087. Kisi mayyat ko maghfoor-o-marhoom kehna jaaiz nahi
Kisi mayyat ko maghfoor-o-marhoom kehna jaaiz nahi
الْحَمْدُ للهِ وَالصَّلُوةُ وَالسَّلَامُ عَلَى عَبْدِهِ وَرَسُوْلِهِ نَبِيَّنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِهِ وَصَحْبِهِ – أَمَّا بَعْدُ
Aaj kal akhbaraat-o-jaraa’id mein Faut shudah logon ki wafaat ke kasrat se e’laanaat aur Faut-e-shudgaan ke qareebi rishtedaaron se kasrat se izhaar-e-ta’ziyat hone laga hai. T’aziyat karte waqt log Faut shudah aadmi ke liye “Maghfoor” aur “Marhoom” ke alfaaz iste’maal karte hain ya is tarah ke deegar alfaaz ke maslan woh jannati hai to jis shakhs ko Islam ke umoor-o-‘aqaa’ed ka zarrah bhar bhi ‘ilm hai, Woh jaanta hai ke kisi ka jannati hona ya na hona aur maghfoor-o-marhoom hona ya na hona un umoor mein se hai, Jin ko Allah Ta’ala ke siwa aur koi nahi jaanta. Ahl-e-Sunnat-o-Al-jama’at ka ‘aqeedah yeh hai ke siwaae us ke jis ke liye Qur’an mein nus ho, Kisi doosre ko jannati ya jahannumi kehna jaaiz nahi hai. Maslan Abu Lahab ke baare mein Qur’an mein nus hai ke woh jahannumi hai ya yeh ke maslan Rasoolullah (ﷺ) ne Das Sahaaba رضي الله عنهم ko Jannat ki bashaarat di’ Is tarah kisi ko Maghfoor ya Marhoom kehna bhi goya us ke jannati hone ki shahaadat dena hai lehaaza un ke bajaae yeh alfaaz iste’maal karna chaahiyein.”Ghafar Allahu laa” (Allah us se ma’af farma de) Ya “Rehmatullah” (Allah Ta’ala us ke haal par rehm farmaae) Ya is tarah ke alfaaz jo mayyat ke liye dua’a par mushtamil hon. Allah Subhaan-o-Ta’ala se dua’a hai ke woh hum sab ko seedhe raaste par chalne ki toufeeq ‘ataa farmaae.
(وصلی الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم)
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…