Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

098. ‘Ilm-e-Ghaib ka da’awa karne waala kaahin ya jaadugar ya taaghoot hai

‘Ilm-e-Ghaib ka da’awa karne waala kaahin ya jaadugar ya taaghoot hai

[Sawaal]

Jo shakhs ‘ilm-e-ghaib ka da’awa kare us ka Kia hukm hai?

Ghaib ki woh kon si qismein hain jinhein jaanne ka insaan ko shouq hai?

[Jawab]

Jo shakhs ‘ilm-e-ghaib ka da’wa kare woh kaahin ya jaadugar ya taaghaut hai kyunke ‘ilm-e-ghaib ko Allah Ta’ala ke siwa aur koi nahi jaanta .

Irshaad-e-Baari Ta’ala Hai:

وَعِنۡدَهٗ مَفَاتِحُ الۡغَيۡبِ لَا يَعۡلَمُهَاۤ اِلَّا هُوَ‌ؕ

(Al-An’aam 6 59)

“Aur us ke paas ghaib ki kunjiyaan hain, Jin ko us ke siwa koi nahi jaanta.”

Ghaib se muraad mustaqbil ke waqi’aat’ Mout aur Umar waghaira ka ‘ilm hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents