Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

106. Jaadu ka Jaadu se tod

Jaadu ka Jaadu se tod

[Sawaal]

Mere ek dost ki biwi par Jaadu ho gaya aur kisi bhi dawa se usset faaida na hoa to hamein ek aadmi ne ek aise shakhs ka pata bataaya jo Jaadu ka ‘ilaaj Jaadu se karta hai to Kia us shakhs ko gunaah ho ga jo doosron ko faaida pohanchaane ke liye to Jaadu se kaam leta hai magar is se woh kisi ko nuqsaan nahi pohanchaata? Aur Kia apni biwi ke ‘ilaaj ke liye us jaadugar ke paas jaane ki wajah se mere dost ko gunaah ho ga?

[Jawab]

Sab se pehle mein yeh bayaan kar dena zaroori samajhta hoon ke Jaadu Akbar-e-muharrimat mein se hai balkeh agar jaadugar apne Jaadu ke silsila mein shaitaani ahwaal se madad leta ho ya Jaadu us se shirk tak pohanchata ho to phir yeh kufur bhi hai. Jaadu ka seekhna bhi kufur haiihaaza is se door rehna aur is se bachna farz hai taakeh insaan kufur mein mubtala ho kar millat-e-Islamiya se hi khaarij na ho jaae. Mashoor (Jis par Jaadu kiya gaya ho) se seher door karne ke do tareeqe hain.

(1) Mubaah dua’aon aur Qur’ani Aayaat se us se door kiya jaae yeh jaaiz hai aur is mein koi harj nahi aur is silsila mein sab se behtar yeh hai ke mashoor ko (قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ) aur (قُلْ اعْوذُ بِرَبِّ النَّاسِ) padh kar dum kiya jaae.

(2) Jaadu ka Jaadu se ‘ilaaj kiya jaae, Is masla mein salaf-o-khalaf mein ikhtilaaf raha hai. Ba’az ‘Ulama ne is ki ijaazat di hai kyunke is se mashoor se shar ka azaala ho jaata hai aur ba’az ne Jaadu se ‘ilaaj ki ijaazat nahi di. Nabi Kareem (ﷺ) se nashrah ke baare mein poocha gaya to aap ne farmaaya :

“Yeh shaaitan ka ‘amal hai aur ‘amal-e-shaitaan Jaadu hi hota hai.”

Mubaah dua’aon ke saath ‘ilaaj mein koi harj nahi. Jo shakhs Jaadu mein mubtala ho jaae us se sabar karna chaahiye aur Qur’an-e-Majeed aur mubah dua’aon ko kasrat se padhna chaahiye taa ke Allah Ta’ala us se shifa ‘ataa farma de

Jaadu ki tasdeeq ki do qismien hain:

(1) Yeh maanna ke is ki taaseer hai is mein koi harj nahi kyunke yeh ek amar-e-waaqiy’e hai.

(2) Yeh ke is ka iqraar kare aur us par izhaar-e-razaamandi kare, Yeh Haraam aur najaaiz hai.

Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents