079. Karaman-e-Kaatibeen ki takhleeq mein Kia hikmat Hai?
Karaman-e-Kaatibeen ki takhleeq mein Kia hikmat Hai?
[Sawaal]
Allah Ta’ala ne hamare liye karaman-e-kaatibeen farishton ko muqarrar farmaaya hai, Jo hum bolte aur sunte hain woh sab kuch likh lete hain to sawaal yeh hai ke un farishton ke paida karne mein Kia hikmat hai kyunke Allah Subhaan-o-Ta’ala to sab kuch jaanta hai aur us se hamari koi zaahiri aur baatini baat posheedah nahi hai?
[Jawab]
Is tarah ke umoor ki hikmat kabhi hamein ma’loom ho jaati hai aur kabhi ma’loom nahi hoti kyunke bohat saari cheezein aisi hain jin ki hikmat hamein ma’loom nahi jaisa ke Allah Ta’ala ne rooh ka zikr karte hue farmaaya hai ke:
وَيَسۡــئَلُوۡنَكَ عَنِ الرُّوۡحِ ؕ قُلِ الرُّوۡحُ مِنۡ اَمۡرِ رَبِّىۡ وَمَاۤ اُوۡتِيۡتُمۡ مِّنَ الۡعِلۡمِ اِلَّا قَلِيۡلًا
(Al-Israa 17 85)
“Aur tum se rooh ke baare mein sawaal karte hain, Keh do ke woh mere Parwardigaar ka amar hai aur tum logon ko (Bohat hi) kam ‘ilm diya gaya hai.”
Isi tarah agar koi shakhs maslan yeh pooche ke oont ko is tarah paida karne mein Kia hikmat hai? Aur ghode ko is tarah , Gadhe ko is tarah aur aadmi ko is tarah paida karne mein Kia hikmat hai? Ya agar koi shakhs yeh kahe ke Zuhr, Asar aur ‘Ishaa ki Namaazon ki chaar chaar rak’aat farz qaraar dene mein Kia hikmat hai? Unhein aath ya chey rak’aat kio muqarrar nahi kar diya gaya? To hamein sachi yeh baat yeh hai ke un ki hikmat ka ‘ilm nahi hai. Is se ma’loom hoa ke bohat se koi aur shar’i umoor aise hain jin ki hikmat hum se makhfi hai. Agar ashya-e-makhlooqa ya ashyaa-e-mashroo’a ki hikmat hamein ma’loom ho jaae to yeh zaaid fazal’ ‘Ilm aur khair hai aur agar un ki hikmat ma’loom na ho sake to yeh kami ya nuqs ki baat nahi hai.
Ab raha yeh sawaal ke hamare saath karaman-e-kaatibeen muqarrar karne mein Kia hikmat hai? To is mein hikmat yeh hai ke Allah Ta’ala ne Kaainaat ki tamaam ashyaa ko ek nazam ke saath tarteeb diya aur us nazam ko nihaayat ‘umdigi-o-khoobi ke saath mazboot-o-mustehkam kiya hai hatta
ke insaanon ke aqwaal-o-af’aal ke likhne ke liye us ne karaman-e-kaatibeen ko muqarrar farma diya hai halaankeh woh ‘alaam Al-ghuyoob to hamare karne se bhi pehle hamare aqwaal-o-af’aal ko jaanta hai lekin yeh saara nizaam is baat ka Mazhar hai ke Allah Ta’ala ne insaan ko kamaal darja ki ahmiyat di hai aur us ne Kaainaat ke nizaam ko kamaal tareeqe se tarteeb diya hai. Wallahu A’alam.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…