Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

091. Rizq Allah ke zimma hai

Rizq Allah ke zimma hai

[Sawaal]

Main ne un logon se suna hai jinhon ne Islam ka libaadah audh rakha hai ke rizq Allah Subhaan-o-Ta’ala ke zimma hai aur jo shakhs Allah Ta’ala se dare aur sahih Islam ke raaste par chale to woh apne upar aur neeche se khaae ga aur us ke paas rizq aisi aisi jagah se aae ga jo us ke wehm-o-gumaan mein bhi na ho gi.

Lekin sawaal yeh hai ke phir insaan ba’az ‘ilaaqon mein bhook aur qehet saali ki wajah se marte kio hain? Kia un ‘ilaaqon mein Allah Ta’ala ne rizq ka zimma nahi uthaaya , Ya yeh zimma itaa’at ke saath mashroot hai?

[Jawab]

Beshak Allah Subhaan-o-Ta’ala ne tamaam makhlooq ke liye rizq ka zimma uthaaya hai aur us ne asbaab muhayya farmaae hain lekin woh apne bandon (Khuwaah momin hon ya ghair momin) ki azmaa’ish bhi karta rehta hai taakeh yeh zaahir kar de ki un mein kon sabar karne waale hain aur kon be sabre hain. Allah Subhaan-o- Ta’ala hi ne asbaab-e-rizq ko asaan bana kar muhayya farma diya hai aur us ne insaan ko san’at-o-hurfat , Kamaai ke tareeqe aur talab-e-rizq ke andaaz bhi ta’leem farmaae hain. Agar koi shakhs Allah Ta’ala ki ‘ataa karda quwwat-o-malika ko iste’maal na kare to woh kotaahi ka murtaqib hai aur us ke baare mein khadsha hai ke Allah Ta’ala us par bhook, Aflaas aur takleef ko musallat kar deta hai aur ohir jaanwar waghaira bhi us ki lapait mein aajaate hain.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents