071. Aakhirat mein kaafir ka hisaab
Aakhirat mein kaafir ka hisaab
[Sawaal]
Mard momin ke hisaab ka waqt Roz-e-Qayaamat hai, Agar us ne achhe ‘amal kiye to acha anjaam aur agar bure ‘amal kiye to bura anjaam ho ga. Lekin sawaal yeh hai ke kaafir se hisaab kio ki us se to un ahkaam par ‘amal pera hone ka mutaalba hi nahi jin par ‘amal karne ka momin se mutaalba hai?
[Jawab]
Yeh sawaal ghalat fehmi par mabni hai kyunke kaafir se bhi wahi mutaalba hai jo momin se hai lekin duniya mein woh us ka paaband nahi hai, Kaafir se is ke mutaalba ki daleel yeh hai ke:
إِلَّا أَصْحَابُ الْيَمِينِ فِي جَنَّاتٍ يَتَسَاءَلُونَ عَنِ الْمُجْرِمِينَ مَا سَلَكَكُمْ فِي سَفَرَ قَالُوا لَمْ نَكُ مِنَ الْمُصَلِّينَ وَلَمْ نَكُ نُطْعِمُ الْمِسْكِينَ وَكُنَّا نَخُوضُ مَعَ الْخَابِضِينَ وَلَا تُكَذِّبُ بِيَوْمِ الدِّينِ )
(Al-Mudassir 74 36-39)
“Magar daahini taraf waale (neik log) ke woh baagh haae bahisht mein (Hon ge aur) poochte hon ge (Yaane aag mein jalne waale) gunaah gaaron se ke tum dozakh mein kio pade? Woh jawaab dein ge ke hum Namaz nahi padhte the aur na faqeeron ko khaana khilaate the aur Ahl-e-baatil ke saath mil kar (haqq se inkaar karte the) aur roz-e-jaza ko jhutlaate the.”
Agar Namaz na padhne aur miskeenon ko khaana na khilaane ki wajah se woh mutaasir na hote to woh is ka zikr kio karte? Yeh Aayaat is baat ki daleel hain ke fur’oo-e-Islam ke tark par bhi kuffaar se mu’aakhiza ho ga aur jaise naqli daleel se yeh saabit hoa’ ‘Aqli daleel se bhi saabit hai aur woh yeh ke agar Allah Ta’ala Deeni waajibaat mein kotaahi par apne momin bande ka mu’aakhiza kare ga to us kotaahi par apne kaafir bande se baaz paras kio na kare ga? balkeh mein to yahan yeh bhi kahonga ke Allah Ta’ala ne kaafir ko khaane peene aur jis jis n’emat se bhi nawaaza us ka hisaab ho ga.
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
لَـيۡسَ عَلَى الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ جُنَاحٌ فِيۡمَا طَعِمُوۡۤا اِذَا مَا اتَّقَوا وَّاٰمَنُوۡا وَعَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ ثُمَّ اتَّقَوا وَّاٰمَنُوۡا ثُمَّ اتَّقَوا وَّاَحۡسَنُوۡا ؕ وَاللّٰهُ يُحِبُّ الۡمُحۡسِنِيۡنَ
(Al-Maa’idaah 5 93)
“Jo log Imaan laae aur neik ‘amal karte rahe un par un cheezon ka kuch gunaah nahi jo woh khaa chuke jabke unhon ne parhaiz kiya aur Imaan laae aur neik kaam kiye phir parhaiz kiya aur neiko kaari ki aur Allah neiko kaaron ko dost rakhta hai.”
Is Aayat ka mafhoom yeh hai ke mominon ne jo kuch khaaya us ka unhein kuch gunaah nahi lekin kaafiron ne jo kuch khaaya us ka unhein gunaah ho ga. Isi tarah Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
قُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِيۡنَةَ اللّٰهِ الَّتِىۡۤ اَخۡرَجَ لِعِبَادِهٖ وَالطَّيِّبٰتِ مِنَ الرِّزۡقِؕ قُلۡ هِىَ لِلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا فِى الۡحَيٰوةِ الدُّنۡيَا
(Al-A’iraaf 7 32)
“Poocho to ke jo Zeenat-o-(Araaish) aur khaane (Peene) ki paakeezah cheezen Allah ne apne bandon ke liye paida ki hain, Un ko Haraam kis ne kiya hai? Keh do ke yeh cheezein duniya ki zindagi mein Imaan waalon ke liye hain aur Qayaamat ke din khaas unhi ka hissa hon gi.”
Nez Irshaad hai:
قُلۡ مَنۡ حَرَّمَ زِيۡنَةَ اللّٰهِ الَّتِىۡۤ اَخۡرَجَ لِعِبَادِهٖ وَالطَّيِّبٰتِ مِنَ الرِّزۡقِؕ قُلۡ هِىَ لِلَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا فِى الۡحَيٰوةِ الدُّنۡيَا
(Al-A’iraaf 7 32)
“Keh do ke yeh cheezen duniya ki zindagi mein Imaan waalon ke liye hain.”
Is liye jin riwayaat mein Mumaani’at hai, bashaarat sehat’ Un ka ta’lluq un ‘Aurton se ho ga jo jaza’a-o-faza’a karne waali hon gi. Doosri ‘Aurton ke liye jawaaz ho ga. kyunke tazkeer-e-baala aakhirat ki woh bhi Isi tarah zaroorat mand hain jis tarah mard hain. (Wallahu Aa’lam)
Yeh jumla is baat ki daleel hai ke ghair momin ko duniya ki un cheezon se mustafeed hone ka haqq haasil nahi hai Yaane shar’i haqq Haan albatta amar-e-koni ke e’itbaar se haqq haasil hai, Yaane Allah Subhaan-o-Ta’ala ne is duniya ko paida farmaaya aur is se kaafir ne bhi faaida uthaaya hai to is ka inkaar mumkin nahi hai lekin yeh is baat ki daleel hai ke kaafir se is ka hisaab liya jaae ga jo us ne khaaya aur pehna to jaisa ke yeh naqli daleel se saabit hota hai, ‘Aqli daleel se bhi yeh saabit hai ke ‘aasi-o-kaafir jo Allah Ta’ala ke saath Imaan nahi laata yeh us ki n’ematon ko kio iste’maal karta hai? ‘Aqli taur par yeh is baat ka kese haqq daar ho sakta hai ke un cheezon se faaida uthaae’ Jin ka Allah Ta’ala ne apne bandon par in’aam kiya hai? Yeh baat jab waazeh ho gai to us se khud bakhud ma’loom ho gaya ke kaafir se bhi roz-e-Qayaamat us ke ‘amal ka hisaab liya jaaega lekin us ka hisaab momin ki tarah nahi ho ga kyunke momin ka hisaab to bohat asaan ho ga. Allah Ta’ala mard-e-momin se khalwat mein mulaaqat farmaega. Us se apne gunaahon ka iqraar karwaae ga aur bandah jab apne gunaahon ka e’itraaf kar le ga to Allah Subhaan-o-Ta’ala Irshaad farmaaega:
قَدْ سَتَرْتُهَا عَلَيْكَ فِي الدُّنْيَا وَأَنَا أَغْفِرُهَا لَكَ الْيَوْمَ
“Main ne duniya mein tere in gunaahon par parde daala aur aaj unhein ma’af karta hoon.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Adab, Baab Satar Al-Momin ‘Ali nafsahu, H: 6070)
Aur kaafir ka hisaab is tarah ho ga ………-Wal-‘iyaazbillah……… ke us se gunaahon ka iqraar bhi karwaaya jaae ga aur sab logon ke saamne us se zaleel-o-khuwaar bhi kiya jaae ga.
وَ يَقُوۡلُ الۡاَشۡهَادُ هٰٓؤُلَاۤءِ الَّذِيۡنَ كَذَبُوۡا عَلٰى رَبِّهِمۡ ۚ اَلَا لَـعۡنَةُ اللّٰهِ عَلَى الظّٰلِمِيۡنَۙ
(Haud 11 18)
“Gawah kahen ge ke yehi log hain jinhon ne apne Parwardigaar par jhoot bola tha, Sun rakho ke zaalimon par Allah ki la’nat hai.”
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…