132. Kaafir ki najaasat ma’anwi hai
Kaafir ki najaasat ma’anwi hai
[Sawaal]
Hum kuch aise logon ke saath kaam karte hain jo be Deen hain, Aag aur gaaye ki pooja karte hain. Allah Ta’ala ne aise logon ko napaak aur najis qaraar diya hai, To sawaal yeh hai ke un ki najaasat ki maahiyat Kia hai? Kia hum un se door rahen, Musaafiha bhi na karen, Aur jab woh napaak hain to phir un ke saath mil kar kaam kis tarah karen? Jin cheezon ko woh haath lagate hain Kia woh napaak ho jaati hain?
Yaad rahe ke yeh log tijaarati maraakiz mein kaam karte hain aur ‘awaam ke saath un ka mail jool hai. Umeed hai is masla mein aap mustafeed farmaaein ge.
[Jawab]
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
إِنَّمَا الْمُشْرِكُونَ نَجَسٌ
(Al-tawba 9 28)
“Mushrik to paleed hain.”
Aur munaafiqeen ke baare mein farmaaya hai:
فَأَعْرِضُوا عَنْهُمْ إِنَّهُمْ رِجْسٌ
(Al-tawba 9 95)
“So un ki taraf iltefaat na karna yeh napaak hain.”
Lekin un ki yeh najaasat ma’anwi najaasat hai aur is se muraad un ka zarar’ Shar aur fasaad hai, Agar un ke jism saaf hon to unhein kisi taur par najis qaraar nahi diya jaa sakta lehaaza un ke pehne hue kapde pehne jaa sakte hain basharteke woh paak hon illa yeh ke woh kapde jo sharam gaahon ke qareeb iste’maal hote hon aur yeh Peshaab se parhaiz na karte hon aur khosusan woh log jin ka khatna bhi na hoa ho to un ke kapde iste’maal karna jaaiz na ho ga. Isi tarah agar woh kisi najaasat mein mulawwis hon maslan Khinzeer ke pakaane ya sharaab waghaira banaane mein to phir yeh najis hon ge lekin un se musaafaha karne aur un ki bani hoi cheezon ke iste’maal karne mein koi harj nahi basharteke yeh ma’loom ho ke woh cheezen paak hain, Chunaanche Rasoolullah (ﷺ) aur Sahaaba Karaam رضي الله عنهم kuffaar ki bani hoi cheezon aur un ke bane hue kapde ko iste’maal farma liya karte the. Ashya mein asal to tahaarat aur pakeezgi hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…