Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

061. ([إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ]{dir=”rtl”}) Aur ([وَإِنِّي لَغَفَّارٌ]{dir=”rtl”}) mein Tatbeeq

([إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ]{dir=”rtl”}) Aur ([وَإِنِّي لَغَفَّارٌ]{dir=”rtl”}) mein Tatbeeq

[Sawaal]

Aayat-e-Kareema:

إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَنْ يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَلِكَ لِمَنْ يَشَاءُ

(Al-Nisaa 4 48)

“Yaqeenan Allah us gunaah ko nahi bakhshe ga ke kisi ko us ka shareek thehraaya jaae aur us ke siwa aur jo gunaah jis ko chaahe ma’af kar de” .

Aur Aayat-e-Kareema:

وَإِنِّي لَغَفَّارٌ لِمَن تَابَ وَمَا مَنَ وَعَمِلَ صَالِحًا ثُمَّ اهْتَدَى

(Taha 20 82)

“Aur jo tawbah kare aur Imaan laae aur amal-e-saalih kare aur phir seedhi raah par chale us ke gunaah zaroor bakhsh dene waala hoon”

Mein tatbeeq kese ho gi?’ Kia un mein ta’rruz nahi hai?

[Jawab]

In do Aayaaton mein koi ta’aruz nahi hai kyunke pehli Aayat us shakhs ke baare mein hai jo shirk par mare aur tawbah na kare to us se Allah Ta’ala ma’af nahi kare ga aur us ka thikaana jahannum hai jaisa ke Allah Ta’ala ne farmaaya hai:

إِنَّهُ مَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ وَمَأْوَلَهُ النَّارُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنصَارِ

(Al-Ma’aidah 5 72)

“Jo shakhs Allah ke saath shirk kare ga. Allah Ta’ala ne us par behashat ko Haraam kar diya hai aur us ka thikana dozakh hai aur zaalimon ka koi madadgaar nahi.”

Aur farmaaya:

وَلَوْ أَشْرَكُوا لَحَبِطَ عَنْهُم مَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ

(Al-An’aam 6 88)

“Aur agar woh (Yaane Ambiya علیہ السلام) bhi shirk karte to jo woh ‘amal karte the sab zaay’a ho jaate.”

Doosri Aayat-e-kareema un logon ke haqq mein hai jo tawbah kar lein, Isi tarah hasb-e-zail Aayat-e-kareema:

قُلْ يَعِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَى أَنفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِن رَّحْمَةِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

(Al-Zamar 39 53)

“(Ae Paighambar! Meri taraf se logon ko) keh dijiye ke Ae mere bando! Jinhon ne apni jaanon par ziyaadati ki hai Allah ki rehmat se naumeed na hona, Allah to sab gunaahon ko bakhsh deta hai (Aur) Woh to bakhshne waala meherbaan hai.”

ke baare mein ‘Ulama ka ittefaaq hai ke yeh bhi tawbah karne waalon ke baare mein hai aur tawbah ki toufeeq ‘ataa farmaane waala bhi to Allah hi hai.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents