Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

034. Ambiya-o-Mursaleen aur Asmaani kitaabon ki ta’daad

Ambiya-o-Mursaleen aur Asmaani kitaabon ki ta’daad

[Sawaal]

Ambiya-o-mursaleen ki ta’daad kitni hai? Kia un mein se ba’az ke saath ‘adam-e-waaqfiyat ki wajah se ‘adam-e-Imaan kufur shumaar ho ga? Asmaan se naazil hone waali kitaabon ki ta’daad kitni hai? Kia kitaabon ki ta’daad mein tafawat hai? Aur kio?

[Jawab]

Mukhtalif Ahadees mein yeh aaya hai ke hazraat Ambiya Karaam علیہ السلام ki ta’daad ek laakh chobees huzar hai aur un mein teen sau terah Rasool hain jaisa ke yeh bhi waarid hai ke Ambiya ki tadaad aath hizaar hai. Is silsila mein Ahadees Hafiz Ibn-e-Kaseer ki mashoor kitaab “Tafseer-ul-Qur’an Al-‘Azeem” mein Surah Nisaa ki Aayat:

وَرُسُلاً لَمْ نَقْصُصْهُمْ عَلَيْكَ

(Aur bohat se paighambar hain jin ke halaat hum ne tum se bayaan nahi kiye) ki tafseer mein mazkoor hain. Lekin yeh Ahadees kasrat ke bawajood zo’uf se khaali nahi hain Lehaaza behtar yeh hai ke is mein tawaqquf kiya jaae. Jo musalmaan par yeh waajib hai ke jin Ambiya Karaam علیہ السلام ka Allah Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) ne naam liya hai un par tafseeli aur jin ka naam nahi liya un par ajmaali Imaan rakhe’ Allah Ta’ala ne Ambiya Karaam mein tafreeq ki wajah se Yahoodiyon ki muzammat ki ke unhon ne kaha tha:

وَيَقُوۡلُوۡنَ نُؤۡمِنُ بِبَعۡضٍ وَّنَكۡفُرُ بِبَعۡضٍۙ

(Al-Nisaa 4 150)

“Aur kehte hain ke hum ba’az ko maante hain aur ba’az ko nahi maante.”

Lekin hum har us Nabi aur Rasool ke saath Imaan rakhte hain, Jis se Allah Ta’ala ne kisi bhi zamaane mein mab’oos farmaaya lekin baat yeh hai ke unki shariy’at un ke Ahl-e-zamaana aur unki kitaab unki Ummat-o-qaum ke liye thi. baaqi rahi asmaani kitaabon ki tadaad to Hazrat Abu Zar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi ek taweel Hadees mein un ki tadaad ek sau chaar bayaan ki gai hai jaisa ke Hafiz Ibn-e-Kaseer رحمة الله ne tafseer mein mazkoora Aayat ke tehet likha hai lekin is baat ki sehat ke baare mein Allah Ta’ala hi behtar jaanta hai. Allah Ta’ala ne Qur’an-e-Majeed mein Tauraat, Injeel, Zaboor aur Suhof-e-Ibrahim-o-Moosa ka zikr kiya hai. Hum un tamaam kitaabon par Imaan rakhte hain aur yeh bhi Imaan rakhte hain ke Allah Ta’ala ne aur bhi bohat si kitaabein naazil farmaai hain, Jin ka hamein ‘ilm nahi hai lehaaza is silsila mein yehi kaafi hai ke hum un sab kitaabon ki ijmaali taur par tasdeeq karen. Wallahu Aa’lam!

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents