Search
Sections
< All Topics
Print

32. A’QEEQAH

‘Aqeeqah 

 

‘Aqeeqah 

 

‘Aqeeqah  ka laghwi ma’nii kaatna hai.

Shara’ee istilah mein naumaulood bachcha ya bachchi ki jaanib se uski paidaish  ke saatwe(7th) din jo khoon bahaya jaata hai, use ‘Aqeeqah  kahte hain. ‘Aqeeqah  karna Sunnat Muakkida hai, aur yeh Rasool Allahﷺ aur Sahaaba Karaam Rizwaan Allahu Ta’la ajma’een se sahih aur mutawatir Ahadees se sabit hai. 

 

 Fehrist:

 

  • ‘Aqeeqah  ki waja tasmia
  • ‘Aqeeqah  ka hukm
  • ‘Aqeeqah  ka waqt
  • ‘Aqeeqah  ki hikmaten 
  • ‘Aqeeqah  ke bajaye raqm sadqa karna jaiz nahi hai.
  • ‘Aqeeqah  mein jaanwar ke ‘ivaz gosht dena durust nahi.
  • ‘Aqeeqah  mein ladke ki taraf se do aur ladki ki taraf se rk janwar zubah karna mashroo hai .
  • ‘Aqeeqah  mein gaaye aur oont zubah karna saabit nahi
  • ‘Aqeeqah  ke janwar ki sharait
  • ‘Aqeeqah  ki taqseem
  • ‘Aqeeqah  ki wajah tasmia :

 

Hafiz ibn Hajr (رحمہ اللہ علیہ ) bayan karte hain ke,”‘Aqeeqah  naumaulud ki taraf se zubah kiye jaane waale janwar ka naam hai aur iske ishtiqaaq mein ikhtilaf hai.” Chunacha Abu Ubaid aur Asma’ii  kahte hain : “‘Aqeeqah  dar-asal maulood ke sar ke wo baal hain, jo wiladat ke waqt uske sar par ugay hotay hain.”

Allama Zamakhshari (رحمہ اللہ علیہ )waghaira ka bayan hai:” Paidaish ke baalon ki maujoodgi mein maulood ki taraf se zubah ki jaane waali bakri  ko ‘Aqeeqah  se mausoom kiya jata hai, kyunke zubah ke waqt yeh baal mondhay jaate hain.”

Imam khatabi RahimahuAllah bayan karte hain: naumauload ki taraf se zubah ki hui bakri  ko ‘Aqeeqah  kaha jaata hai, kyunke (naumaulood ki wiladat par ) uski ragein kaati jaati hain.

(Fatah Albaari :9/726)

 

Imam shaukaani (رحمہ اللہ علیہ ) bayan karte hain:“‘Aqeeqah  woh zabeeha hai, jo naumaulood ki khatir zubah kiya jaata hai. Asal mein ‘Aqeeqah  ka ma’na phaarna  aur kaatna hai aur ‘Aqeeqah  ko ‘Aqeeqah  kahne ki wajah tasmia hai, neez kabhi ‘Aqeeqah  ka itlaaq naumaulood ke baalon par bhi hota hai.”

(Neel Alautaar:5/140)

 

Algharz ‘Aqeeqah  ki bahes mein qaul faisal yeh hai keh ‘Aqeeqah  ka itlaaq naumaulood ke baalon aur uski  taraf se zubah kiye jaane  waalay Jaanwar, dono par hota hai aur ‘Aqeeqah  se maqsud paidaish ke saatwen din naumaulood ke baal mondhna aur uski  taraf se jaanwar zubah karna hai.

‘Aqeeqah  ko Naseekah ya zabeeha bhi kaha jaata  hai: Jis ki daleel yeh hadees mubaraka hai jis mein Abdullah Bin A’mroo (رضی اللہ عنہا) bayan karte hain:”Nabiﷺ se ‘Aqeeqah  ke baaray mein sawaal ho to Aapﷺ ne  farmaya :”Allah Ta’la (lafz) A’qooq (naafarmani) ko naapasand karta hai, goya Aapﷺ  ne  (yeh naam) makrooh khayal kiya ,aur Aap ﷺ ne  farmaya :”Jis ke haan bachcha paida ho aur woh uski  taraf se jaanwar zubah karna chaahay to uski  taraf se jaanwar zubah karay, ladke ki taraf se barabar do bakri yan aur ladki ki taraf se ek bakri .”

(Sunan Abu Daawood:2842; Sunan Nisaaee:4217)

 

 

‘Aqeeqah ka Hukm:

 

Is maslay mein Ulama Karaam ka ikhtilaaf paaya jaata hai, ismein teen qaul hain:

Pehla Qaul: Kuch ulama Karaam to ‘Aqeeqah  ko waajib qaraar dete hain.                    

Doosra Qaul: Kuch ulama Karaam kahte  hain ‘Aqeeqah  mustahab hai.                

Teesraa Qaul: Kuch ulama Karaam ise sunnat muakkida kahte  hain. In aqwaal mein sunnat muakkida waala qaul raajeh ma’loom hota hai.

Mustaqil Fatwa committee ke ulama Karaam ka kahna hai ‘Aqeeqah  sunnat e muakkida hai, ladke ki jaanib se do aur ladki ki jaanib se ek bakri  jis tarah ke qurbani mein zubah hoti hai usi tarah ‘Aqeeqah  ki bhi zubah ki jayeingi, aur ‘Aqeeqah  paidaish ke saatwen roz kiya jayega, aur agar saatwen roz se taakhir karay to ba’ad mein kisi bhi waqt ‘Aqeeqah  karna jaiz hai,aur is taakhir se woh gunahgaar nahi hoga lekin afzal aur behtar yahi hai ke hattalimkaan jald kiya jaaye aur taakhir na ho.

(Fataawi Allajanat Aldaaemat,Lilbahoot Ala’lmeeat Walaftaa:11/439 ).


 

‘Aqeeqah ka waqt:

 

‘Aqeeqah  ka mustahab waqt naumaulood ki paidaish ka saatwa(7th) din hai, isse pahle ‘Aqeeqah  mashru’ nahi aur saatwen din ke ba’ad kiya jaane  waalaa ‘Aqeeqah  qaza hoga ada nahi . Samrah Bin Kandan (رضی اللہ عنہا) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne  farmaya : Har bachcha apne  ‘Aqeeqah  ke saath girwi hai saatwen din uski  taraf se ‘Aqeeqah  zubah kiya jaaye , uska sar mundaya jaaye aur uska naam rakha jaaye.

(Sahih Bukhaari:5472) is hadees se ma’loom huwa ke:

‘Aqeeqah  ka mu’ayyan waqt paidaish ka saawan din hai, agar saatwen din se pahle Aqeeqah kiya jaaye to bay mauqa’ saabit hoga aur saatwen din ke ba’ad ‘Aqeeqah  ka waqt faut ho jaayega, aur agar saatwen din se qabal naumaulood faut ho jaaye to ‘Aqeeqah  saaqit ho jayega . Imaam Maalik ( رحمہ اللہ علیہ )usi mauqaf ke qaael hain.

(Fatah Albaari:9/736 Neel Alautaar:15/141),

yahi mauqoof raajeh hai kyunke jis riwayat mein ‘Aqeeqah  ke teen dinon (ya’ni saatwan, chaudhwan aur ekkiswan) ka bayan hai woh riwayat za’eef hai. Bareeda(رضی اللہ عنہ ) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne  Irshaad farmaya : saatwen, chaudhwen, ekkiswen din ‘Aqeeqah  zubah kiya jaaye. 

 

(Sunan Behaqi:9/303,Tabraani Kabeer:5039, Tabraani Sagheer:724)


‘Aqeeqah ki Hikmaten

 

Bachche ki paidaish ke ba’ad jo Jaanwar zubah kiya jaata  hai usse ‘Aqeeqah  kahte  hain.

‘Aqeeqah  ka hadaf Nabi Kareem ﷺ ke darj zel farmaan se ma’loom hota hai: Nabi Kareem ﷺ ne  farmaya : “Har bachcha apne  ‘Aqeeqah  ke saath girwi aur rahen rakha huwa hai saatwen din uski  taraf se jaanwar zubah kiya jaaye, uska naam rakha jaaye aur sar ke baal tarashay jaayen (Sunan Abu Daawood,Sunan Nisaaee):” ulama Karaam iske ma’na mein ikhtilaf kartay hain. Ek qaul yeh hai keh : uska ma’na yeh hai keh agar ‘Aqeeqah  na kiya jaaye to woh bachcha apne waledain ki shafa’at karne se roak diya jayega.

Aur ek ma’na yeh hai keh : ‘Aqeeqah  bachche ko shaitaan se chhutkara aur khulaasi dilaane aur shaitaan se bachaao ka baais o sabab hai, waledain ki kotaahi ki bina par bachcha is khair se mahroom ho jaata hai, chaahe woh uski  kamaii mein se nahi, jis tarah ke uska waalid biwi se jema’ karte waqt dua’ padhe to bachha shaitan se mahfooz ho jaata hai aur shaitan usay takleef nahi deta, aur agar woh dua’ na padhe to bachhe ko yeh naseeb haasil nahi hota .”(Zaad Alma’aad:2/325,Alsharah Almamta’:7/535 ).


‘Aqeeqah ke bajaye raqm sadqa karna jaiz nahi hai 

 

Kuch log ‘Aqeeqah  karne  ke bajaaye utni raqm sadqa kar dete hain, lekin ahaadees ‘Aqeeqah  ki laghwi ta’reef ki ru se ‘Aqeeqah  ka jaanwar zubah karna laazim hai,raqm sadqa karne  se ‘Aqeeqah  nahi hoga , chunacha ibn qudaama Hambali(رحمہ اللہ علیہ ) bayan karte hain:”‘Aqeeqah  ki raqm sadqa karne ke bajaaye ‘Aqeeqah  karna afzal hai, Imam Ahmed (رحمہ اللہ علیہ ) ne is par nas bayan ki hai aur woh kahte  hain: jab ‘Aqeeqah  karne  waalay ke paas ‘Aqeeqah  karne  ki gunjaish na ho aur woh qarz lay kar ‘Aqeeqah  karay to mujhe qawi umeed hai ke Allah Ta’ala usay ahya-e- sunnat ke ‘ivaz behtar ne’mulbadal dega. Ibn Manzar (رحمہ اللہ علیہ ) ka qaul hai keh imam Ahmed (رحمہ اللہ علیہ ) ka qaul mabni barhaq hai, kyunke sunnat ka ahya aur unki ittiba’ afzal hai, neez ‘Aqeeqah  ke muta’liq riwayat mein jitni taakeed aayi hai, deegar masael mein utni taakeed waarid nahi huwi, phir is zabeeha ke baaray mein Nabi Kareem ﷺ ne  hukm bhi diya hai, so walima aur qurbani ki tarah ‘Aqeeqah  zubah karne  ka ehtemaam aula o afzal hai .”

(Lamaghni Ma’ Alsharah Alkabeer:11/121)


‘Aqeeqah mein Jaanwar ke ‘ivaz gosht dena durust nahi.

 

‘Aqeeqah  mein jaanwar zubah karne  ke bajaaye utni miqdaar mein gosht  taqseem karne  se ‘Aqeeqah  ki farziat saaqit nahi hoti, kyunke ‘Aqeeqah  mein ladke ki taraf se do aur ladki ki taraf se ek jaanwar zubah karne  ka hukm hai aur gosht  taqseem karne  se hukm ki ta’meel nahi hoti, jis se ‘Aqeeqah  ka farz ada nahi hota . Is silsilay mein Haafiz Abdullah Ropadi ka fatwa yeh hai: Sawaal: ‘Aqeeqah  ke liye jaanwar zubah karna zaroori hai, ya uske ‘ivaz gosht  bhi kaafi hai? Jawaab: Hadees mein ladke ki taraf se do aur ladki ki taraf se ek jaanwar ka zikr hai,is liye gosht  kifayat nahi kar sakta kyunke gosht  jaanwar nahi.

(Fataawa Ahl e Hadees:2/549)


‘Aqeeqah mein Ladke ki taraf se do aur ladki ki taraf se ek  Jaanwar zubah karna Mashru’ hai.

 

Ummulmu’mineen A’yesha Siddiqa (رضی اللہ عنہا) bayan karti hain “Bila Shuba Rasool Allahﷺ ne  unhen (Sahaba Karaam) ko ladke ki taraf se do ham misl bakryan aur ladki ki taraf se ek  bakri  (zubah karne ) ka hukm diya.”

(Tirmidhi:1513; Sunan Abn Maaja : 3163)

 

 Umm karz (رضی اللہ عنہ )se riwayat hai ke Rasool Allahﷺ ne  farmaya :”Ladke ki taraf se do bakriyan aur ladki ki jaanib se ek  bakri  zubaah ki jaaye.” 

(Tirmidhi: 1516; Sunan Abn Maaja:3162)

 

 Mazkurah baala Ahaadees daleel hain ke ladke ki taraf se do jaanwar aur ladki ki taraf se ek  jaanwar ‘Aqeeqah  kiya jayega .

 Haafiz ibn Hajr (رحمہ اللہ علیہ )bayan karte hain: yeh ahaadees jamhoor ‘ulama ke mauqaf ki daleel hain keh ladke aur ladki ke ‘Aqeeqah  mein farq hai .

(Fatah Albaari:9/733)

 

 Shaafa’ii, Ahmed, Abu Soor,Abu Daawood Aur Imam Zaahari bhi isi mauqaf ke qael hain.

(Neel Al autaar:5/142)


Ladke ki taraf se ek Jaanwar ka ‘Aqeeqah :

 

Abdul Allah Bin (رضی اللہ عنہ )se marwi hai:” Bay shak Rasool Allahﷺ ne  Hasan o Hussain ki taraf se ek ek mendha ‘Aqeeqah  kiya.”

 (Sunan Abu Daawood: 2841; Tabrani Kabeer: 11838; Sunan Baihaqi: 2/299. Isnaada Sahih)

 

 Is riwayat se istadlaal kiya jaata hai ke ladke ki taraf se ek jaanwar ka ‘Aqeeqah  bhi jaiz hai, yeh Hadees Ba a’itebaar sand Sahih hai,taham ibn A’bbaas (رضی اللہ عنہ )se marwi riwayat mein Hasan o Hussain ki taraf se do do mendhe zubah karne ka bhi tazkera milta hai.” Rasoolullaah ﷺ ne Hasan aur Hussain ( رضی اللہ عنہ ) ki taraf se do do mendhe zubah kiye.

(Sunan Nisaaee:4224…Allama Albani (رحمہ اللہ علیہ )ne  Arwa Alghaleel :4/379 mein is Riwayat ko zyada sahih qaraar diya hai)

 

Haafiz ibn Hajr (رحمہ اللہ علیہ ) guzishta Hadees jis mein Hasan o Hussain ki taraf se ek ek mendha zubah karne  ka bayan hai, naqal karne ke ba’ad kahte  hain ke is hadees mein yeh daleel nahi ke ladke ki taraf se ‘Aqeeqah  ke taur par ek mendha zubah karna mashru’ hai, kyunke Abu Alshek ne  ek doosri sanad se Ibn A’bbaas (رضی اللہ عنہ )se riwayat kiya hai, jis mein do do mendhe zubah karne ka bayan hai, Neez ‘Amru  Bin Shoaib’ an Abiih ‘an jada ke tareeq se bhi yahi alfaaz manqool hain, phir bilfarz Abu Daawood mein marwi riwaayat ko Sahih bhi tasleem kar liya jaaye to us mein ladke ki taraf se ‘Aqeeqah  mein do jaanwar zubah karne  ki mansoos riwayat ka radd nahi balke zyada se zyada yeh saabit hoga ke ladke ki taraf se ek  jaanwar zubah karna bhi jaiz hai.

(Fatah Albaari: 9/733)

 

 Qaazi shaukaani (رحمہ اللہ علیہ ) bayan karte hain: Jis riwayat mein Hasan o Hussain ke ‘Aqeeqah  mein ek ek mendha zubah karne ka bayan hai,woh zaaed alfaaz par mushtamil hai, lehza zaaed alfaaz par mushtamil riwayaat qubool ke a’itebaar se raajeh hain, phir yeh bhi ke qaul, f’ell se raajeh hota hai. Is a’itebaar se ladke ki taraf se do jaanwar zubah karna hi qareen sawaab hai .

(Neel Al autaar:5/142)


‘Aqeeqah mein bhed aur bakri  hi ko zubah karna  mashru’ hai:

 

‘Aqeeqah  mein bhed aur bakri hi kifaayat karti hain, inke  alawa Oont, Gaaye waghaira ka ‘Aqeeqah  Nabiﷺ se saabit nahi :Umm karz (رضی اللہ عنہ )se riwayat hai ke Rasool Allahﷺ ne  Irshaad Farmaaya:” ‘Aqeeqah  mein Ladke ki taraf se do bakriyan aur ladki ki taraf se ek bakri  hai, bakriyon ka muzakkar ya muannas hona tumhare liye nuqsaan deh nahi.” (Jaama’e Tarmazi:1516;Sunan Abn Maaja:316 Isnaada Sahih). Abdullah Bin A’bbas (رضی اللہ عنہ )ka bayan hai:” Rasool Allahﷺ ne  Hasan o Hussain Razi Allahu A’nhu ki taraf se do do mendhe zubah kiye.” 

(Sunan Nisaaee:4224…Isnaada Sahih)

 

 In Ahadees se pata chalta hai ke do jinson: bhed aur bakri hi ka ‘Aqeeqah  masnoon o mashru’ hai aur ‘Aqeeqah  mein gaaye aur oont kifaayat nahi karte, neez ‘Ayesha (رضی اللہ عنہا) ka qaul bhi is mafhoom ki taeed karta hai jaisa ke Abdullah Bin Ubaidullah Bin Abu Maleeka (رحمہ اللہ علیہ )bayan karte hain ke Abdul Rahman Bin Abi Bakr (رضی اللہ عنہ )ke haan beta paida huwa to ‘Ayesha Siddiqa ( رضی اللہ عنہا) se kaha gaya: Aye Ummulmu’ mineen!” iski taraf se ek Oont ‘Aqeeqah  karen, us par unhon ne  kaha: Ma’az Allah! Balke ham woh zubah karenge jo Rasool ﷺ ne  farmaya hai (Ladke ki taraf se ) do ek  jaissi bakriyan.”

(Sunan Baihaqi: 9/301 Isnaada Husn…Abdul Jabbar Bin Ward Sadooq Raawi hai)

 

‘Aqeeqah mein gaaye aur oont zubah karna saabit nahin:

 

Jis riwayat mein gaaye aur oont zubah karne  ki mashruiyat hai woh mauzuu’ aur man ghadat riwayat hai aur woh yeh ke Anas (رضی اللہ عنہ ) se marwi hai ke Rasool Allahﷺ ne  farmaya: “jiske haan ladka paida ho woh (‘Aqeeqah  mein) Oont, Gaaye,ya bhed bakri zubah karay.” (Tabraani Saqeer:229… Yeh riwayat masalsal Bilza’faa hai, mauzuu’ ).is riwayat mein imam tabraani ke ustaad Ibrahim Ahmed bin muraadi waasti zaa’ef hain, Abdul malik bin ma’roof qiyat majhool hai, masa’da bin yasa’ baahli kazaab hai, Hadees Bin Saaeb tamimi aur husn Basra ki tadlees hai. 


‘Aqeeqah ke Jaanwar ki Sharait:

 

‘Aqeeqah  ke jaanawar mein woh sharait nahi, jo qurbani ke Jaanwar mein hain, lekin mabni bar ehtiyat yahi hai ke qurbani ki sharait ‘Aqeeqah  mein bhi malhooz rakhi jaayen, kyunke ‘Aqeeqah  ke Jaanwar ke liye shaat (bakri ) aur Kabshan (mendhe) ke alfaaz waarid huye hain aur lafz shaat ka itlaaq us bakri  par hota hai jo bachha Janne ke qaabil ho, isis tarah kabshun ka itlaaq poori umar ke jawaan mendhe par hota hai. Lehaza bakri aur mendhe mein poori umr ke jawan jaanwar zubah kiye jaayen aur woh jaanwar naqaaes o ‘oyuub se bhi paak hona  chahiyen kyunke Allah Ta’la ki raah mein qurbani ki jaane  waali cheez ka naqaaes o ‘oyuub se paak hona afzal hai.

 

‘Aqeeqah ke gosht ki Taqseem:

 

‘Aqeeqah  ke gosht  ko khaana jaiz hai, aur isi tarah rishtedaron aur dost o ahbaab aur fuqra o masakeen ko bhi khilana jaiz hai, aur usay paka kar khilana bhi jaiz hai, isi tarah kachcha gosht  bhi taqseem kiya jaa sakta hai. 

Ummulmu’mineen’ Ayesha ( رضی اللہ عنہا) ‘Aqeeqah  ke gosht  ke muta’liq kahti  hain: “usse pooray a’zaa ke tukre banaye jaayen aur khaaya aur khilaya jaaye” (Mussaniff Abn Abi Sheeba:5)

Aur ibn Seereen aur Hasan Basri se marwi hai ke:” unke  haan ‘Aqeeqah  qurbani jaisa  tha, khaaya aur khilaaya jaata “(Mussaniff Abn Abi Shaibaa:5)

 Aur ibn Hazm (رحمہ اللہ علیہ ) kahte hain:” ‘Aqeeqah  ka gosht  khaaya aur khilaaya aur hadya aur sadqa kiya jayega .”(Mahli ibn Hazm:6)

 

‘Aqeeqah  ka saara gosht  pakaana bhi Mustahab hai hatta ke jo sadqa kiya jaana hai woh bhi, kyunke ba’az salaf se uska istihbaab marwi hai, maslan Jaaber Bin Abdullah (رضی اللہ عنہ ),aur A’taaa Bin Abi Rabaah(رضی اللہ عنہ ) ‘Aqeeqah  ke muta’liq kaha karte the: “uske a’zaa ke a’itebaar se tukre karke paani aur namak mein paka kar padosiyon ko hadya kiya jaaye”.

“(Sunan Baihaqi:19827)

 

 

REFERENCE:
https://www.askislampedia.com/en/wiki/-/wiki/English_wiki/Aqiqah+or+Aqeeqahh

 

AQIQAH or AqeeqahH

 

The ‘Aqeeqahh of the newborn child is the sacrificial animal that is slaughtered in seeking nearness to Allaah and thanking Him for the blessing of the newborn child on the 7th day after its birth.[1] The root of ‘Aqeeqahh derives from the Arabic verb ‘aqqa, which means split or cut. 

 

Table of Contents

 

ISLAMIC TERMINOLOGY:

 

In Islaamic terminology, ‘Aqeeqahh refers to the animal slaughtered as a sacrifice for a newborn child. It is so named because its throat is severed during the sacrifice. It is also called naseekah (sacrifice). [2] “The ‘Aqeeqahh is a Sunnah (recommended deed) according to the vast majority of the scholars, like Ibn ‘Abbaas, Ibn ‘Umar, ‘Aa’ishah, the jurists of the taabi’oon (those who came after the companions), Al-Mughnee (13/393-394) [3]

 

THINGS TO BE DONE AFTER THE BIRTH OF NEW BORN BABY:

 

  1. Dua to be read (for male child) جَعَلَہُ اللّٰہُ مُبَارَکًا عَلَیْکَ وَ عَلٰی اُمَّۃِ مُحَمَّدٍ ﷺ  “(Ja’lahullahu Mubarakan Alika wa a’la ummati Muhammad)” meaning May Allah bless this child on you and on the ummah of Muhammad (May Allah honour Him and grant Him Peace)
    (for female child) “Ja’lahullahu Mubarakatan Alika wa a’la ummati Muhammad(S)” – dua established from Imam Hasan Basri and Ayub As-Saqtiyani (May Allah have mercy on them), – Authenticated by yahya al hujuoorifrom Tahqeeq kitabo Usool ul Amaani bi Usooli At –Ta’hani by Imam suyuti.  Kitab ud Dua, Tabrani Vol 1: 294 and 945, . Al-ayal, Ibn e Abi duniya Vol1: 366 and 202
     
  2. Tahnik – putting something sweet, such as dates or honey, in the child’s mouth when the child is new born. Narrated by al-Bukhaari, 5150; Muslim, 2145
     
  3. To give him/her a good and nice name. Narrated by Muslim, 3126
     
  4. To shave clean his/her head seven days after his/her birth, to weigh the hair and give its weight through silver in charity. al-Tirmidhi, 1522; al-Nasaa’i, 4220 and Abu Dawood, 2838. The hadeeth was classed as saheeh by al-Albaani, may Allaah have mercy on him, in al-Irwaa’ 4/385
     
  5. To slaughter one sheep for the girl and two sheep for the boy. Narrated by Abu Dawood (2842)
     
  6. Circumcision, Sahih Al Bukhaari, 5441

 

SUNNAH:

 

The Prophet Muhammad (May Allah honour Him and grant Him Peace) said: “Every child is in mortgaged for his ‘Aqeeqahh which should be sacrificed for him on the seventh day, and his head should be shaved and he should be given a name.” Al-Nasaa’i, 4220; Abu Dawood, 2838; al-Tirmidhi, 1522; Ibn Maajah, 3165; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood. 

It was reported that Aa’ishah(R) said: “the Messenger of Allah (May Allah honour Him and grant Him Peace) did ‘Aqeeqahh for al-Hasan and al-Husen on the seventh day, and gave them their names.” Ibn Hibbaan, 12/127; al-Haakim, 4/264. Classed as saheeh by al-Haafiz Ibn Hajar in Fath al-Baari, 9/589)

 

PRESCRIBED TIME FOR ‘Aqeeqah H:

It was narrated from Samurah ibn Jundub that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Every child is in pledge for his ‘Aqeeqahh, which should be sacrificed for him on the seventh day and his head should be shaved and he should be given a name.” al-Tirmidhi, 1522, he said it is hasan saheeh; Ibn Maajah, 3165; Saheeh Ibn Maajah, 2563). 

 

TYPE OF ANIMAL TO BE SLAUGHTERED:

 

It was narrated from ‘Aaishah (may Allaah be pleased with her) that the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) commanded them to sacrifice two similar sheep for a boy and one for a girl. Al-Tirmidhi; he said, it is hasan saheeh; Ibn Maajah, 3163; Saheeh al-Tirmidhi, 1221.

 

THE CONDITION OF ANIMAL FOR Aqeeqah:

 

Ibnul-‘Arabee al-Maalikee said: “The condition that the ‘Aqeeqah sacrifice must be like that for the Adhaa sacrifice is not established by any authentic or weak hadeeth, so those who hold it to be a condition have no proof other than analogy. ‘Fathul-Malikil-Ma’bood ..’ of Ibn Khitaab (3/75) 

 

DUA BEFORE SLAUGHTERING ANIMAL:

 

Bismillahi Allahuakbar, Allahumma laka wa Ilayka, Hazihi Aqeeqahtu fulanin ‘NAME OF CHILD’  Baihaqi 497 classed as Hasan by Imam Nawawi in Al-Majmua, page 8/ 428

 

عن عائشة – رضي الله عنها – أنها قالت: “عق رسول الله – صلى الله عليه وسلم – عن الحسن والحسين، وقال: ((قولوا: بسم الله، والله أكبر، اللهم لك وإليك، هذه عقيقة فلان))؛ [رواه البيهقي، وقال النووي: إسناد حسن، Al-Majmua, Imam Nawawi page 8/ 428

 

 

SCHOLARS VIEW:

 

Imaam ibn al-Qayyim (may Allaah have mercy on him) said:

Among the benefits of ‘Aqeeqahh are: It is a sacrifice by means of which the child is brought close to Allaah soon after he comes into this world

 

GIVING ADHAN AND IQAMAT IN THE EARS OF NEW BORN:

 

There are two views about this matter. Some scholars are giving permission and some other scholars are not giving permission.

Some scholars give permission and mentioning the wisdom behind this act on the basis of some Islamic sources. And they said that welcoming the newborn by Adhan should be recited into the baby’s right ear so that the first thing he hears in this world will be the words of Tawheed, which will have a great and blessed effect on the child. With regard to reciting the aqaamah in the child’s left ear. But according to the research of Shek  Naseer Uddin Albani (may Allah have mercy on him)giving Adhan or Aqamah in the ears of a new born child is unauthentic, for details See al-Silsilat al-Da’eefah, 1/491 by Shek  Albani. [9]

 

SEEK ALLAH’S PROTECTION FOR CHILDREN:

 

The Prophet (May Allah honour Him and grant Him peace) used to seek Allah’s protection for Al-Hasan and Al-Husain by seing: (Dua to safeguard from Evil Eyes“U’eezukumaa bikalimaatil-laahit-taammati min kulli shaytaanin wa haammatin, wa min kulli ‘aynin laammatin”.

Translation: “I seek protection for you in the Perfect Words of Allah from every devil and every beast and from every envious blameworthy eye” Sahih Al Bukhari Vol 4:119. [10]

 

LATEST RESEARCH:

 

A dose of sugar given as a gel rubbed into the inside of the cheek is a cheap and effective way to protect premature babies against brain damage, se experts. Researchers from New Zealand tested the gel therapy in 242 babies under their care and, based on the results, se it should now be a first-line treatment.

Andy Cole, chief executive of premature baby charity Bliss, said: “This is a very interesting piece of new research and we always welcome anything that has the potential to improve outcomes for babies born premature or sick. [11]

 

Islam is more advance then the modern day science; Prophet Muhammad(S) over 1400 years ago gave this sunnah called Tahnik – putting something sweet, such as dates, in the child’s mouth when the child is new born. Sahih al-Bukhaari, 5150; Muslim, 2145

 

 

REFERENCE:
https://www.askislampedia.com/en/wiki/-/wiki/English_wiki/Aqiqah+or+Aqeeqahh

 

 

عقیقہ

 

عقیقہ کے لغوی معنی کاٹنے کے ہیں۔شرعی اصطلاح میں نومولود بچہ یا بچی کی جانب سے اسکی پیدائش کے ساتویں دن جو خون بہایا جاتا ہے، اُسے عقیقہ کہتے ہیں۔ عقیقہ کرنا سنت مؤکدہ  ہے، اور یہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اور صحابہ کرام رضوان اللہ تعالی اجمعین سے صحیح اور متواتر احادیث سے ثابت ہے ۔

 

عقیقہ کی وجہ تسمیه

 

1۔ حافظ ابن حجر رحمہ اللہ بیان کرتے ہیں کہ ”عقیقہ نو مولود کی طرف سے ذبح کیے جانے والے جانور کا نام ہے اور اس کے اشتقاق میں اختلاف ہے۔ چنانچہ ابو عبید اور اصمعی کہتے ہیں:”عقیقہ دراصل مولود کے سر کے وہ بال ہیں، جو ولادت کے وقت اس کے سر پر اُگے ہوتے ہیں۔”

علامہ زمخشری رحمہ اللہ وغیرہ کا بیان ہے:” پیدائش کے بالوں کی موجودگی میں مولود کی طرف سے ذبح کی جانے والی بکری کو عقیقہ سے موسوم کیا جاتا ہے، کیونکہ ذبح کے وقت یہ بال مونڈھے جاتے ہیں۔”

امام خطابی رحمہ اللہ بیان کرتے ہیں:نومولود کی طرف سے ذبح کی ہوئی بکری کو عقیقہ کہا جاتا ہے، کیونکہ ( نو مولود کی ولادت پر) اُس کی رگیں کاٹی جاتی ہیں۔(فتح الباری : 9؍726)

2۔  امام شوکانی رحمہ اللہ بیان کرتے ہیں:”عقیقہ وہ ذبیحہ ہے، جو نو مولود کی خاطر ذبح کیا جاتا ہے۔ اصل میں عَقَّ کا معنی پھاڑنا اور کاٹنا ہے اور عقیقہ کو عقیقہ کہنے کی وجہ تسمیہ یہ ہے کہ ذبح کے وقت ذبیحہ کا حلق کاٹا جاتا ہے، نیز کبھی عقیقہ کا اطلاق نومولود کے بالوں پر بھی ہوتا ہے۔”(نیل الأوطار : 5؍140)

الغرض عقیقہ کی بحث میں قول فیصل یہ ہے کہ عقیقہ کا اطلاق نومولود کے بالوں اور اس کی طرف سے ذبح کیے جانے والے جانور، دونوں پر ہوتا ہے اور عقیقہ سے مقصود پیدائش کے ساتویں دن نومولود کے بال مونڈھنا اور اس کی طرف سے جانور ذبح کرنا ہے۔

عقیقہ کو نسیکہ یا ذبیحہ بھی کہا جاتا  ہے : جس کی دلیل یہ حدیث مبارکہ ہے جس میں عبد اللہ بن عمرورضی  اللہ عنہ  بیان کرتے ہیں:”نبیﷺ سے عقیقہ کے بارے سوال ہو تو آپﷺ نے فرمایا: ”اللہ تعالیٰ (لفظ) عقوق ( نافرمانی) کو نا پسند کرتا ہے، گویا آپﷺ نے ( یہ نام) مکروہ خیال کیا، اور آپﷺ نے فرمایا: “جس کے ہاں بچہ پیدا ہو اور وہ اس کی طرف سے جانور ذبح کرنا چاہے تو وہ اس کی طرف سے جانور ذبح کرے، لڑکے کی طرف سے برابر دو بکریاں اور لڑکی کی طرف سے ایک بکری۔”(سنن ابو داؤد: 2842؛ سنن نسائی: 4217)

 

عقيقہ كا حكم

 

اس مسئلہ  ميں علماء كرام كا اختلاف پايا جاتا ہے، اس ميں تين قول ہيں:

پہلا قول:كچھ علماء كرام تو عقيقہ كو واجب قرار ديتے ہيں۔دوسرا قول:كچھ علماء كرام كہتے ہيں عقيقہ مستحب ہے۔ تيسرا قول:كچھ علماء كرام اسے سنت مؤكدہ كہتے ہيں۔ ان اقوال میں سنت مؤكدہ والا قول راجح معلوم ہوتا ہے۔

مستقل فتوى كميٹى كے علماء كرام كا كہنا ہے:” عقيقہ سنت مؤكدہ ہے، لڑكے كى جانب سے دو اور لڑكى كى جانب سے ايك بكرى جس طرح كى قربانى ميں ذبح ہوتى ہے اسى طرح عقيقہ كى بھى ذبح كى جائيگى، اور عقيقہ پيدائش كے ساتويں روز كيا جائيگا، اور اگر ساتويں روز سے تاخير كرے تو بعد ميں كسى بھى وقت عقيقہ كرنا جائز ہے، اور اس تاخير سے وہ گنہگار نہيں ہوگا، ليكن افضل اور بہتر يہى ہے كہ حتى الامكان جلد كيا جائے اور تاخير نہ ہو.(فتاوى اللجنۃ الدائمۃ للبحوث العلميۃ والافتاء : 11 / 439 ).

 

عقیقہ کا وقت

 

عقیقہ کامستحب وقت نومولود کی پیدائش کا ساتواں دن ہے، اس سے پہلے عقیقہ مشروع نہیں اور ساتویں دن کے بعد کیا جانے والا عقیقہ قضا ہوگا ادا نہیں۔ سمرہ بن جندب رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ہر بچہ اپنے عقیقہ کے ساتھ گروی ہے،ساتویں دن اس کی طرف سے عقیقہ ذبح کیا جائے، اس کا سر منڈایا جائے اور اس کانام رکھا جائے۔(صحیح بخاری: 5472) اس حدیث سے معلوم ہوا کہ عقیقہ کا معین وقت پیدائش کا ساتواں دن ہے اور اگر ساتویں دن سے پہلے عقیقہ کیا جائے تو بے موقع ثابت ہوگا اور ساتویں دن کے بعد عقیقہ کا وقت فوت ہو جائے گا، اور اگر ساتویں دن سے قبل نومولود فوت ہو جائے تو عقیقہ ساقط ہو جائے گا۔ امام مالک رحمہ اللہ اسی موقف کے قائل ہیں۔(فتح الباری: 9/736، نیل الأوطار: 5/141)، يہی موقف راجح ہے کیوں کہ جس روایت میں عقیقہ کے تین دنوں (یعنی ساتواں، چودھواں اور اکیسواں) کا بیان ہے وہ روایت ضعیف ہے۔ بریدہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا: ساتویں، جودھویں اور اکیسویں دن عقیقہ ذبح کیا جائے۔(سنن بیہقی: 9/303، طبرانی کبیر: 5039، طبرانی صغیر: 724)

 

عقیقہ کی حکمتیں

 

بچہ کی پيدائش كے بعد جو جانور ذبح كيا جاتا ہے اسے عقيقہ كہتے ہيں۔

عقيقہ كا ہدف نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم كے درج ذيل فرمان سے معلوم ہو تا ہے:نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:” ہر بچہ اپنے عقيقہ كے ساتھ گروى اور رہن ركھا ہوا ہےساتویں دن اس کی طرف سے جانور ذبح کیا جائے اس ککا نام رکھا جائے اور سر کے بال تراشے جائیں(سنن ابو داود: ، سنن نسائی: )”علماء كرام اس كے معنى ميں اختلاف كرتے ہيں، ايك قول يہ ہے كہ: اس كا معنى يہ ہے كہ اگر عقيقہ نہ كيا جائے تو وہ بچہ اپنے والدين كى شفاعت كرنے سے روك ديا جائيگا.

اور ايك معنى يہ ہے كہ: عقيقہ بچے كو شيطان سے چھٹكارا اور خلاصى دلانے اور شيطان سے بچاؤ كا باعث و سبب ہے، والدين كى كوتاہى كى بنا پر بچہ اس خير سے محروم ہو جاتا ہے، چاہے وہ اس كى كمائى ميں نہيں، جس طرح كہ اس كا والد بيوى سے جماع كرتے وقت دعا پڑھے تو بچہ شيطان سے محفوظ ہو جاتا ہے اور شيطان اسے تكليف نہيں ديتا، اور اگر وہ دعا نہ پڑھے تو بچے كو يہ نصيب حاصل نہيں ہوتا”( زاد المعاد : 2 / 325 ، الشرح الممتع: 7 / 535 ).

 

عقیقہ کے بجائے رقم صدقہ کرنا جائز نہیں ہے

 

کچھ لوگ عقیقہ کرنے کے بجائے اتنی رقم صدقہ کر دیتے ہیں، لیکن احادیثِ عقیقہ کی لغوی تعریف کی رو سے عقیقہ کا جانور ذبح کرنا لازم ہے، رقم صدقہ کرنے سے عقیقہ نہیں ہو گا، چنانچہ ابن قدامہ حنبلی رحمہ اللہ بیان کرتے ہیں:” عقیقہ کی رقم صدقہ کرنے کے بجائے عقیقہ کرنا افضل ہے، امام احمد رحمہ اللہ نے اس پر نص بیان کی ہے اور وہ کہتے ہیں: جب عقیقہ کرنے والے کے پاس عقیقہ کرنے گنجائش نہ ہو اور وہ قرض لے کر عقیقہ کرے تو مجھے قوی اُمید ہے کہ اللہ تعالیٰ اسے احیاے سنّت کے عوض بہتر نعم البدل دے گا۔ ابن منذر رحمہ اللہ کا قول ہے کہ امام احمد رحمہ اللہ کا قول مبنی بر حق ہے، کیونکہ سنت کا احیا اور ان کی اتباع افضل ہے، نیز عقیقہ کے متعلق روایات میں جتنی تاکید آئی ہے، دیگر مسائل میں اتنی تاکید وارد نہیں ہوئی، پھر اس ذبیحہ کے بارے نبیﷺ نے حکم بھی دیا ہے، سو ولیمہ اور قربانی کی طرح عقیقہ ذبح کرنے کا اہتمام اولیٰ و افضل ہے۔ ”(لمغنی مع الشرح الکبیر : 11؍121)

 

عقیقہ میں جانور کے عوض گوشت دینا درست نہیں

 

عقیقہ میں جانور ذبح کرنے کے بجائے اتنی مقدار میں گوشت تقسیم کرنے سے عقیقہ کی فرضیت ساقط نہیں ہوتی، کیونکہ عقیقہ میں لڑکے کی طرف سے دو اور لڑکی کی طرف سے ایک جانور ذبح کرنے کا حکم ہے اور گوشت تقسیم کرنے سے حکم کی تعمیل نہیں ہوتی، جس سے عقیقہ کا فرض ادا نہیں ہوتا۔ اسی سلسلے میں حافظ عبد اللہ روپڑی کا فتویٰ یہ ہے:سوال:عقیقہ کیلئے جانور ذبح کرنا ضروری ہے، یا اسکے عوض گوشت بھی کافی ہے؟جواب: حدیث میں لڑکے کی طرف سے دو جانور اور لڑکی کی طرف سے ایک جانور کا ذکر ہے، اس لیے گوشت کفایت نہیں کر سکتا، کیونکہ گوشت جانور نہیں۔( فتاویٰ اہل حدیث : 2؍549)

 

عقیقہ میں لڑکے کی طرف سے دو اور لڑکی کی طرف سے ایک جانور ذبح کرنا مشروع ہے

 

ام المومنین عائشہ صدیقہ رضی اللہ عنہا بیان کرتی ہیں “بلا شبہ رسول اللہﷺ نے اُنھیں ( صحابہ کرام ) کو لڑکے کی طرف سے دو ہم مثل بکریاں اور لڑکی کی طرف سے ایک بکری (ذبح کرنے) کا حکم دیا۔(جامع ترمذی : 1513؛ سنن ابن ماجہ: 3163)

اُمّ کرزرضی  اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہﷺ نے فرمایا:”لڑکے کی طرف سے دو ہم مثل بکریاں اور لڑکی کی جانب سے ایک بکری ذبح کی جائے۔”(جامع ترمذی : 1516؛ سنن ابن ماجہ: 3162)

مذکورہ بالا احادیث دلیل ہیں کہ لڑکے کی طرف سے دو جانور اور لڑکی کی طرف سے ایک جانور عقیقہ کیا جائے گا۔

حافظ ابن حجر رحمہ اللہ  بیان کرتے ہیں: یہ احادیث جمہور علما کے موقف کی دلیل ہیں کہ لڑکے اور لڑکی کے عقیقہ میں فرق ہے۔( فتح الباری: 9/733)

شافعی، احمد، ابو ثور،ابو داؤد اور امام ظاہری بھی اسی موقف کے قائل ہیں۔(نیل الأوطار: 5/142)

 

لڑکے کی طرف سے ایک جانور کا عقیقہ

 

عبد اللہ بن عباس رضی  اللہ عنہ  سے مروی ہے:”بے شک رسول اللہﷺ نے حسن و حسین کی طرف سے ایک ایک مینڈھا عقیقہ کیا۔”(سنن ابو داؤد:2841 ؛ طبرانی کبیر : 11838؛ سنن بیہقی: 2؍299۔ إسنادہ صحیح)

اس روایت سے استدلال کیا جاتا ہے کہ لڑکے کی طرف سے ایک جانور کا عقیقہ بھی جائز ہے، یہ حدیث باعتبارِ سند صحیح ہے، تاہم ابن عباس رضی  اللہ عنہ  ہی سے مروی روایت میں حسن و حسین کی طرف سے دو دو مینڈھے ذبح کرنے کا بھی تذکرہ ملتا ہے:”رسولﷺ نے (عقیقہ میں) حسن و حسین کی طرف سے دو دو مینڈھے ذبح کیے۔”(سنن نسائی: 4224… علامہ البانی رحمہ اللہ  نے ارواء الغلیل: 4/379میں اس روایت کو زیادہ صحیح قرار دیا ہے۔)

حافظ ابن حجر رحمہ اللہ گزشتہ حدیث جس میں حسن و حسین کی طرف سے ایک ایک مینڈھا ذبح کرنے کا بیان ہے، نقل کرنے کے بعد کہتے ہیں کہ اس حدیث میں یہ دلیل نہیں کہ لڑکے کی طرف سے عقیقہ کے طور پر ایک مینڈھا ذبح کرنا مشروع ہے، کیونکہ ابو الشیخ نے ایک دوسری سند سے ابن عباس رضی  اللہ عنہ  سے روایت کی ہے، جس میں دو دو مینڈھے ذبح کرنے کا بیان ہے۔ نیز عمرو بن شعیب عن أبیه عن جده کے طریق سے بھی یہی الفاظ منقول ہیں، پھر بالفرض ابو داؤد میں مروی روایت کو صحیح بھی تسلیم کر لیا جائے تو اس میں لڑکے کی طرف سے عقیقہ میں دو جانور ذبح کرنے کی منصوص روایات کا ردّ نہیں بلکہ زیادہ سے زیادہ یہ ثابت ہو گا کہ لڑکے کی طرف سے ایک جانور ذبح کرنا بھی جائز ہے۔( فتح الباری: 9/733)

قاضی شوکانی رحمہ اللہ بیان کرتے ہیں: جس روایت میں حسن و حسین کے عقیقہ میں ایک ایک مینڈھا ذبح کرنے کا بیان ہے، اس کا جواب یہ ہے کہ جن احادیث میں لڑکے کی طرف سے دو بکریاں ذبح کرنے کا بیان ہے، وہ زائد الفاظ پر مشتمل ہے، لہٰذا زائد الفاظ پر مشتمل روایات قبول کے اعتبار سے راجح ہیں، پھر یہ بھی کہ قول فعل سے راجح ہوتاہے۔ اس اعتبار سے لڑکے کی طرف سے دو جانور ذبح کرنا ہی قرین صواب ہے۔(نیل الأوطار: 5/142)

 

عقیقہ میں بھیڑ اور بکری ہی کو ذبح کرنا مشروع ہے

 

عقیقہ میں بھیڑ اور بکری ہی کفایت کرتی ہیں، ان کے علاوہ اونٹ گائے وغیرہ کا عقیقہ نبیﷺ سے ثابت نہیں:  امّ کرز رضی اللہ عنہا  سے روایت ہے کہ رسول اللہﷺ نے ارشاد فرمایا:”(عقیقہ میں) لڑکے کی طرف سے دو بکریاں اور لڑکی کی طرف سے ایک بکری ہے، بکریوں کا مذکر یا مؤنث ہونا تمہارے لیے نقصان دہ نہیں۔”(جامع ترمذی : 1516؛ سنن ابن ماجہ : 316… إسنادہ صحیح)۔ عبد اللہ بن عباس رضی  اللہ عنہ  کا بیان ہے:”رسول اللہﷺ نے حسن و حسین رضی  اللہ عنہ  کی طرف سے دو دو مینڈھے ذبح کیے۔”(سنن نسائی : 4224… إسنادہ صحیح)

ان احادیث سے پتہ چلتا ہے کہ دو جنسوں: بھیڑ اور بکری ہی کا عقیقہ مسنون و مشروع ہے اورعقیقہ میں گائے اور اونٹ کفایت نہیں کرتے، نیز عائشہ رضی  اللہ عنہ کا قول بھی اس مفہوم کی تائید کرتا ہے جيسا كہ عبد اللہ بن عبید اللہ بن ابو ملیکہ رحمہ اللہ  بیان کرتے ہیں کہ عبد الرحمٰن بن ابی بکررضی  اللہ عنہ  کے ہاں بیٹا پیدا ہوا تو عائشہ رضی  اللہ عنہ  صدیقہ سے کہا گیا : اے امّ المومنین!”اسکی طرف سے ایک اونٹ عقیقہ کریں، اس پر اُنھوں نے کہا : معا ذ اللہ ! بلکہ (ہم وہ ذبح کریں گے) جو رسول ﷺ نے فرمایا ہے: ( لڑکے کی طرف سے) دو ایک جیسی بکریاں۔”(سنن بیہقی: 9؍301إسنادہ حسن… عبد الجبار بن ورد صدوق راوی ہے۔)

 

عقیقہ میں گائے اور اونٹ ذبح کرنا ثابت نہیں

 

جس روایت میں عقیقہ میں گائے اور اونٹ ذبح کرنے کی مشروعیت ہے وہ موضوع اور من گھڑت روایت ہے۔ اور وہ یہ کہ  انس رضی  اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہﷺ نے فرمایا:”جس کے ہاں لڑکا پیدا ہو وہ (عقیقہ میں) اونٹ، گائے یا بھیڑ بکری ذبح کرے۔”( طبرانی صغیر : 229… یہ روایت مسلسل بالضعفاء ہے،موضوع)۔ (اس روایت میں امام طبرانی کے اُستاد ابراہیم احمد بن مرادی واسطی ضعیف ہیں، عبد الملک بن معروف خیاط مجہول ہے،  مسعدہ بن یسع باہلی کذاب ہے،حریث بن سائب تمیمی اور حسن بصری کی تدلیس ہے)۔

 

عقیقہ کے جانور کی شرائط

 

عقیقہ کے جانور میں وہ شرائط نہیں، جو قربانی کے جانور میں ہیں، لیکن مبنی بر احتیاط یہی ہے کہ قربانی کی شرائط عقیقہ میں بھی ملحوظ رکھی جائیں، کیونکہ عقیقہ کے جانور کے لیے شاة (بکری) اور کبشًا( مینڈھے) کے الفاظ وارد ہوئے ہیں اور لفظ شاة کا اطلاق اس بکری پر ہوتا ہے جو بچہ جننے کے قابل ہو، اس طرح کبشٌ کا اطلاق پوری عمر کے جوان مینڈھے پر ہوتا ہے، لہٰذا بکری اور مینڈھے میں پوری عمر کے جوان جانور ذبح کیے جائیں اور وہ جانور نقائص و عیوب سے بھی پاک ہونے چاہییں، کیونکہ اللہ تعالیٰ کی راہ میں قربان کی جانے والی چیز کا نقائص و عیوب سے پاک ہونا افضل ہے۔

 

عقیقہ کے گوشت کی تقسیم

 

عقيقہ كے گوشت كو كھانا جائز ہے، اور اسى طرح رشتہ داروں اور دوست و احباب اور فقراء و مساكين كو بھى كھلانا جائز ہے، اور اسے پكا كر كھلانا بھى جائز ہے، اسى طرح كچا گوشت بھى تقسيم كيا جا سكتا ہے۔

ام المومنین عائشہ رضى اللہ تعالى عنہا عقيقہ كے گوشت كے متعلق كہتى ہيں:” اسے پورے اعضاء كے ٹكڑے بنائے جائيں اور كھايا اور كھلايا جائے”(مصنف ابن ابى شيبہ : 5)

اور ابن سيرين اور حسن بصرى سے مروى ہے كہ:” ان كے ہاں عقيقہ قربانى جيسا تھا، كھايا اور كھلايا جاتا”( مصنف ابن ابى شيبۃ:5)

اور ابن حزم رحمہ اللہ كہتے ہيں:” عقيقہ كا گوشت كھايا اور كھلايا اور ہديہ اور صدقہ كيا جائے گا”( محلى ابن حزم:6)

عقيقہ كا سارا گوشت پكانا بھى مستحب ہے، حتى كہ جو صدقہ كيا جانا ہے وہ بھى، كيونكہ بعض سلف سے اس كا استحباب مروى ہے، مثلا جابر بن عبد اللہ رضى اللہ تعالى عنہما، اور عطاء بن ابى رباح عقيقہ كے متعلق كہا كرتے تھے:” اس كو اعضاء كے اعتبار سے ٹكڑے كر كے پانى اور نمك ميں پكا كر پڑوسيوں كو ہديہ كيا جائے”(سنن بیہقى :19827 )۔

 

 

REFERENCE:
https://www.askislampedia.com/ur/wiki/-/wiki/Urdu_wiki/%D8%B9%D9%82%DB%8C%D9%82%DB%81?__cf_chl_jschl_tk__=pmd_lt.t4A4AgBYWdN3o6K30w_MY9caY3ZInc8nVWdXMc1g-1635931088-0-gqNtZGzNAlCjcnBszQm9

 

 

Table of Contents