Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

055. Jo Allah Ta’ala ke naazil kardaah Deen ke mutaabiq hukumat na kare

Jo Allah Ta’ala ke naazil kardaah Deen ke mutaabiq hukumat na kare

[Sawaal]

Woh hukumaraan jo Allah Ta’ala ke naazil farmaaiye hue ahkaam ke mutaabiq hukm na dein Kia woh kaafir samjhe jaaein ge aur agar hum yeh kahen ke nahi woh musalmaan hain to phir is Irshaad-e-Baari Ta’ala ke Kia ma’ani hain ke:

وَمَنۡ لَّمۡ يَحۡكُمۡ بِمَاۤ اَنۡزَلَ اللّٰهُ فَاُولٰٓئِكَ هُمُ الۡكٰفِرُوۡنَ

(Al-Maaidaah 5 44)

“Jo Allah ke naazil farmaae hue ahkaam ke mutaabiq hukm na de to aise hi log kaafir hain.”

[Jawab]

Allah Ta’ala ke naazil farmaae hue ahkaam ke baghair hukm dene ki kayi qismen hain, Jin ke e’itqaad-o-am’aal ke mutaabiq ahkaam mukhtalif hain. Jo shakhs baghair maa anzal Allah ka hukm de aur kahe ke yeh Allah Ta’ala ki naazil kardaah shariy’at se behtar hai to woh tamaam musalmaanon ke nazdeek kaafir hai, Isi tarah woh shakhs jo Allah Ta’ala ki shariy’at ke bajaae waz’e qawaaneen ko naafiz kare aur in waz’ee qawaaneen ke nifaaz ko jaaiz qaraar de, Khuwah yeh iqraar bhi kare ke shar’i qawaaneen ko naafaz karna afzal hai, To woh bhi kaafir hai kyunke us ne us ko Halaal qaraar de diya hai jis ko Allah Ta’ala ne Haraam thehraaya tha lekin jo shakhs khuwaaish-e-nafs ki pairwi karte hue ya rishwat ke liye ya apne aur mahkoom-e-‘alya ke darmiyaan dushmani ki wajah se ya deegar asbaab ki wajah se baghair maa anzal Allah (Allah Ta’ala ke naazil kardaah qaanoon ke khilaaf) hukm deta hai aur jaanta hai ke is mein Allah Ta’ala ki naafarmaani hai aur us par waajib yeh hai ke woh Allah Ta’ala ki shariy’at ke mutaabiq hukm de, To aise shakhs ko kabeeraah-e-gunaah ka murtakib samjha jaaega aur us ke is fa’il ko kufur-e-Asghar’ Zulm-e-Asghar aur fasaq-e-Asghar shumaar kiya jaaega jaisa ke Hazrat Ibn-e-‘Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Taawus aur Salaf-e-Saleh ki ek jama’at se yeh baat manqool hai aur Ahl-e-ilm ke haan m’aroof hai. Wa Allahu waali-ul-Toufeeq!

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents