158. Tariqa-e-Shazliya
Tariqa-e-Shazliya
[Sawaal]
Bahaus e Al-‘Ilmiya-o-al-Iftaa ki fatwa-e-committee ke saamne yeh sawaal pesh kiya gaya jo ‘izzat maab director general ki khidmat mein pesh hoa tha aur jis ka mazmoon yeh hai ke firqa-e-Shazliya se waabasta log Namaz padhte hain na Roza rakhte hain aur na hi Zakaat adaa karte hain. apne murshid jis se yeh “Sayyedna” keh kar pukaarte hain, ke baare mein un ka ‘aqeedah yeh hai ke woh Rabb ke qaaim maqaam hai. Wahi aakhirat ke din un ka kafeel ho ga. Us ne un ke duniya ke har ‘amal ko ma’af kar diya hai. Yeh log har hafta’ Saumwaar aur Jumm’a ki raat jam’a hote hain, Mera baap mujhe is firqa ke saath waabastgi par majboor karta hai aur jab mein Roza rakhon ya Namaz padhoon to woh naraaz hota hai aur mujh se yeh kehta hai ke hamare Sayyed ne hamare liye sab kuch ma’af kar diya hai, Us ne hamein jahannum ke ‘azaab se bacha liya hai Yaane hum yaqeeni taur par jannati hain lekin mein jaanta hoon ke us ki yeh baat yaqeeni taur par ghalat hai kyunke woh hamare jaisa insaan hi hai. lehaaza meri rehnumaai farmaaiye ke mein Kia karoon? Mein jaanta hoon ke Allah mera Rabb hai, Hazrat Muhammad (ﷺ) Allah ke Nabi aur Rasool hain aur Islam mera Deen hai. Mein Islam ke arkaan-e-khamsa ki bhi paabandi karta hoon lekin agar mein apne baap ki ita’at karon to apne Rabb ke ahkaam ka mukhaalif hon ga aur Allah Ta’ala ne Qur’an-e-Majeed mein farmaaya hai:
فَلَا تَقُلْ لَّهُمَاۤ اُفٍّ وَّلَا تَنۡهَرۡهُمَا
(Al-Israa 17 23)
“Un ko uff tak na kehna aur na unhein jhadakna”
Aur agar mein apne baap ki ita’at na karoon to mujh se hamesha naraaz rahe ga aur mujhse jhagadta rahe ga ke mein is tareeqe ko kio ikhtiyaar nahi karta. Doosri taraf meri haalat yeh hai ke mein apne liye kuch nahi kama sakta Meri waalida ke siwa khaandaan mein koi aur meri madad bhi nahi kar sakta. lehaaza baraah-e-Karaam meri rehnumaai farmaaiye ke mein apne Rabb ko kis tarah raazi karoon aur apne baap ki naraazgi se kis tarah bachoon jo Namaz roze ya sahi alfaaz mein Deen-e-Islam hi ka mukhaalif hai?
[Jawab]
Committee ne is sawaal ka hasb-e-zail jawaab diya ke:
Agar amar waqi’a Isi tarah hai jis tarah tum ne zikr kiya hai ke tumhara waalid aur us ke saath us tareeqa mein shaamil log Namaz padhte hain na roze rakhte hain aur e’itqaad yeh rakhte hain ke un ka Sayyed ya Shaikh Rabb ke qaaim maqaam hai, Jo un ke liye Jannat ka zaamin hai aur woh un ke tamaam bure am’aal ko ma’af kar de ga to woh kaafir hain. Agar tumhara baap tumhein un mein shaamil hone ka hukm de aur Namaz roze ki pabaandi se mana’ kare to us ki baat bilkul na maano kyunke khaaliq ki nafarmaani mein makhlooq ki ita’at nahi hai balkeh Allah ke hukm ki ita’at kijiye aur us ki nafarmaani se ijtinaab kijiye aur hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala par ‘amal ke mutaabiq duniya ke kaamon mein un ke saath shareek rahiye:
وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَى وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَى الْمَصِيرُ وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَى أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا وَصَاحِبَهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا وَاتَّبِعْ سَبِيلَ مَنْ أَتَابَ إِلَى ثُمَّ إِلَى مَرْجِعُكُمْ فَأَنتُكُم بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ
(Al-Luqmaan 31 14 -15)
“Aur hum ne insaan ko jis se us ki Maa takleef par takleef seh kar pait mein uthaae rakhti hai (Phir us ko doodh pilaati hai) aur (Aakhir kaar) do baras mein us ka doodh chudaana hota hai (us se) us ke maa baap ke baare mein takeed ki hai ke mera bhi shukar karta reh aur apne Maa baap ka bhi (ke tum ko) meri hi taraf lout kar aana hai aur agar woh tere darpe hon ke tu mere saath kisi aisi cheez ko shareek kare, Jis ka tujhe kuch bhi ‘ilm nahi to un ka kaha na manna Haan duniya (ke kaamon) mein un ka achi tarah saath dena aur jo shakhs meri taraf ruj’o karne Us ke raaste par chalna phir tum ko meri taraf lout kar aata hai to jo kaam tum karte rahe ho mein sab se tum ko aagah kar doon ga.”
Aap sache momin logon ke saath reh kar un ‘aqaeed ko ikhtiyaar kijiye jin ke ikhtiyaar karne ka Allah Ta’ala ne hukm diya hai Rasoolullah (ﷺ) ne jin ki wazaahat farmaai hai, Kitaab Allah aur Sunnat-e-Rasoolullah (ﷺ) par ‘amal kijiye’ Allah Ta’ala ke raasta mein jo takleef aae us se bardasht kijiye Allah ki taraf ruj’o karne waalon ke raaste par chaliye ke yehi raasta behtar aur anjaam ke e’itbaar se bhi bohat acha hai. Firqa-e-Shazliya ke logon ko chod dijiye kyunke dar hai ke yeh log aap ko gumraah kar dein ge. Umeed hai ke Allah Ta’ala aap ke liye rozi kamaane ka koi zariy’a paida farma de ga. Jis se aap zindagi basar kar saken kyunke rizq to Allah Ta’ala ke haath mein hai, Aap ke waalid ke haath mein hai na kisi aur insaan ke haath mein!
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…