070. ‘Aurton ke liye qabron ki ziyaarat kio Haraam hai?
‘Aurton ke liye qabron ki ziyaarat kio Haraam hai?
[Sawaal]
‘Aurton ke liye qabron ki ziyaarat ki hurmat ka sabab ya ‘illat Kia hai?
[Jawab]
Awwalan: Rasoolullah (ﷺ) ne jo yeh farmaaya:
لَعَنَ اللهُ زَائِرَاتِ الْقُبُورِ
“Allah Ta’ala qabron ki ziyaarat karne waali ‘Aurton par la’nat farmaae.”
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Salaat baab maa jaa fi karahiyat an yatakhaz ‘Ali Al-qabr masjida, H: 320, -O-Sunan Kubra Bahiqui (2 78)
To is se ma’loom hoa ke ‘Aurton ke liye is ki shadeed Mumaani’at hai. Isi tarah Hazrat Fatima رضي الله عنها ne jab ta’aziyat ke liye kuch logon ki ziyaarat ki to Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
لَوْ بَلَغْتِ مَعَهُمُ الْكُدَاء ” يعني أَدْنَى الْمَقَابِرِ” مَا رَأَيْتِ الْجَنَّةَ … الخ
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Janaa’iz, Baab Al-Ta’aziyat, H: 3123, -O-Al-Nisai fi Al-Mujtaba 3 27 -O-Ahmad fi Al-Masnad 2 168 , 169)
“Agar tu un ke saath maqaam-e-Kada (Yaane qabaristan ka qareeb tareen maqaam) tak bhi jaati to Jannat ko na dekh sakti. . . .”
Saaniyan:
Us ki ‘illat is Hadees mein maujood hai jis mein yeh zikr hai ke jab kuch ‘Aurtein janaaze ke saath niklin to Aap (ﷺ) ne farmaaya:
فَارْجِعْنَ مَازُوْرَاتٍ غَيْرَ مَأْجُورَاتٍ فَإِنَّكُنَّ تَفْتِنَّ الْحَيَّ وَتُؤْذِيْنَ الْمَيِّتَ
“Tum wapas lout jaao Agar tum janaaze ke sath aaen to tumhein gunaah ho ga. Ajar-o-sawaab nahi mile ga kyunke tum zindah ko fitna mein daal deti ho aur murdaah ko takleef pohanchaati ho.” Goya aap ne is ke do sabab bayaan farmaae:
(1) ‘Aurtein zindah insaanon ke liye fitna hain, ‘Aurat saraapa pardah hai, Us ka ajnabi mardon ke saamne aana aur numaayaan hona fitne mein mubtala karna aur jaraim ki taraf le jaane ka baa’is hai.
(2) ‘Aurton mein chunki sabar kam hota hai, Un ka dil naram hota hai, Yeh aalam-o-masaaib ko bardasht nahi kar sakten is liye khadsha hai ke qabron ke paas jaa kar yeh noha shur’u kar dein’ Buland awaaz se saug ka izhaar karein aur mayyat ke muhaasin ko bayaan karna shur’u kar dein aur yeh sab baatein shar’an Haraam hain.
‘Aurton ka ziyaarat ke fuqta-e-nazar se qabaristan jaane ko Ulama-e-muhaqqiqeen ne jaaiz qaraar diya hai basharteke mardon ke saath ikhtilat aur be pardagi na ho. doosre’ Woh wahan jaa kar jaza’a-o-faza’a aur is qism ki ghair shar’i harkaat ka irtikaab na karen. Is liye mumaan’iat ki Ahadees ya to za’eef hain, Jis se mazkoora baala fatwa mein jo teen Hadeesein naqal hoi hain. Yeh teenon sanadan-e-za’eef hain. Tafseel ke liye mulaahiza ho (Ahkaam Al-Janaa’iz-o-Bad’aha’ S: 236′ Za’eef Al-Nisai’ Hadees: 1880′ -O-Masnad Abu Ya’ala baa tehqeeq Hussain Saleem Asad’ J: 7 S: 109) Ya phir un ka ta’lluq ziyaarat-e-qaboor ki ijaazat dene se pehle se hai, ba’d mein jab ziyaarat-e-qaboor ki ijaazat de di gai to us ijaazat mein mardon ke saath ‘Aurtein bhi mazkoora shart ke saath shaamil hon gi.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…