111. Ghair muslimon ki khidmat mein sharaab pesh kar ke un ki ‘izzat afzaai karna
Ghair muslimon ki khidmat mein sharaab pesh kar ke un ki ‘izzat afzaai karna
[Sawaal]
Kia ek musalmaan ke liye yeh jaaiz hai ke woh apne ghair muslim saathiyon ki ‘izzat afzaai ke liye un ki khidmat mein aisa khaana peena pesh kare jo Deen-e-Islam mein Haraam ho?
[Jawab]
Islam-e-rawadaari’ Asaani aur sahoolat ka Deen hai aur is ke saath hi yeh ‘adal-o-ikraam aur deegar Islami aadaab ka bhi Deen hai lekin jis shakhs ki ‘izzat afzaai ki jaa rahi ho agar woh kaafir ho to ‘izzat afzaai karne waale ke maqsad ke mukhtalif hone se aur jis se woh us ki izzat afzaai karna chaahta hai, Us ke mukhtalif hone se hukm bhi mukhtalif ho ga. Agar ‘izzat afzaai ka (Koi) shar’i maqsad hai, Maslan: Woh kaafir ke saath maraasim paida kar ke us se Islam ki da’wat dena chaahta hai taakeh us se kufur-o-zalaalat se bacha le to yeh ek pakeezah maqsad hai.
Shariy’at ke muqarrar qawaaid mein se ek qaaida yeh bhi hai ke wasail ka hukm un ke maqaasid ke e’itbaar se hota hai, Agar maqsad waajib ho to woh waseela bhi waajib ho jaata hai aur agar maqsad Haraam ho to waseela bhi Haraam ho ga. Agar kaafir ki ‘izzat afzaai ka maqsad shar’i na ho aur tark-e-‘izzat ka koi nuqsaan bhi na ho to us ki ‘izzat karna jaaiz hai lekin us ki khidmat mein Haraam khaana peena maslan Khinzeer ka gosht ya sharaab pesh karna jaaiz nahi kyunke is ‘izzat afzaai mein us ki ita’at aur Allah Ta’ala ki nafarmaani hai aur us ke haqq ko Allah Ta’ala ke haqq par muqaddam qaraar deta hai jab ke ek musalmaan par farz yeh hai ke woh apne Deen ko mazbooti se thaame. Ajnabi mumaalik mein apne Deen par ‘amal karne ke bohat achhe asraat-o-nataaij zaahir hote hain, Is tarah musalmaan qawl-o-‘amal ke e’itbaar se Deen ka daa’i ban jaata hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…