Zariya Banaae Ham Se Corona Ki Waba Door Kar De Aur Hame Marte Dam Tak Apni Bandagi Ki Taufeeq Se Nawaaze. Aameen
REFERENCE:
Book: “Ramzaniyaat”
Tahreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah”
رمضان المبارک کچھ اہم سبق دیتے ہوئےہم سےرخصت ہوگیا
جن حالات سے آج دنیا گزر رہی ہےان کی تاریخ رقم ہوتی جارہی ہے ، آنے والی نسلیں ہماری تاریخ پڑھیں گی اور جانیں گی کہ اس میں ان کے لئے بہت کچھ اسباق پائے جاتے ہیں،ممکن ہے مستقبل بہتربنانے کے لئے اپنی اصلاح بھی کرے۔ان نسلوں کو آنے میں ابھی وقت ہے ،پہلے ہمیں یہاں سے گزرنا ہوگا لیکن سوال ہمارے لئے بھی بہت اہم ہے کہ ہم نے رقم ہوتی ہوئی آج کی تاریخ سے کیا کچھ سیکھااور سبق لیا؟
رمضان آیا اور جیسے لگا لمحوں میں ہم سےرخصت ہوگیامگر اس کی برکتیں سال بھر ختم نہیں ہوتیں بشرطیکہ حاصل کرنے والوں نےماہ خیر وفلاح سے واقعی سعادت وبرکت حاصل کی ہو۔ اللہ کا فرمان ہے : قَدْ أَفْلَحَ مَن تَزَكَّىٰ وَذَكَرَ اسْمَ رَبِّهِ فَصَلَّىٰ (الأعلى:14-15)
ترجمہ: بے شک اس نے فلاح پائی جو پاک ہوگیا اور جس نے اپنے رب کا نام یاد رکھا اور نماز پڑھتا رہا۔
اس آیت کی تفسیر میں علامہ ابن کثیر رحمہ اللہ نے لکھا ہے کہ جس نے اپنے نفس کو برے اخلاق سے پاک کیا۔ جوکچھ اللہ نے رسول اللہ ﷺ پر نازل کیا اس کی تابعداری کی۔ اللہ کی رضا اوراس کے احکام وشریعت کی پاسداری کرتے ہوئے نماز کو اپنے وقتوں پر قائم کیا وہ کامیاب ہوگیا۔انتہی۔
اس آیت کو آیت صیام کے لفظ” لعلکم تتقون ” (تاکہ تم پرہیزگار بن سکو)سے جوڑ کر دیکھتے ہیں تو ہمیں معلوم ہوتا ہے کہ ماہ صیام اور اس کی عبادتیں مومنوں(اس میں نام کے مسلمان داخل نہیں ہیں) کو گناہوں سے پاک اور نفس کو پرہیزگاربنادیتی ہیں ۔ ہمیں اللہ کی بے پایاں رحمتوں سے امیدہے کہ اس ماہ مبارک میں مومنوں کی مغفرت ہوگئی ہوگی اور ہم کامیاب ہونے والوں میں سے ہوجائیں گے ۔ ان شاء اللہ
ابھی ہماری مٖغفرت ہوگئی اور ہم گناہوں سے پاک ہوگئے لیکن یاد رکھیئے معصیت کا ارتکاب کرنے سے پھر ہم گنہگار اور اللہ کے مجرم ہوجائیں گے اس لئے اپنے نفس کو پاک رکھنااور اسی طہارت وپاگیزگی پر خود کوباقی رہنا بہت ہی اہم مسئلہ ہے جو اکثر کی نظروں سے اوجھل ہوتا ہے ۔ ذرا غورفرمائیں کہ اللہ نے کامیابی کے لئے کیا کہاہے ؟ اللہ فرماتا ہے کہ “بے شک اس نے فلاح پائی جو پاک ہوگیا اور جس نے اپنے رب کا نام یاد رکھا اور نماز پڑھتا رہا”۔یہاں نمازمراد سے پنچ وقتہ نمازوں کو اپنے وقتوں پر قائم کرنا اور اس کی محفاظت کرتے رہناہےجیساکہ مختلف مفسرین نے اس آیت کی تفسیر میں ذکر ہے ۔ مطلب یہ ہوا کہ اصل کامیابی اس کی ہے جو اللہ کے احکام وشریعت کی پاسداری کرتااوراس کی رضا کے واسطے ہمیشہ نمازوں کی پابندی کرتے رہتا ہے ۔ کسی خاص موقع سےعبادت کرلینا کمال نہیں ہے بلکہ سداعبادت پر قائم رہنا کمال ہے اور یہی مطلوب مومن بھی ہے جیساکہ اللہ کا فرمان ہے :
فَاسْتَقِمْ كَمَا أُمِرْتَ (هود: 112)
ترجمہ: پس اے محمد!تم اور تمہارے وہ ساتھی جو (کفر و بغاوت سے ایمان و طاعت کی طرف) پلٹ آئے ہیں، ٹھیک ٹھیک راہ راست پر ثابت قدم رہو۔
یہی بات نبی ﷺ نے ایک موقع سے سوال کرنے والے صحابی سفیان بن عبداللہ رضی اللہ عنہ کو بتائی جب انہوں نے آپ سے سوال کیا کہ مجھے اسلام کی ایک ایسی بات بتلائیں کہ پھرآپ کے بعد کسی سے اس کے متعلق سوال نہ کروں۔تو آپ ﷺ نے فرمایا: “قل آمنت بالله ، ثم استقم “(صحیح مسلم :38)کہو میرا رب اللہ ہے اور اسی پر قائم رہو۔
اس لئے گزرتے ہوئے رمضان سے ایک اہم سبق یہ ملتا ہے کہ بلاشبہ رمضان گزرگیا ہے مگر اللہ کا ذکر باقی ، اس کا دین اور اس کی عبادت باقی ہے ، ہم اس کی حمدوثنا کرتےرہیں گے ، اس کے دین پر چلتے رہیں گے اور اس کی عبادت مرتے دم تک کرتے رہیں گے جیساکہ فرمان الہی ہے :
وَاعْبُدْ رَبَّكَ حَتَّىٰ يَأْتِيَكَ الْيَقِينُ (الحجر:99)
ترجمہ:اور اپنے رب کی عبادت کرتے رہیں یہاں تک کہ آپ کو موت آجائے ۔
کورونا حالات کی وجہ سے رمضان المبارک میں مساجد بندہوجانےسے ہم سب کبیدہ خاطر تھے،آج بھی اس وجہ سے ہم میں مایوسی ہے مگر اللہ کے دین میں بڑی کشادگی اور تسلی کا سامان ہے ، یہی گزشتہ آیت دیکھیں جو نبی ﷺ کی تسلی کے لئےاس وقت نازل ہوئی جب مشرکین مکہ آپ کو طرح طرح سے ستاتے، آپ کا استہزا کرتے اور دیوانہ پاگل کر تکلیف پہنچاتے تھے ، اس سے آپ کو رنجیدہ اور کبیدہ خاطرہوجاتے ۔ اللہ نے آپ کو تسلی دیتے ہوئے تسبیح بیان کرنے اور سجدہ کرنے کا حکم دیا ۔ آپ کو کہا اپنے رب کے لئے نماز پڑھتے رہیں اور اس کے لئے سجدہ وتسبیح میں لگے رہیں اسی میں آپ کو قلبی سکون ملے گا اوریوں آپ کو اللہ کی مددبھی ملتی رہے گی ۔
جس طرح اللہ تعالی نے حزن وملال کے موقع پراپنے نبی ﷺ کوعبادت وذکر کے ذریعہ ڈھارس بندھائی ہے اسی طرح اس میں ہمار ی تسلی کا بھی سامان ہے ۔ ہم سے رب کی عبادت مطلوب ہے لہذا ہم جہاں بھی رہیں اور جس حال میں رہیں اپنے پروردگار کی حمدوثنا بیان کرتے رہیں اور پنچ وقتہ نمازوں کی محافظت کرتے رہیں اس سے دل کو سکون ملے گا اور اللہ کی مدد حاصل رہے گی ۔
آج کے حالات اور رمضان المبارک سے عام مسلمانوں کو یہ سبق ملا کہ ہم نے دین کے وہ ضروری احکام بھی نہیں سیکھے تھے جن سے واسطہ روزمرہ کاہے ، یہی وجہ ہے کہ رمضان جیسےعبادت کے موسم میں کتنے گھر نماز،تلاوت اور قیام اللیل سے سونے ہوں گے کیونکہ ان کے گھر کوئی نماز پڑھانے والا نہیں اورکوئی قرآن جاننے والے نہیں تھا ۔کیا یہ کورونا ہمیں سبق نہیں دیتا ہے کہ دین کو اتنا ہم میں سے ہرکوئی سیکھے جو کم ازکم عبادت کے لئے کافی ہو؟
مساجد بند ہوجانے میں ان لوگوں کے لئے لمحہ فکریہ ہے جو صرف جمعہ کی عبادت کرتے تھے ، ان سے مسلسل جمعہ چھوٹ رہا ہے حتی کہ رمضان المبارک کے جمعہ بھی چھوٹ گئے ۔ ایسے لوگوں کے لئے نصیحت ہے کہ نماز صرف ہفتہ میں فرض نہیں ہے بلکہ دن ورات میں پانچ دفعہ فرض ہے ، یہ بات دین میں لکھی ہوئی پہلے سےموجود ہے اور آج کورونا کی وجہ سےاسقاط جمعہ وجماعت نے احساس بھی دلادیا ۔اے کاش کہ ہم نصیحت حاصل کریں۔
اس طرح کے بے شمار اسباق مل جائیں گے لیکن میری نظر میں تین اہم تھے جن کا میں نے ذکر کیا ہے ۔ اس کا خلاصہ یہ ہے کہ کورونا کے اس دور میں رمضان سے ایک سبق تو یہ ملاجوکہ ہررمضان کا سبق ہے کہ ہماری کامیابی دراصل اس میں ہے کہ پنچ وقتہ نمازوں کی محافظت کرتے رہیں گے خواہ قید رہیں یا آزاد رہیں ۔دوسرا سبق یہ ہے کہ دنیاوی علوم کے ساتھ ساتھ دین کی بنیادی تعلیم بھی حاصل کریں تاکہ خود سے بھی رب کی بندگی ، اس کی حمد وثنا اور قرآن کی تلاوت کرسکیں ۔ کتنی عجیب ہے کہ دنیا کی بڑی سے بڑی ڈگری حاصل کرلینے کے باوجود ہمیں نماز پڑھنا اور قرآن کی تلاوت کرنا نہ آئے ۔ تیسری بات یہ ہے کہ جو لوگ دین پر اپنی مرضی سے عمل کرتے تھے وہ سنبھل جائیں ، رب کی اس طور بندگی کریں جس طرح کرنے کا حکم ہوا ہے ۔
اللہ سے دعا ہے کہ وہ رمضان میں انجام دئے گئے ہمارے اعمال کو قبول فرماکراسے ہماری نجات ذریعہ بنائے ، ہم سے کورونا کی وبا دورکردے اور ہمیں مرتے دم تک اپنی بندگی کی توفیق سے نوازے۔ آمین
تحریر: مقبول احمد سلفی
اسلامک دعوۃ سنٹر(مسرہ) طائف، سعودی عرب