Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

076. Faut shudgaan ke liye Qur’an padhna

Faut shudgaan ke liye Qur’an padhna

[Sawaal]

Kia mayyat ke liye is tarah Qur’an padhna ke us ke ghar mein Qur’an-e-Kareem ke nuskhe rakh diye jaaein aur phir us ke padosi aur deegar musalmaan dost ahbaab aaein aur un mein se har ek Ek paarah tilaawat kare aur tilaawat kar ke chala jaae aur us se us ka koi mu’awza bhi na diya jaae aur phir qiraat se faraaghat ke ba’d mayyat ke liye du’a ki jaae aur Qur’an padhne ka sawaab us se pohanchaya jaae, To Kia tilaawat aur du’a mayyat tak pohanchti hai?

Aur us ka sawaab pohanchta hai ya nahi? Umeed hai aap jawaab se Sarfaraaz farma kar shukriya ka mouqa bakhshen ge.

[Jawab]

Is tarah ke ‘amal be asal (Be daleel) hain, Nabi Kareem (ﷺ) aur Hazrat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم se yeh qat’an saabit nahi ke unhon ne is tarah murdon ke liye Qur’an padha ho balkeh Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

مَنْ عَمِلَ عَمَلًا لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدُّ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-‘Aqziyat, Baab Naqz Al-Ahkaam Al-Baatilat, H: 1718)

“Jis ne koi aisa ‘amal kiya jo hamare amar-e-(Deen) ke khilaaf ho to woh (‘Amal) mardood hai.”

Isi tarah Hazrat Ayesha رضي الله عنها se riwaayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدُّ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaah, Baab Izaa Istahawa ‘Ali Salaah . . . H: 2697, Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab Naqz Al-Ahkaam Al-Baatilat, H. . . :1718)

“Jo shakhs hamare is Deen-e-(Islam) mein koi aisi cheez paida kare jo us mein se na ho to woh (Cheez) mardood hai.”

Hazrat Jabir رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) har Jumm’a ke khutba mein yeh farmaaya karte the ke:

أَمَّا بَعْدُ فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيْثِ كِتَابُ اللهِ وَخَيْرَ الْهَدْيِ هَدْي مُحَمَّدٍ ، وَشَرَّ الأُمُورِ مُحْدَثَاتُهَا وَكُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَة

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Jumm’a, Baab Takhfeef Al-Salaat-o-Al-Khutba, H: 867, Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Sunnat, Baab ijtinaab Al-Bad’a-o-al-Jadal, H: 45)

“Hamd-o-Sana ke ba’d! Sab se behtareen baat Allah ki kitaab hai aur sab se behtareen tareeqa Muhammad (ﷺ) ka tareeqa hai. Sab se badtareen umoor bidd’aat hain aur har bidd’at gumraahi hai.”

(Sahih sanad ke saath yeh alfaaz bhi saabit hain ke:)

وَكُلُّ ضَلَالَةٍ في النار

“Har gumraahi jahannum mein le jaae gi.”

(Sunan Nisa’i, Kitaab Al-Salaat Al-‘Eidin, Kaif Al-Khutba, H: 1579)

Faut shud gaan ki taraf se sadqa karna aur un ke liye dua’a karna un ke liye munfa’at bakhsh saabit hota hai aur us par tamaam musalmaanon ka ijm’a hai ke sadqa aur dua’a ka sawaab unhein milta hai.

Wa Billahi Al-Toufeeq’ Wa Allah Al-Musta’an

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents