Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

060. Un Masjidon mein Namaz ka hukm jin mein qabrein hon

Un Masjidon mein Namaz ka hukm jin mein qabrein hon

[Sawaal]

Kia aisi Masjidon mein Namaz jaaiz hai jin mein qabrein maujood hon?

[Jawab]

Jin Masjidon mein qabrein hon un mein Namaz na padhi jaae balkeh zaroori hai ke qabron ko ukhaad kar madfoon logon ki haddiyon ko ‘aam qabristanon mein dafan kar diya jaae, Deegar qabron ki tarah har mayyat ke liye alag alag qabr khodi jaae aur us mein us se dafan kar diya jaae. Masjidon mein qabron ka baaqi rakhna jaaiz nahi khuwaah woh kisi waali ki qabr ho ya kisi aur shakhsiyat ki. Rasoolullah (ﷺ) ne is se mana’ farmaaya hai aur aisa karne ki wajah se Yahoodiyon aur ‘Isaaiyon ki muzammat ki hai, Chunaanche aap ne farmaaya:

لَعَنَ اللهُ الْيَهُودَ وَالنَّصَارَى اتَّخَلُوا قُبُورَ أَنْبِيَائِهِمْ مَسَاجِد

“Allah Ta’ala Yahood-o-Nasaara par la’nat farmaae ke unhon ne apne Nabi ki qabron ko Masjid bana liya tha.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Janaaiz, Baab maa yakrahu min Itakhaaz Al-Masaajid ‘Ali Al-Qaboor, H: 1330)

Hazrat Ayesha رضي الله عنها bayaan karti hain ke Aap (ﷺ) ka yeh baat farmaane ka maqsad yeh tha ke aap apni Ummat ko aisa karne se dara rahe the. Hazrat Umm-e-Salma aur Hazrat Umm-e-Habiba رضي الله عنها ne Rasoolullah (ﷺ) ko jab ek girja ke baare mein bataaya ke us mein tasweerein aur falaan falaan cheezen thin to aap ne farmaaya:

إِنَّ أُوْلَئِكَ إِذَا كَانَ فِيهِمُ الرَّجُلُ الصَّالِحُ فَمَاتَ بَنَوْا عَلَى قَبْرِهِ مَسْجِدًا وَصَوَّرُوا فِيْهِ تِلْكَ الصُّوَّرَ، أَوْلَئِكَ شِرَارُ الْخَلْقِ عِنْدَ اللهِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ

(Bukhari Al-Salaat, Baab hal tanbash qaboor-e-mushriki, H: 427, 434, 1341, -O-Muslim, Raqam: 528′ -O-Nisai 2 41, -O-Ahmad 6 51)

“Un logon mein se jab koi neik aadmi Faut ho jaata to yeh us ki qabr par Masjid bana lete aur us mein tasweerein banaate, Qayaamat ke din yeh log Allah ke haan saari makhlooq mein se badtareen log hon ge.”

Nabi علیہ السلام ne yeh bhi farmaaya:

أَلَا وَإِنَّ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ كَانُوا يَتَّخِذُوْنَ قُبُورَ أَنْبِيَائِهِمْ وَصَالِحِيْهِمْ مَسَاجِدَ، أَلَا

>

ذَلِكَ فَلَا تَتَّخِذُوا الْقُبُورَ مَسَاجِدَ فَإِنِّي أَنْهَاكُمْ عَنْ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid-o-Al-Mawaz’a Al-Salaat, Baab Al-Nahi ‘an bina Al-Masjid . . , H: 532, -O-Al-Hakim fil Mustadrik 2 550)

“Khabardaar! Aagaah raho ke tum se pehle log apne Nabiyon aur waliyon ki qabron ko Masjidein bana lete the, Tum qabron ko Masjidein na banaao mein tumhein is se mana’ karta hoon.”

Is Hadees se ma’loom hoa ke Rasoolullah (ﷺ) ne qabron ko Masjidein banaane se mana’ farma diya hai.

Yeh baat ma’loom hai ke jo shakhs kisi qabr ke paas Namaz padhta hai to is ke ma’ani yeh hain ke us ne us se Masjid bana liya hai. Aur jo koi kisi qabr par Namaz padhne ke liye ‘imaarat banaae Us ne bhi goya qabr ko Masjid bana diya jab ke farz yeh hai ke qabron ko Masjidon se door rakha jaae aur Rasoolullah (ﷺ) ke Irshaad-e-Giraami ki ta’meel mein un mein qabrein na banaai jaaein taakeh hum us la’nat se mehfooz rah sakein, Jo Allah Ta’ala ki taraf se qabron par Masjid banaane waalon par padti hai kyunke jab koi shakhs kisi aisi Masjid mein Namaz padhe ga jis mein qabrein hon gi to shaitaan us ke liye mayyat se dua’a karne ya us se madad talab karne ya us ke liye Namaz padhne ya us ko sajdah karne jaise am’aal ko muzayyan kare ga. Jis ki wajah se woh Shirk-e-Akbar mein waqi’a ho jaaega aur phir chunki yeh Yahoodiyon aur ‘Isaaiyon ka tarz-e-‘amal hai aur hamare liye yeh waajib hai ke hum un ki mukhaalifat karen aur un ke bure tareeqe aur ‘amal se door rahen. Allah Ta’ala hamein is ki toufeeq ‘ataa farmaae!

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents