Search
Sections
< All Topics
Print

14. RAMAZAAN KA ISTIQBAAL KAISE KARE?

Ramadhan ka isteqbaal kaise karen?

Ramadhan ul Mubarak ki aamad aamad hai, har taraf momin ke andar is ke mutalliq izhaar e masarrat hai. Yeh woh mubarak maheena hai jis ka intezaar ek momin saal bhar karta hai kiunki yeh neki, barkat, bakhshish, inaayat, taufeeq, ibadat, zuhd, taqwa, murawwat, khaksaari, masawaat, sadqa wa khairat, razaa e ilaahi, jannat ki basharat, jahannum se chutkaare ka maheena hai. Is muqaddas maheene mein momin ke andar fikr e aakhirat ke zariya Rabb se mulaqaat ki khwahish bedaar hoti hai. Subhanallah! Is qadar pakeeza aur mohtaram maheena. Yeh Rabb ki taraf se us par imaan laane walon ke liye azeem tohfa hai. Ab hamara yeh farz banta hai ke is azeem-ush-shaan maheene ka isteqbaal karen aur umda tareeqe se is maheene ke fawaaid aur barkaat se apne daaman ko nekiyon ke moti se bhar len? Neeche Ramadhan ul Mubarak ki tayaari se mutalliq chand ahem baton ki taraf rahnumaayi ki jaa rahi hai jin se is maah e mukarram ka sa’adatmandi ke saath isteqbaal kar sakte hain.

✵Ramadhan ka isteqbaal kaise karen?✵

Apne zehen mein zara tasawwur paida karen ke jab aap ke ghar kisi bade mehmaan ki aamad hoti hai to aap kya karte hain? Aap ka jawaab hoga. Hum bohat saari tayyariyan karte hain. Ghar aangan ko khoob sajaate hain, khud bhi un ke liye zeenat ikhtiyaar karte hain, poore ghar mein khushi ka maahol hota hai, bachchon ke lab pe naghme, chehre pe khushi ke aasaar hote hain. Mehmaan ki khaatir tawazo’ (aao bhagat) ke liye anginat (beshumaar) pur takalluf samaan tayyar kiye jaate hain. Jab ek mehmaan ke liye is qadar tayyari to mehmanon mein sab se aala aur Rabb ki taraf se bheja huwa mehmaan ho to us ki tayyari kis qadar purzor honi chaahiye? Aaiye is tayyari se mutalliq aap ke liye ek mukhtasar khaaka pesh karta hun.

➊ Azmat ka ehsaas:

Ramadhan ka maheena be-had azeem hai, is ki azmat ka ehsaas aur qadr o manzilat ka lihaaz Ramadhan ke aane se pehle hi zehen o dimaagh mein bitha liya jaaye taake jab Ramadhan mein daakhil hon to ghaflat, susti, be-tawajjohi, na-qadri, na-shukri, ehsaan faramoshi, roze aur qiyaam se be-raghbati ke bure awsaaf na paida hon.

Yeh itne azmat aur qadr wala maheena hai ke is ki ek raat ka naam hi qadr o manzilat hai:

إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ۞ وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ۞ لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ۞ تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ۞ سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ​

Tarjumah: Beshak hum ne ise (Quran) ko shab e Qadr mein nazil farmaaya. Aur Aap ko kya maloom ke shab e Qadr kya hai. Shab e Qadr hazaar maheeno se behtar hai. Is (mein har kaam) ke sar anjaam dene ko apne Rabb ke hukm se farishte aur Rooh (Jibraeel) utarte hain. Yeh raat salamti ki hoti hai aur Fajr ke tulu’ hone tak (rehti hai).

{Surah Al-Qadr: Surah No: 97 (Mukammal)}

Aap yeh na samjhein ke Ramadhan ki ek raat hi qadr ki raat hai balke is ka har din aur har raat qadr o manzilat ka haamil hai.

➋ Ne’mat ka ehsaas:

Ramadhan jahan Rabb ka mehmaan hai wahein us ki taraf se ek azeem ne’mat bhi hai. Aam taur se insaan ko us ne’mat ka ehsaas kam hi hota hai jo haasil ho jaati hai lekin jo nahi mil paati us ke liye tadapta rehta hai. Ek beena ko aankh ki ne’mat ka ehsaas kam hota hai is liye us ka istemaal film dekhne aur buraayi ke mushaahde mein karta hai. Agar use yeh ehsaas ho ke yeh Rabb ki bahut badi ne’mat hai is ki qadr karni chaahiye to kabhi apni aankh se buraayi ka idraak na kare. Beena ki ba-nisbat andhe ko aankh ki ne’mat ka ehsaas ziyadah hota hai. Yeh farq imaan mein kami ka sabab hai. Jis ka imaan mazboot hoga woh har ne’mat ki qadr karega. Imaan ka taqaza hai ke hum Ramadhan jaise muqaddas maheene ki ne’mat ka ehsaas karen. Aur is ehsaas ka taqaza hai ke is ne’mat par Rabb ki shukr-guzaari ho jaisa ke Allah ka farmaan hai:

وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِنْ شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِنْ كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ​

Tarjumah: Aur jab tumhaare parwardigaar ne tumhein aagaah kar diya ke agar tum shukr-guzaari karoge to be-shak main tumhein ziyadah dunga aur agar tum na shukri karoge to yaqeenan mera azaab bahut sakht hai.

(Surah Ibrahim, Surah No: 14 Ayat No: 7)

Mazeed Allah ka farmaan hai:

أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ بَدَّلُوا نِعْمَتَ اللَّهِ كُفْرًا وَأَحَلُّوا قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ۞ جَهَنَّمَ يَصْلَوْنَهَا ۖ وَبِئْسَ الْقَرَارُ​

Tarjumah: Kya Aap ne un ki taraf nazar nahi daali jinhon ne Allah ki ne’mat ke badle na shukri ki aur apni qaum ko halakat ke ghar mein laa utaara. Yani dozakh mein jis mien yeh sab jayenge, jo badtareen thikaana hai.

(Surah Ibrahim, Surah No: 14 Ayat No: 28-29)

Ne’mat mein Ramadhan jaisa maheena naseeb hone ki bhi ne’mat hai aur sehat o tandurusti is pe mustazaad hai. In ne’maton ka ehsaas kiun na karen ke in ne’maton ke badle hamein har qism ki neki ki taufeeq milti hai. Roza, namaz, sadqa, khairaat, dua, zikr, inabat e ila-llallah, tauba, tilawat, mughfirat, rehmat waghera in ne’maton ki den hai.

➌ Inabat e ila-llallah (Allah ki taraf rujoo’ karna):

Jab hum ne apne dil mein mehmaan ki azmat bahaal kar li, is azeem ne’mat ki qadr o manzilat ka bhi ehsaas kar liya to ab hamara yeh fareeza banta hai ke duniya se rukh mod kar Allah ki taraf laut jaayen. “Inabat e ila-llallah” azmat aur ne’mat ke ehsaas mein mazeed quwwat paida karegi. Allah ki taraf lautna sirf Ramadhan ke liye nahi hai balki momin ki zindagi hamesha Allah ke hawaale aur us ki marzi ke hisaab se guzarni chaahiye. Yahan sirf bataur e tazkeer zikr kiya jaa raha hai ke kahin aisa na ho ke banda Rabb se door ho kar roze ke naam par sirf bhook aur piyaas bardasht kare. Agar aisa hai to roze ka koi faida nahi. Pehle Rabb ki taraf lauten, us se talluq joden aur us ko raazi karen phir hamari saari nekiyan qubool hongi.

Inabat e ila-llallah se meri murad yeh hai ke hum Rabb par sahih taur se imaan laayen, imaan billah (Allah par imaan) ko mazboot karen, ibadat ko Allah ke liye khaalis karen, Rabb par mukammal aitemaad karen, Allah ko saare jahan ka haakim manen, khud ko us ka faqeer aur mohtaaj jaanen, kisi ghareeb aur miskeen ko hiqaarat ki nazar se na dekhen, nadaaron ki madad karen, bemari aur museebat mein Allah hi ki taraf rujoo’ karen. Yeh saari baatein inabat e ila-llallah mein daakhil hain. Bahut se log hain jo namaz bhi padhte hain, roze bhi rakhte hain, lambe lambe qiyaam ul lail (raat ka qiyaam) karte hain magar ghairullah ko pukaarte hain, Allah ko chor kar doosron ko mushkil kusha samajhte hain. Bemari aur museebat mein murdon se istighasa (madad talab) karte hain. Un logon ka roza kaise qubool hoga? Goya aise aqeede walon ka mukammal Ramadhan aur us ki nekiyan barbaad ho gaien. Allah Taala ka farmaan hai:

وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ​

Tarjumah: Aur be-shak tumhari taraf aur tum se pehle (nabiyon) ki taraf yeh wahi ki gayi hai ke agar (ba-farz e mahaal) tum ne shirk kiya to bila-shuba tumhara amal barbaad ho jayega aur tum yaqeenan khasara paane walon mein se ho jaaoge.

(Surah Az-Zumar, Surah No: 39 Ayat No: 65)

Is liye is baat ko achchi tarah zehen nasheen kar len.

➍ Pesh qadmi:

Is ke do pehlu hain.

Munkar (buraayi) se bachna

Maroof (bhalaayi) ki raghbat

① Munkar se bachna: Ramadhan ke isteqbaal mein ek ahem pehlu yeh hai ke hum pehle apne pichle gunaahon se sachchi tauba karen aur aindah gunaah na karne ka azm e musammam (pukhta iraada) kar len. Dekha jaata hai ke log ek taraf neki karte hain to doosri taraf buraayi karte hain. Is tarah aamaal ka zakheera nahi ban paata balki buraayi ke samandar mein hamaari nekiyaan doob jaati hain. Waise bhi hamaare paas nekiyon ki kami hai woh bhi barbaad ho jaaye to neki karne ka faida kya? Is liye neki ki agar hifazat chaahte hain aur Ramadhan ul Mubarak ki barkaton, rehmaton, ne’maton, bakhshishon aur hasanat ko bachaana chaahte hain to buraayi (gunaahon) se mukammal taur par bachna padega.

Allah taala ka farmaan hai:

قُلْ أَنْفِقُوا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا لَنْ يُتَقَبَّلَ مِنْكُمْ ۖ إِنَّكُمْ كُنْتُمْ قَوْمًا فَاسِقِينَ​

Tarjumah: Keh dijiye ke tum khushi ya na khushi kisi tarah bhi kharch karo qubool to hargiz na kiya jaayega yaqeenan tum fasiq log ho.

(Surah At-Taubah, Surah No: 9 Ayat No: 53)

Is aayat se pata chalta hai ke Allah Taala fisq o fujoor aur na pasandeedgi se kharch karne ki wajah se sadqa ko qubool nahi karta.

Aur Hadees mein hai Sahaba bayan karte hain:

كُنَّا مَعَ بُرَيْدَةَ فِي يَوْمٍ ذِي غَيْمٍ، فَقَالَ: بَكِّرُوا بِالصَّلَاةِ؛ فَإِنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: مَنْ تَرَكَ صَلَاةَ الْعَصْرِ حَبِطَ عَمَلُهُ​

Tarjumah: Hum abar ke din ek martaba Buraidah bin Hussaib Radhiallahu Anhu Sahabi ke saath the, unhon ne farmaaya ke Namaz sawere padha karo. Kiunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jis ne Asr ki Namaz chori us ka amal akaarat (barbaad) ho gaya.

(Sahih Bukhari: 594)

Jo aadmi ibadat bhi kare aur gunaah ka kaam bhi kare to is mein koi shak nahi ke us ka nek amal mardood hai:

إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ​

Tarjumah: Yaqeenan namaz be hayaayi aur buraayi se rokti hai.

(Surah Al-Ankaboot, Surah No: 29 Ayat No: 45)

Is mein koi shak nahi ke namaz behayaai aur buraayi ke kaamon se rokti hai to jo namaz ya roza behaayi se na roke woh Allah ke yahan qaabil e radd hai.

② Maroof ki raghbat: Ramadhan bhalaayi kamaane ke liye hai, Allah Taala mominon ko kayi tareeqe se is maheene mein bhalaayi se nawaazta hai, hamein un bhalaaiyon ke husool ki khatir Ramadhan se pehle hi tayyar ho jaana chaahiye aur mawaaqi e hasanaat se mustafeed hone ke liye riza aur raghbat ke saath ek khaaka tayyar karna chaahiye taaki har qism ki bhalaaiyan sameet saken. Samajh kar Quran padhne ka ihtimaam (kam se kam ek khatam), paanch (5) waqt ki namazon ke alawah nafli ibadaat, sadqa aur khairaat, zikr o azkaar, dua aur munajaat, talab e afw o darguzar, qiyaam ul lail ka khaas khayaal, roze ke masail ki ma’rifat saath saath Ramadhan ke mustahab aamaal, duroos o bayanaat mein shirkat, aamaal e saliha par mehnat o mashaqqat aur zohd o taqwa se musallah hone ka mukammal khaka tarteeb den aur is khaake ke mutaabiq Ramadhan ul Mubarak ka roohaani aur muqaddas maheena guzaaren.

Ramadhan mein har cheez ka sawab do guna ho jaata hai aur roze ki haalat mein sawaab ka kaam karna mazeed izafa e hasanat ka baa’is hai, is liye is mausam mein ma’mooli neki bhi badi ahmiyat rakhti hai chaahe miswaak ki sunnat hi kiun na ho. Har namaz ke liye miswaak karna, azaan ka intezaar karna balki pehle se Masjid mein haazir rehna, taraweeh mein pesh pesh rehna, neki ki taraf doosron ko da’wat dena, duroos o muhaazraat ka ihtimaam karna, munkaraat ke khilaaf muhim joyi karna aur saleh mu’ashra ki tashkeel ke liye koshish karna sabhi hamare khaake ka hissa hon.

➎ Behtar tabdeeli:

Isteqbaal e Ramadhan ke liye khud ko mukammal tayyar karen, neki ka jazba kaseer miqdaar mein ho aur apne andar achchaayi ke mutalliq abhi se hi badlaao nazar aaye. Pehle se ziyadah sachchaayi aur neki ki raah ikhtiyaar kare. Ramadhan chunki Ramadhan hai is liye is se pehle hi behtari ka izhaar shuru hone lag jaaye. Taqwa ke asbaab apnaaye aur khud ko muttaqi insaan banaane par ibadat ke zariye koshish karne ka mukhlisaana jazba bedaar kare. Yahan yeh baat bhi nahi bhoolni chaahiye ke apne andar behtari paida karne ki khoobi aur khaassa sirf Ramadhan ke liye nahi balki saal bhar ke liye paida kare. Aise bahut se log hain jo Ramadhan ke namazi huwa karte hain aur Ramadhan rukhsat hote hi namaz se balki yeh kahen ke Allah se hi ghaafil ho jaate hain. Is liye abhi se hi yeh koshish rahe ke achchaayi ke liye badlaao maheena bhar ke liye nahi saal bhar balki zindagi bhar ke liye ho. Isi tarah ka badlaao Ramadhan ke saare aamaal ko Allah ke huzoor sharf e qabooliyat se nawaazega aur aap ki ukharwi zindagi ko behtar se behtar karega.

❀Aakhri paighaam:❀

Ramadhan ke isteqbaal ke liye koi khaas dua, khaas ibadat aur roza ya koyi makhsoos tareeqa Shari’at mein waarid nahi huwa hai. Hadees mein Ramadhan ke isteqbaal mein ek do din pehle ka roza rakhna mana hai. Lehaza deen mein kisi tarah ki bidat ke irtikaab se khud bhi bachen aur doosron ko bhi bachayen.

Allah Taala hamein Ramadhan ka behtareen isteqbaal karne, is maheene se har tarah ka faida uthaane ka mauqa faraham kare aur Ramadhan mein kasrat se aamaal e saliha anjaam dene ki taufeeq de aur in aamaal ko akhirat mein najaat ka zariya banaaye. Aameen.

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

رمضان کا استقبال کیسے کریں؟

 

رمضان المبارک  کی آمد آمد  ہے ، ہر طرف مومن کے اندر اس کے تئیں اظہار مسرت ہے ۔ یہ وہ مبارک مہینہ  ہےجس کا انتظار مومن آدمی سال بھر کرتاہے کیونکہ یہ نیکی،برکت،بخشش،عنایت،توفیق،عبادت،زہد،تقوی،مروت،خاکساری،مساوات، صدقہ وخیرات،رضائے مولی،جنت کی بشارت،جہنم سے گلوخلاصی  کا مہینہ ہے ۔ اس ماہ مقدس میں مومن کے اندرفکرآخرت کے ذریعہ رب سے ملاقات کی خواہش بیدار ہوتی ہے ۔سبحان اللہ اس قدر پاکیزہ ومحترم مہینہ ۔یہ رب کی طرف سے اس پر ایمان لانے والوں کے لئے عظیم تحفہ ہے ۔ اب ہمارا یہ فرض بنتا ہے کہ اس ماہ عظیم الشان کا کیسے استقبال کریں اور کس عمدگی سے اس مہینے کے فیوض وبرکات سے اپنے دامن کو نیکیوں کے موتی بھرلیں؟

 

رمضان کا استقبال کیسے کریں؟

 

اپنے ذہن میں ذرا تصور پیدا کریں کہ جب آپ کے گھر کسی اعلی مہمان کی آمد ہوتی ہے تو آپ کیا کرتے ہیں؟   آپ کا جواب ہوگا۔ہم بہت ساری تیاریاں کرتے ہیں۔ گھرآنگن  کو خوب سجاتے ہیں، خود بھی ان کے لئے زینت اختیار کرتے ہیں، پورے گھر میں خوشی کا ماحول ہوتاہے ، بچوں کے لب پہ نغمے،چہرے پہ خوشی کے آثار ہوتے ہیں۔ مہمان کی خاطرتواضع کےلئے ان گنت پرتکلف سامان تیار کئے جاتے ہیں۔ جب ایک مہمان کے لئے اس قدر تیاری تو مہمانوں میں سب سے اعلی اور رب کی طرف سے بھیجا ہوا مہمان ہو تو اس کی تیاری کس قدر پرزور ہونی چاہئے ؟  آئیے اس تیاری سے متعلق آپ کے لئے ایک مختصر خاکہ پیش کرتا ہوں ۔

 

(1)عظمت کا احساس

 

رمضان کا مہینہ بیحد عظیم ہے ، اس کی عظمت کا احساس اور قدرومنزلت کا لحاظ آمد رمضان سے قبل ہی ذہن ودماغ میں پیوست کرلیاجائے تاکہ جب رمضان میں داخل ہوں تو غفلت،سستی،بے اعتنائی،ناقدری،ناشکری، احسان فراموشی  اور صیام وقیام سے بے رغبتی کے اوصاف رذیلہ نہ پیدا ہوں۔

یہ اتنی عظمت وقدر والا مہینہ ہے کہ اس کی ایک رات کا نام ہی قدرومنزلت ہے ۔

إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ (1) وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ (2) لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ (3) تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ (4) سَلَامٌ هِيَ حَتَّى مَطْلَعِ الْفَجْرِ (5) (سورة القدر)

ترجمہ: بیشک ہم نے قرآن کو لیلة القدر یعنی باعزت وخیروبرکت والی رات میں نازل کیا ہے ۔اورآپ کو کیا معلوم کہ لیلةالقدرکیا ہے ۔لیلة القدر ہزار مہینوں سے بہتر ہے۔اس رات میں فرشتے اور جبریل روح الامین اپنے رب کے حکم سے ہر حکم لے کر آترتے ہیں۔ وہ رات سلامتی والی ہوتی ہے طلوع فجر تک ۔

آپ یہ نہ سمجھیں کہ رمضان کی ایک رات ہی قدر کی رات ہے بلکہ اس کا ہردن اور ہررات قدرومنزلت کا حامل ہے ۔

 

(2) نعمت کا احساس

 

رمضان جہاں رب کا مہمان ہے وہیں اس کی طرف سے ایک عظیم نعمت بھی ہے ۔ عام طور سے انسان کو اس نعمت کا احساس کم ہی ہوتا ہے جو حاصل ہوجاتی ہے لیکن جو نہیں مل پاتی اس کے لئے تڑپتا رہتا ہے ۔ ایک بینا کو آنکھ کی نعمت کا احساس کم ہوتا ہے اس لئے اس کا استعمال فلم بینی اور برائی کے مشاہدے میں کرتاہے ۔ اگر اسے یہ احساس ہو کہ یہ رب کی بہت بڑی نعمت ہے اس کی قدرکرنی چاہئے تو کبھی اپنی آنکھ سے برائی کا ادراک نہ کرے ۔ بینا کی بنسبت اندھے کو آنکھ کی نعمت کا احساس زیادہ ہوتا ہے ۔ یہ فرق ایمان میں کمی کا سبب ہے ۔ جس کا ایمان مضبوط ہوگا وہ ہرنعمت کی قدر کرے گا ۔ایمان کا تقاضہ ہے کہ ہم رمضان جیسے مقدس مہینے کی نعمت کا احساس کریں ۔ اور اس احساس کا تقاضہ ہے کہ اس نعمت پہ رب کی شکرگذاری ہوجیساکہ اللہ کا فرمان ہے ۔

وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِن شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِن كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ(ابراهيم: 7)

ترجمہ: اور جب تمہارے پروردگار نے تمہیں آگاه کر دیا کہ اگر تم شکر گزاری کرو گے, تو بیشک میں تمہیں زیاده دوں گا اوراگر تم ناشکری کرو گے تو یقیناً میرا عذاب بہت سخت ہے۔

اللہ کا فرمان ہے : أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِينَ بَدَّلُواْ نِعْمَةَ اللّهِ كُفْرًا وَأَحَلُّواْ قَوْمَهُمْ دَارَ الْبَوَارِ، جَهَنَّمَ يَصْلَوْنَهَا وَبِئْسَ الْقَرَارُ{ابراہیم :28-29}

ترجمہ : کیا آپ نے انکی طرف نظر نہیں ڈالی جنھوں نے اللہ تعالی کی نعمت کے بدلے ناشکری کی اور اپنی قوم کو ہلاکت کے گھر میں لا اتارا ،یعنی جہنم میں جسمیں یہ سب جائیں گے جوبدترین ٹھکانہ ہے ۔

نعمت میں رمضان جیسا مہینہ نصیب ہونے کی بھی نعمت ہے اور صحت وتندرستی  اس پہ مستزاد ہے۔ان نعمتوں کا احساس کیوں نہ کریں ، کہ ان نعمتوں کے بدلے ہمیں ہرقسم کی نیکی کی توفیق ملتی ہے ۔ روزہ،نماز،صدقہ،خیرات،دعا،ذکر،انابت الی اللہ ،توبہ،تلاوت، مغفرت،رحمت وغیرہ ان نعمتوں کی دین ہے ۔

 

(3) انابت الی اللہ

 

جب ہم نے اپنے دل میں مہمان کی عظمت بحال کرلی، اس عظیم نعمت کی قدرومنزلت کا بھی احساس کرلیا تو اب ہمارا یہ فریضہ بنتا ہے کہ دنیا سے رخ موڑ کے اللہ کی طرف لوٹ جائیں ۔ “انابت الی اللہ” عظمت اور نعمت کے احساس میں مزید قوت پیدا کرے گی۔ اللہ کی طرف لوٹنا صرف رمضان کے لئے نہیں ہے بلکہ مومن کی زندگی ہمیشہ اللہ کے حوالے اور اس کی مرضی کے حساب سے گذرنی چاہئے ۔ یہاں صرف بطور تذکیر ذکر کیا جارہاہے کہ کہیں ایسا نہ ہو بندہ رب سے دور ہوکر روزہ کے نام پہ صرف بھوک اور پیاس برداشت کرے ۔ اگر ایسا ہے تو روزے کا کوئی فائدہ نہیں ۔ پہلے رب کی طرف لوٹیں ، اس سے تعلق جوڑیں اور اس کو راضی کریں پھر ہماری ساری نیکی قبول ہوں گی  انابت الی اللہ سے میری مراد، ہم رب پر صحیح طور ایمان لائیں، ایمان باللہ کو مضبوط کریں، عبادت کو اللہ کے لئے خالص کریں، رب پہ مکمل اعتماد کریں، اللہ کو سارے جہاں کا حاکم مانیں، خود کو اس کا فقیر اور محتاج جانیں ، کسی غریب ومسکین کو حقارت کی نظر سے نہ دیکھیں ،ناداروں کی اعانت کریں،بیماری ومصیبت میں اسی کی طرف رجوع کریں۔ یہ ساری باتیں انابت الی اللہ میں داخل ہیں۔ بہت سے لوگ ہیں جو نماز بھی پڑھتے ہیں،روزہ بھی رکھتے ہیں، لمبے لمبے قیام اللیل کرتے ہیں مگر غیراللہ کوپکارتے ہیں، اللہ کو چھوڑ کو اوروں کو مشکل کشا سمجھتے ہیں ۔ بیماری اور مصیبت میں مردوں سے استغاثہ کرتے ہیں۔ ان لوگوں کا روزہ کیسے قبول ہوگا؟ گویا ایسے عقیدے والوں کا مکمل رمضان اور اس کی نیکیاں ضائع ہوگئیں۔ اللہ تعالی کا فرمان لاریب ہے ۔

وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ (الزمر:65)

ترجمہ : یقیناً تیری طرف بھی اور تجھ سے پہلے (کے تمام نبیوں) کی طرف بھی وحی کی گئی ہے کہ اگر تو نے شرک کیا تو بلاشبہ تیرا عمل ضائع ہو جائے گا اور بالیقین تو زیاں کاروں میں سے ہو جائے گا۔

اس لئے اس بات کو اچھی طرح ذہن نشیں کرلیں۔

 

(4) پیش قدمی

 

اس کے دو پہلو ہیں ۔ (الف)منکر سے اجتناب (ب) معروف کی رغبت

(الف) منکر سے اجتناب: رمضان کے استقبال میں ایک اہم پہلو یہ ہے کہ ہم پہلے اپنے گذشتہ گناہوں سے سچی توبہ کریں اور آئندہ گناہ نہ کرنے کا عزم مصمم کرلیں۔ دیکھا جاتا ہے لوگ ایک طرف نیکی کرتے ہیں تو دوسری طرف بدی کرتے ہیں ۔ اس طرح اعمال کا ذخیرہ نہیں بن پاتا بلکہ بدی کے سمندر میں ہماری نیکیاں ڈوب جاتی ہیں ۔ ویسے بھی ہمارے پاس نیکی کی کمی ہے وہ بھی ضائع ہوجائے تو نیکی کرنے کا فائدہ کیا؟ اس لئے نیکی کو اگر بچانا چاہتے ہیں اور رمضان المبارک کی برکتوں، رحمتوں، نعمتوں، بخششوں اور نیکیوں کو بچانا چاہتے ہیں تو بدی سے مکمل اجتناب کرنا پڑے گا۔

اللہ تعالی کا فرمان ہے ۔

قُلْ أَنْفِقُوا طَوْعًا أَوْ كَرْهًا لَنْ يُتَقَبَّلَ مِنْكُمْ إِنَّكُمْ كُنْتُمْ قَوْمًا فَاسِقِينَ (التوبة:53)

ترجمہ: کہہ دیجئے کہ تم خوشی یا ناخوشی کسی بھی طرح خرچ کروقبول تو ہرگز نہ کیا جائے گا، یقینا تم فاسق لوگ ہو۔

اس آیت سے پتہ چلتا ہے کہ اللہ تعالی فسق وفجور اور ناپسندیدگی سے خرچ کرنےکی وجہ سے صدقہ کو قبول نہیں کرتا۔

اورحدیث میں ہے صحابہ بیان کرتے ہیں :

كنا معَ بُرَيدَةَ في يومٍ ذي غَيمٍ، فقال : بَكِّروا بالصلاةِ، فإن النبيَّ صلَّى اللهُ عليه وسلَّم قال : مَن ترَك صلاةَ العصرِ حَبِط عملُه(صحيح البخاري:594)

کہ ہم لوگ بریدہ رضی اللہ عنہ کے ساتھ کسی غزوۂ میں بارش والے دن تھے تو انہوں نے کہا کہ نماز عصر جلدی پڑھو، اس لیے کہ نبی اکرمﷺ نے فرمایا ہے : جو شخص عصر کی نماز چھوڑ دے تو اس کا (نیک) عمل ضائع ہو جاتا ہے۔

جو آدمی عبادت بھی کرے اور گناہ کا کام بھی کرے تو اس میں کوئی شک نہیں کہ اس کا نیک عمل مردود ہے ۔” إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَى عَنِ الْفَحْشَاء وَالْمُنكَرِ “(العنکبوت :45)

اس میں کوئی شک نہیں کہ نماز بےحیائی وبرائی کے کام سے روکتی ہے توجونمازیا روزہ بے حیائی سے نہ روکے وہ اللہ کے یہاں قابل رد ہے ۔

 

(ب)  معروف کی رغبت

 

رمضان بھلائی کمانے کے واسطے ہے ، اللہ تعالی مومنوں کو متعدد طریقے سے اس مہینے میں بھلائی سے نوازتاہے ، ہمیں ان بھلائیوں کے حصول کی خاطر رمضان سے پہلے ہی کمربستہ ہوجانا چاہئے اور مواقع حسنات سے مستفید ہونے کے لئے برضا ورغبت ایک خاکہ تیار کرنا چاہئے تاکہ ہرقسم کی بھلائیاں سمیٹ سکیں ۔ سمجھ کر قرآن پڑھنے کا اہتمام(کم از کم ایک ختم) ، پنچ وقتہ نمازوں کے علاوہ نفلی عبادات ، صدقہ وخیرات، ذکرواذکار، دعاومناجات، طلب عفوودرگذر، قیام اللیل کا خاص خیال،روزے کے مسائل کی معرفت بشمول  رمضان کے مستحب اعمال، دروس وبیانات میں شرکت، اعمال صالحہ پہ محنت ومشقت اور زہدوتقوی سے مسلح ہونے کا مکمل خاکہ ترتیب دیں اور اس خاکے کے مطابق رمضان المبارک کا روحانی ومقدس مہینہ گذاریں ۔

رمضان میں ہرچیز کا ثواب دوچندہوجاتا ہے اور روزے کی حالت میں کارثواب کرنا مزید اضافہ حسنات کا باعث ہے ، اس لئے اس موسم میں معمولی نیکی بھی گرانقدر ہے خواہ مسکواک کی سنت ہی کیوں نہ ہو۔ ہر نماز کے لئے مسکواک کرنا، اذان کا انتظار کرنا بلکہ پہلے سے مسجد میں حاضررہنا،تراویح میں پیش پیش رہنا، نیکی کی طرف دوسروں کو دعوت دینا، دروس ومحاضرات کا اہتمام کرنا،منکر ات کے خلاف مہم جوئی کرنا اور صالح معاشرہ کی تشکیل کے لئے جدوجہد کرنا سبھی ہمارے خاکے کا حصہ ہوں۔

 

(5) بہتر تبدیلی

 

استقبال رمضان کے لئے خود کو مکمل تیار کریں، نیکی کا جذبہ وافر مقدار میں ہواور اپنے اندر اچھائی کے تئیں ابھی سے ہی بدلاؤ نظر آئے ۔ پہلے سے زیادہ سچائی اور نیکی کی راہ اختیار کرے ۔ رمضان چونکہ رمضان ہے اس لئے اس سے قبل ہی بہتری  کااظہارشروع ہونے لگ جائے ۔ تقوی کے اسباب اپنائے اور خود کو متقی انسان بنانے پہ عبادت کے ذریعہ جہد کرنے کا مخلصانہ جذبہ بیدار کرے ۔ یہاں یہ بات بھی نہیں بھولنی چاہئے کہ اپنے اندر بہتری پیداکرنے کی خوبی اور خاصہ صرف رمضان کے لئے نہیں بلکہ سال بھر کے لئے پیدا کرے ۔ ایسے بہت سے لوگ ہیں جو رمضان کے نمازی ہواکرتے ہیں اور رمضان رخصت ہوتے ہی نماز سے بلکہ یہ کہیں اللہ سے ہی غافل ہوجاتے ہیں ۔اس لئے ابھی سے ہی یہ راہ مہیارہے کہ اچھائی کے لئے بدلاؤ مہینہ بھر کے لئے نہیں سال بھر بلکہ زندگی بھر کے لئے ہو۔ اسی طرح کا بدلاؤ رمضان کے سارے اعمال کو اللہ کے حضور شرف قبولیت سے نوازے گا اورآپ کی اخروی زندگی کو بہتر سے بہترکرے گا ۔

 

آخری پیغام

 

رمضان کے استقبال کے لئے کوئی خاص دعا، خاص عبادت  وروزہ یا کوئی مخصوص ومتعین  طریقہ شریعت میں وارد نہیں ہواہے ۔ حدیث میں رمضان کے استقبال میں ایک دو دن پہلے کا روزہ رکھنا منع ہے ۔ لہذا دین میں کسی طرح کی بدعت کے ارتکاب سے خود بھی بچیں اور دوسروں کو بھی بچائیں ۔

اللہ تعالی ہمیں رمضان کا بہترین استقبال کرنے ، اس مہینے سے ہرطرح کا فائدہ اٹھانے کا موقع فراہم کرے اور رمضان میں بکثرت اعمال صالحہ انجام دینے  کی توفیق دے اور ان اعمال کو آخرت میں نجات کا ذریعہ بنائے ۔ آمین



تحریر: مقبول احمد سلفی
داعی /مرکزالدعوۃ والارشاد طائف،سعودی عرب

 

 

Table of Contents