Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

141. Kia Nabi Kareem (ﷺ) mayyat ke paas tashreef laate hain?

Kia Nabi Kareem (ﷺ) mayyat ke paas tashreef laate hain?

[Sawaal]

Kia Nabi Kareem (ﷺ) mayyat ke paas khud banafs-e-Nafees tashreef laate hain ya aapki soorat dikhaai jaati hai?

[Jawab]

Nabi (ﷺ) ki tashreef aawari un ghaibi umoor mein se hai jo toufeeqi hain, Un ka ‘ilm sirf Isi soorat mein ho sakta hai ke Allah Ta’ala apne bandon ko bataae lehaaza kisi bhi nas-e-shar’i ke baghair un umoor mein ghour-o-fikar karna jaaiz nahi hai. Yeh kisi bhi Aayat ya Hadees se qat’an saabit nahi hai ke Aap (ﷺ) khud banafs-e-nafees ya aap ki soorat mayyat ke paas tashreef laati hai. Haan albatta yeh zaroor saabit hai ke Qayaamat ke din log Aap (ﷺ) ke paas jam’a ho kar yeh darkhwaast karen ge ke aap Allah Ta’ala ke paas un ki sifaarish karen ya Qayaamat ke din se mut’alliq is tarah ki doosri baatein jo Nabi (ﷺ) se saabit hain aur jo aap ke khasaais mein se hain.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents