135. Nabi (ﷺ) par zindagi mein ek baar Durood bhejna to farz hai
Nabi (ﷺ) par zindagi mein ek baar Durood bhejna to farz hai
[Sawaal]
Ba’az logon ka khayaal hai ke Nabi Kareem (ﷺ) par ek baar Durood bhejna farz hai aur baaqi mustahab ho ga. Is masla ki wazaahat farma dein?
[Jawab]
Yaqeenan Nabi (ﷺ) ki Zaat-e-Giraami par salwaat-o-salaam bhejna farz hai jaisa ke Irshaad-e-Baari Ta’ala se saabit hai ke:
يَأَيُّهَا الَّذِينَ ءَامَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
(Al-Ahzaab 33 56)
“Momino! Tum bhi paighambar par Durood aur salaam bheja karo.”
usool yeh hai ke amar wajoob ke liye hota hai aur jab Aayat-e-Kareema se takraar ka wajoob saabit nahi hai to ma’loom hoa ke zindagi bhar mein kam az kam ek baar Durood padhna to farz hai aur baar baar padhna mustahab hai kyunke bohat si Ahadees mein Durood ki targheeb di gai hai haan albatta un maqaamaat mein Durood Shareef padhna waajib ho ga jahan Ahadees mein waajib qaraar diya gaya hai.
وصلى الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…