Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

085. Oonchi qabr ka giraana

Oonchi qabr ka giraana

[Sawaal]

Mere bhayi ka inteqaal hoa to hamare ek qareebi rishtedaar ne us ki qabr ko sataah zameen se ooncha bana diya aur us par Qur’an-e-Majeed ki Aayaat likhwa di hain. To is ke baare mein Kia hukm hai? Kia us ‘imaarat ko giraana jaaiz hai?

[Jawab]

Ahadees se saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne mana’ farmaaya hai ke qabr par ‘imaarat banaai jaae ya us se choona gach kiya jaae ya us par likha jaae. Aap (ﷺ) ne Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ko hukm diya tha ke:

أَنْ لَا تَدَعْ قَبْرًا مُشْرِفًا إلا سويته

“Har oonchi qabr ko baraabar kar do.”

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Janaaiz, Baab Al-Amar bi Taswiyat-il-qabr, H: 969, Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Janaiz, Bab Fi Taswiyat Al-qabr, H: 3218, Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Janaaiz, Baab maa jaa fi taswiyat Al-qabr, H: 1049)

Yaane oonchi qabr ko bhi deegar qabaron ki tarah hamwaar kar do aur shaayad us mumaani’at ka sabab yeh hai ke oonchi aur numaayaan qabr apni taraf tawajjuh mabzool karwaae gi aur saahib-e-qabr ke baare mein fitna mein mubtala karne ka sabab bane gi. Jaahil log samjhen ge ke yeh kisi waali ya neik buzurg ki qabr hai aur us se unhein ta’lluq-e-Khaatir paida ho ga to woh qabr ko Masjid bana kar yahan Namaz padhen ge halaankeh Hadees mein is ki mumaani’at aai hai. hukm yeh hai ke qabr ko sirf ek baalisht ooncha rakha jaae aur woh bhi is liye taakeh yeh ma’loom ho ke yeh qabr hai aur us par koi bethe na us se koi apne qadmon se paamaal kare.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents