Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

108. ‘Az-o-Sharf aur ka’bah ki qasam khaana

‘Az-o-Sharf aur ka’bah ki qasam khaana

[Sawaal]

Kia ‘az-o-sharf aur Ka’bah ki qasam khaana jaaiz hai?

[Jawab]

Ghair Allah ki qasam khaana jaaiz nahi balkeh yeh shirk hai kyunke kisi cheez ki qasam khaane ke ma’ani us ki ta’zeem ke hain aur makhlooq ki ta’zeem jaaiz nahi. Shur’u-e-Islam mein Sahaaba Karaam رضي الله عنهم Ka’bah ki qasam khaaya karte the to Nabi (ﷺ) ne unhein hukm diya ke Ka’bah ki bajaae Rabb-e-Ka’bah ki qasam khaaya karo.

‘Az-o-Sharf aur hasb-o-nasab ya baap daada waghaira ki qasam khaana ghair Allah ki qasam hai aur Hazrat Ibn-e-Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ farmaate hain ke siyaah raat mein siyaah pathar par siyaah chyunti ki aahat se bhi ziyaada makhfi tareeqe se us Ummat mein shirk saraayat kar jaae ga maslan tum kisi khaatoon se yeh kaho ke tumhari zindagi ki qasam ya yeh kaho ke meri zindagi ki qasam’ To Hazrat Ibn-e-‘Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ne zindagi ki qasam ko bhi shirk qaraar diya.

(1) Qur’an aur Hadees ke qat’i naswis-o-dalaail ke mutaabiq ab tak Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ki wafaat nahi hoi balkeh unhein zindah aasmaan par utha liya gaya tha lehaaza un ke liye yahan wafaat ki bajaae “Rafa’a-e-Samaa” ke alfaaz iste’maal karne chaahiyein. Hayaat-e-Maseeh ke masla ki tafseel ma’loom karne ke liye mulaahiza farmaaiye Moulaana Muhammad Ibrahim Meer Sialkoti ki shehrah-e-afaaq kitaab “shahaadat-ul-Qur’an.”

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents