Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

144. Nabi (ﷺ) ki mohabbat sirf ek hi raat ke liye to nahi honi chaahiye

Nabi (ﷺ) ki mohabbat sirf ek hi raat ke liye to nahi honi chaahiye

[Sawaal]

Milaad-ul-Nabi manaane ka Kia hukm hai? Baraah-e-Karaam tafseel se jawaab dijiye Aaj kal is mouzoo par bohat guftugu ho rahi hai

[Jawab]

Yeh qat’an saabit nahi ke Nabi (ﷺ) ne kabhi apna youm-e-milaad manaaya ho ya kisi aur ka youm-e-milaad manaaya ho aur behtareen tareeqa to Hazrat Muhammad (ﷺ) hi ka tareeqa hai, Jab Aap (ﷺ) ne us raat ko nahi manaaya to ma’loom hoa ke us raat ki doosri raaton par koi fazeelat nahi hai aur agar iss se koi fazeelat haasil bhi hai to yeh sirf us raat ki fazeelat hai jis mein Aap (ﷺ) ki wilaadat baa sa’adat hoi na ke ba’d mein aane waale saalon ki har us raat ko fazeelat haasil hai. Allah Ta’ala ne Deen ki takmeel farma di hai aur Nabi (ﷺ) ne mukammal Deen ko Ummat tak pohancha diya hai, Agar us raat ke manaane ka koi shar’i hukm hota ya Sunnat hota aur Aap (ﷺ) ne us se bayaan na farmaaya Us raat ko khud manaaya’ Na manaane ka hukm diya to is ke ma’ani yeh hain ke Khuda nakhuwaasta Aap (ﷺ) ke zamaane mein Deen naaqis tha aur jis baat ka Ummat tak pohanchaana Aap (ﷺ) par farz tha, Aap ne us se Ummat se chupaaya. Doosri taraf sahi Hadees se yeh saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدُّ

“Jo hamare is Deen mein koi aisi nayi baat paida kare jo us mein se na ho to woh mardood hai.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaah, Baab Izaa Istatalhawa ‘Ali salha . . . H: 2997, Sahih Muslim, Kitaab Al-Aqziyat, Baab Naqad Al-Ahkaam Al-Baatilat, H . . . : ,1718)

Bilaashak-o-shuba us raat ko manaana ek aisa ‘amal hai jo Rasoolullah (ﷺ) ke ba’d shur’u hoa hai, Yeh Deen mein apni taraf se izaafa hai aur Deen se is ka koi ta’lluq nahi hai Lehaaza yeh bidd’at hai aur har bidd’at zalaalat hai. Yehi wajah hai ke us raat ko na Nabi (ﷺ) ne manaaya Na Khulafa-e-Raashideen ne Aur na ba’d ke Aimma-e-Deen ne us raat ko manaaya. Us raat ko manaane ka aghaaz chawthi sadi hijri mein ba’az Raafziyon ne kiya tha aur is se un ka maqsad zamaana-e-jaahiliyat ki ba’az ‘aadaton ka ahya tha, Musalmaanon ko gumraah karna tha, Us daur ke bohat se logon ne is raat ko manaana shur’u kar diya, Agarcha jamhoor is ke khilaaf the. Rasoolullah (ﷺ) ki mohabbat har musalmaan par farz hai aur yeh bhi farz hai ke yeh mohabbat saare saal mein sirf ek raat ke liye na ho balkeh hamesha ke liye ho aur Aap (ﷺ) ki mohabbat ka taqaaza hai ke Aap (ﷺ) ki ita’at ki jaae, Aap ke naqsh-e-qadam par chala jaae, Jo shakhs aisa kare ga woh aap ki Ummat aur aap ke farmaanbardaaron mein se ho ga aur jo shakhs ‘ibaadat ke liye koi aisa tareeqa ikhtiyaar kare jo Aap (ﷺ) ne muqarrar na farmaaya ho to us ne aap ki Sunnat aur tareeqa ki mukhaalifat ki, aur Deen mein aisa izaafa kiya jo is mein se nahi hai.

Milaad-e-raat , Nuzool-e-wahi ki raat , Mairaaj ki raat , Hujrat ki raat , Aur ghazwa-e-badar ki raat se afzal to nahi hai, In sab raaton mein musalmaanon ko naf’a-o-khair haasil hoa tha aur yeh kisi ek se bhi saabit nahi ke us ne un mein se kisi raat ko kabhi manaaya ho, Ya us se bedaari-o-shab-e-bedaari ke liye makhsoos kiya ho, halaankeh yeh us Ummat ke salaf the, Acha namoona the, Woh log acha namoona nahi hain jo apne un aslaaf ke tareeqa ki mukhaalifat karen.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents