Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

052. Bidd’aat

Bidd’aat

[Sawaal]

Muhadisaat Al-umoor (Bidd’aat) se Kia muraad hai aur is ke Kia ma’ani hain?

[Jawab]

Rasoolullah (ﷺ) ke Irshaad:

إِيَّاكُمْ وَمُحْدَثَاتِ الأُمُورِ

(Masnad Ahmad, 4 126)

“Apne aap ko Deen mein nayi baaton se bachaao”

se muraad har woh nai bidd’at hai, Jis se logon ne Deen-e-Islam mein ijaad kar liya ho, Khuwaah us ka ta’lluq ‘aqaaid se ho ya ‘ibaadaat waghaira se ke yeh Kitabullah se ya Rasoolullah (ﷺ) ki sahi Sunnat se saabit na ho magar logon ne us se Deen bana liya ho aur is ke saath yeh samajhte hue Allah ki ‘ibaadat karte hon ke yeh hukm-e-shariy’at hai halaankeh yeh hukm-e-shariy’at nahi balkeh yeh bidd’at aur shariy’at mein mamn’uo hota hai maslan Faut shudaah saaliheen ya ghaibeen se dua’a karaana, Qabron par Masjidein banaana, Qabron ke ird gird tawaaf karna, Ahl-e-Qaboor se madad talab karna aur yeh gumaan karna ke woh Allah ke haan un ke sifaarishi hain aur haajaton ke poora karne aur mushkilaat ke khaatma ke liye waseela hain, Ambiya-o-Auliya ke ayyaam-e-wilaadat par ‘urs manaana aur un ayyaam mein mehfilein mun’aqid karna aur un mehfilon mein aise kaam karna jin ko yeh shab-e-wilaadat ya youm-e-wilaadat ya maah-e-wilaadat ki munaasibat se taqarrub ke makhsoos kaam qaraar dete hain. Al-Gharaz is tarah ki be shumaar bidd’aat aur khurafaat hain, Jin ka Allah Ta’ala ne koi hukm diya aur na yeh Rasoolullah (ﷺ) ki Sunnat se saabit hain. Isi wazaahat se yeh bhi ma’loom hoa ke ba’az bidd’aat to shirk hain maslan murdon se faryaad ya un ke naam ki nazar-e-niyaaz aur ba’az sirf bidd’at hain, Shirk nahi maslan qabron par ‘imaaratein ya Masjidein banaana basharteke un mein ghalu ke aise kaam na kiye jaaein jo shirk tak pohancha dene waale hon.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents