149. Hazrat ‘Isaa [علیہ السلام]{dir=”rtl”} ko hi aasmaanon par kio uthaaya gaya?
Hazrat ‘Isaa [علیہ السلام]{dir=”rtl”} ko hi aasmaanon par kio uthaaya gaya?
[Sawaal]
Hazrat Muhammad (ﷺ) jab tamaam Ambiya علیہ السلام se afzal hain to un ke bajaae Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ko kio aasmaanon par uthaaya gaya? Aur agar Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ko haqeeqat mein aasmaanon par uthaaya gaya hai to deegar Ambiya علیہ السلام ke bajaae khaas taur par Hazrat Isaa علیہ السلام hi ko kio aasmaanon par uthaaya gaya?
[Jawab]
Allah Ta’ala ki rehmat aur ‘ilm har cheez se was’i hai, Us ne har cheez ka quwwat-o-ghalba ke saath ihaata kar rakha hai, Us ki hikmat-e-baaligha , Us ka Iraadah-e-nafeeza aur us ki qudrat-e-kaamla hai. Us ne apne jin bandon ko chaaha Ambiya-o-Rusul ke taur par muntakhib kar ke Basheer-o-Nazeer bana kar mab’oos farma diya. Ba’az ko ba’az par darjaat mein fazeelat di aur apne fazal-o-rehmat se har ek ko numayaan Imtiyaazat se Sarfaraaz farmaaya. Hazrat Ibrahim aur Hazrat Muhammad (ﷺ) ko khilat se nawaaza. Har Nabi ko un ke zamaane ke munaasib haal Aayat-o-ma’ujizaat ‘ataa kiye taakeh un ki Ummat ke saamne hujjat-e-tamaam ho jaae, In sab umoor mein us ki hikmat-o-‘adal kaar farma hai. Us ke faisle ko koi taal nahi sakta Woh ‘Aziz-o-Hakeem aur Lateef-o-Khabeer Hai.
Har infiraadi fazeelat muwajjib-e-afzeeliyat nahi hai, Hazrat ‘Isaa ko jo zindah aasmaanon par uthaane ki khasoosiyat se nawaaza to yeh Allah Ta’ala ke iraadah-o-hikmat ke mutaabiq hai, Is ke yeh ma’ani nahi ke is se aap tamaam Rasoolon se afzal ho gae aur Ibrahim , Moosa , Muhammad (ﷺ) aur Nooh علیہ السلام se bhi aage badh gae kyunke in Ambiya Karaam علیہ السلام ko lo khasoosiyaat-o-Imtiyaazat se nawaaza gaya , Un ki wajah se woh yaqeenan Hazrat ‘Isaa علیہ السلام se afzal hain. Un fazeelaton ka inhisaar Allah Ta’ala ki marzi-o-mashiyat par hai, Woh jis tarah chaahta hai tadbeer farmaata hai, Woh jo karta hai us ke baare mein us se ba’az purs nahi ki jaa sakti kyunke is ka ‘ilm bhi kamaal aur us ki hikmat bhi kamaal hai phir un fazeelaton se ‘amal-o-‘aqeedah ka koi ta’lluq nahi hai balkeh in masaail par ghour karne waala baza auqaat hairaani-o-pareshaani mein mubtala ho jaata hai, Raib-o-tashkeek ka ghalba ho jaata hai. Mard-e-momin ka shewa yeh hota hai ke woh ahkaam-e-Ilaahi ke saamne sar-e-Ita’at kham kar deta hai aur ‘aqeedah-o-‘amal se muta’lliq umoor mein koshish karta hai, Hazraat Ambiya-o-mursaleen ka yehi manhaj hai aur Khulafa-e-Raashideen aur Ummat ke hidaayat yaafta aslaaf ka bhi yehi tareeq hai.
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…