Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

103. Ambiya Karaam [عَلَيهِمُ السَّلَام]{dir=”rtl”} ki sadaaqat ki daleel

Ambiya Karaam [عَلَيهِمُ السَّلَام]{dir=”rtl”} ki sadaaqat ki daleel

[Sawaal]

Hazrat Ambiya-o-Mursaleen عَلَيهِمُ السَّلَام ki sadaaqat ki Kia daleel hai? Allah Ta’ala ne un ki kis tarah madad farmaai?

[Jawab]

Allah Ta’ala ne Hazrat Ambiya Karaam عَلَيهِمُ السَّلَام ki sadaaqat par bohat se dalaail qaaim farmaae aur aise aise ma’ujizaat se un ki madad farmaai jis se insaaniyat dang reh gai Qaumon ne apne Ambiya ko un ki sadaaqat aur un ke jazba-e-hamdardi-o-khair khuwaahi se bhi pehchaana ke un ke ikhlaaq-e-Husna, Un ke am’aal-e-saaliha Un ki zabaanein raastbaaz aur woh amaanat-o-diyaanat ke Paikar the aur chehron ki bashashat-o-talaqat is par mustazaad! Allah hi ziyaada behtar jaanta hai ke Nabuwwat-o-Risaalat ka mustahiq kon tha? Ambiya Karaam عَلَيهِمُ السَّلَام Allah Ta’ala ki saari makhlooq mein se behtareen the aur aur tumhara Rabb jo chaahta hai paida farmaata aur muntakhib karta hai. Jo shakhs is masla ki mazeed tafseel ma’loom karna chaahe us se tareekh’ Tafseer’ Seerat-ul-Nabi (ﷺ)’ Ma’ujizaat aur dalaail-e-Nabuwwat ki un kitaabon ka mutaaliy’a karna chaahiye jo Hazrat ‘Ulama-e-Karaam ne tasneef farmaai hain. Unhon ne un kitaabon mein tafseelaat bayaan farmaai hain.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents