Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

107. Ahl-e-Fitrat ka anjaam

Ahl-e-Fitrat ka anjaam

[Sawaal]

Jin logon ne Allah Ta’ala ke Rasool Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ki wafaat ke ba’d se hamare Rasool Hazrat Muhammad (ﷺ) ki ba’isat se pehle tak ka zamaana paaya hai un ka anjaam Kia ho ga? Kia unhein Ahl-e-fitrat shumaar kiya jaae ga?

[Jawab]

Sahi baat yeh hai ke Ahl-e-fitrat ki do qismien hain:

(1) Jin par hujjat qaaim ho gai aur (Unhon ne) haqq ko pehchaan bhi liya lekin apne abaa-o-ijdaad ki pairwi ki to aise logon ka koi ‘uzr qaabil-e-qubool na ho ga aur yeh jahannum raseed hon ge.

(2) Lekin jin logon par hujjat qaaim na ho saki to un ka ma’amla Allah ke supurd hai, hamein un ke anjaam ka ‘ilm nahi kyunke shaar’a mein is baare mein koi nus maujood nahi hai.

Aur jis ke baare mein daleel-e-sahih se yeh saabit ho jaae ke woh jahannumi hai to woh bilaa shuba jahannum raseed ho ga.

_Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents