126. Ahl-o-‘Ayaal ke saath sukoonat ka hukm jab ke woh Namaz na padhte hon
Ahl-o-‘Ayaal ke saath sukoonat ka hukm jab ke woh Namaz na padhte hon
[Sawaal]
Jab aadmi apne Ahl-o-‘ayaal ko Namaz ka hukm de lekin woh us ki baat na sunen to Kia woh un ke saath sukoonat ikhtiyaar kare aur mil jool kar rahe ya ghar se nikal jaae?
[Jawab]
Jo agar yeh Ahl-o-‘Ayaal bilkul Namaz na padhein to woh kaafir hain, Daaira-e-Islam se khaarij hain, Un ke saath sukoonat ikhtiyaar karna jaaiz nahi. Us aadmi par waajib hai ke woh unhein da’wat deta rahe, Ilhaah-o-zaari ke saath aur baar baar da’wat deta rahe shaayad Allah Ta’ala unhein hidaayat ‘ataa farma de. Tark-e-Namaz kaafir hai. Wa Al-‘ilyazu Billah! Kitaab-o-Sunnat ke dalaail, Aqwaal-e-Sahaaba aur sahih nuqta-e-nazar ke mutaabiq yeh baat sahih hai ke tark-e-Namaz kaafir hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…