096. Sa’adat-o-Shaqaawat ke ma’ani
Sa’adat-o-Shaqaawat ke ma’ani
[Sawaal]
Mein is sa’aadat-o-shiqaawat ke ma’ani ko waazeh taur par ma’loom karna chaahta hoon Jis se Allah Ta’ala insaan ke liye us waqt likh deta hai, Jab woh abhi shikam-e-maadar hi mein hota hai Nez is mein aur darj zail Aayaat mein kis tarah tatbeeq ho gi:
فَأَمَّا مَنْ أَعْطَى وَاتَّقَى وَصَدَّقَ بِالْحُسْنَى فَسَنُيَسِرُهُ لِلْيُسْرَى وَأَمَّا مَنْ بَخِلَ وَاسْتَغْنَى وَكَذَّبَ بالْحُسْنَى فَسَرُه لِلْمُسْرَى
(Al-Lail 92 5-10)
[Jawab]
Woh sa’adat aur shaqaawat jis se Allah Ta’ala insaan ke liye us waqt likhta hai jab woh shikam-e-maadar mein hota hai, us se to Allah Ta’ala ne asmaanon aur zameen ki takhleeq se pachaas hazaar saal qabl bhi likha tha. Jaisa ke Hadees mein Irshaad hoa hai ke:
فَإِنَّ اللَّهَ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى حِيْنَ خَلَقَ الْقَلَمَ قَالَ لَهُ: اكْتُبْ قَالَ : رَبِّ وَمَاذَا اكْتُبُ ؟ قَالَ : أَكْتُبْ مَا هُوَ كَائِنٌ فَجَرَى فِي تِلْكَ السَّاعَةِ بِمَا هُوَ كَائِنٌ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Sunnat, Baab fi al-Qadar, H: 4700, -O-Sunan Al-Tirmizi, Kitaab Al-Qadar, H: 2155)
“Allah Subhaan-o-Ta’ala ne jab qalam ko paida farmaaya to us se kaha likh! Qalam ne ‘arz kiya: “Ae mere Rabb mein Kia likhoon?” Allah Ta’ala ne farmaaya jo kuch hone waala hai us se likh de to qalam ne us waqt woh sab kuch likh diya jo Qayaamat tak hone waala tha.”
Qalam ne jo kuch likha us mein insaanon ki sa’adat-o-shaqaawat (Ka bayaan) bhi hai aur yeh Irshaad-e-Baari Ta’ala:
فَأَمَّا مَنْ أَعْطَى وَالْقَى وَصَدَقَ بِالْحُسْنَى فَسَنُيَسِرُهُ لِلْمُسْرَى وَأَمَّا مَنْ بَخِلَ وَاسْتَغْنَى وَكَذَّبَ بِالْمُنَى فَسَرُهُ لِلْمُسرى
(Al-Lail 92 5-10)
“To jis ne (Allah ke raaste mein maal) diya aur parhaizgaari ikhtiyaar ki aur neik baat ko sach jaana us ko hum asaan tareeqe ki toufeeq dein ge aur jis ne bukhal kiya aur beparwah bana raha aur neik baat ko jhoot samjha us se sakhti mein pohanchaaein ge.”
Kyunke bande ka yeh f’el sa’adat ya shaqaawat ka sabab banta hai, bande par farz hai ke us se adaa kare jo Allah Ta’ala ne us par farz kiya hai Yaane us ke hukm ki ita’at baja laae, Nahi se ijtinaab kare, Khair ki tasdeeq kare, Bukhal-o-istaghna aur Allah Ta’ala ki khabar ki takzeeb se baaz rahe. Nabi Kareem (ﷺ) ne jab Hazrat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ke saath yeh Hadees bayaan farmaai ke Allah Ta’ala ne har insaan ki Jannat ya jahannum mein jagah ko likh rakha hai to Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ne ‘arz kiya: “Ya Rasoolullah! Kia is tehreer par tawakkul karte hue hum ‘amal karna chod na dein?” To Aap (ﷺ) ne farmaaya:
اعْمَلُوا فَكُلِّ مُبَسَّرٌ لِمَا خُلِقَ لَهُ
” ‘Amal karo ! Har ek ke liye us se asaan kar diya jaae ga jis ke liye woh paida hoa hai.”
Phir Aap (ﷺ) ne mazkoora baala Aayaat ki tilaawat farmaai.
(Sahih Bukhari، Kitaab Al-Tafseer، Baab Faneerat lil ‘Asri، H : 4949)
Jab insaan ko toufeeq mile Woh salaamati ki rawish ko ikhtiyaar kare, Amar ko baja laae, Nahi ko tark kar de, Jis ki tasdeeq farz hai, Us ki tasdeeq kare to us se asaani ki toufeeq muyassar aa jaae gi aur yeh is baat ki daleel aur ‘unwaan ho gi ke woh Ahl-e-sa’adat mein se hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai ke Ahl-e-sa’adat ko Ahl-e-sa’adat ke se ‘amalon ki toufeeq mil jaati hai aur agar soorat-e-haal is ke bar’aks ho to yeh is baat ki daleel hai ke woh shaqi hai . .Wa Al-Iyaazu billah . . . kyunke us ke liye Ahl-e-shaqaawat ke ‘amal ko asaan bana diya gaya hai.
__Shaikh Ibn-e-Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…