Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

049. Zahoor-e-Mehdi

Zahoor-e-Mehdi

[Sawaal]

Zahoor-e-Mehdi ke baare mein aap ki Kia raae hai? Kia Ahadees se yeh saabit hai? Umeed hai aap wazaahat farma kar shukriya ka mouqa bakhshen ge?

[Jawab]

Imaam Mehdi ki aamad ke baare mein bohat si Ahadees hain, Jo mut’addid tarq se waarid aur jinhein bohat si Aimmah-e-Hadees ne riwaayat kiya hai. Ahl-e-ilm ki ek jama’at , Jis mein chawthi sadi ke ‘aalim Abu Al-Hasan Aajri bhi shaamil hain, ne yeh baat zikr ki hai ke Mehdi ki aamad ke baare mein waarid-e-Ahadees tawaatar-e-ma’nwi tak pohanchi hoi hain. ‘Allama Safaareni ne apni kitaab (لَوى مع الأنوار البهية) mein aur ‘Allama Shaukaani ne apni kitaab “Al-Tawzeeh fi Tawaatar Ahadees Al-Mehdi-o-Al-Dajjal-o-Al-Maseeh” mein yehi baat zikr ki hai. Un ki mashoor ‘alaamaat bhi hain jo Ahadees mein mazkoor hain, Jin mein se sab se ziyaada ahem yeh hai ke zulm-o-sitam se bhari hoi zameen ko woh ‘adal-o-insaaf se bhar denge lekin kisi ke liye yeh jaaiz nahi ke woh yeh kahe ke Falaan-bin-Falaan hi Mehdi hai hatta ke us mein woh saari ‘alaamaat maujood na hon jin ka Nabi Kareem (ﷺ) ne sahih Ahadees mein zikr farmaaya hai aur jin mein se ahem tareen ‘alaamat jaisa ke hum ne zikr kiya zulm-o-sitam se bhari hoi zameen ko ‘adal-o-insaaf se bhar dena hai.

نبينا محمد و آله وصحبه وسلم وصلی اللہ علی)

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents