160. Namaz bhi Allah Ta’ala ka zikr hai
Namaz bhi Allah Ta’ala ka zikr hai
[Sawaal]
Ba’az Sufiya yeh kehte hain ke Allah Ta’ala ka zikr Farz Namaz set afzal hai kyunke Qur’an-e-Majeed mein hai: (وَلَذِكْرُ الله اكبر )To Kia waaqa’e Sufiya ke qawl ke mutaabiq zikr-e-Ilaahi Namaz se afzal hai?
[Jawab]
Jo Allah Ta’ala ne kasrat ke saath apne zikr ka hukm diya hai.
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
يَاأَيُّهَا الَّذِينَ ءَامَنُوا اذْكُرُوا اللَّهَ ذِكْرًا كَثِيرًا وَسَبِّحُوهُ بُكْرَةً وَأَصِيلًا
(Al-Ahzaab 33 41 – 42)
“Ae Ahl-e-Imaan ! Allah ka bohat zikr kiya karo aur subah-o-shaam us ki pakeezgi (Tasbeeh-o-Taqdees) bayaan karte raho.”
Allah Subhaan-o-Ta’ala ne bayaan farmaaya hai ke zikr-e-Ilaahi se itminaan-o-sukoon-e-qalab haasil hota hai:
اَلَا بِذِكۡرِ اللّٰهِ تَطۡمَئِنُّ الۡقُلُوۡبُ
(Al-R’ad 13 28)
“Aur sun rakho ke Allah ki yaad se dil aaraam paate hain.”
Aur Nabi (ﷺ) ne farmaaya hai ke:
مَنْ ذَكَرَ اللَّهَ خَالِيًا فَقَاضَتْ عَيْنَاهُ فِي السَّبْعَةِ الَّذِينَ يُظِلُّهُمُ اللَّهُ فِي ظِلُّهِ يَوْمَ لَا ظِلَّ إِلا ظله
“Jis shakhs ne khalwat mein Allah Ta’ala ka zikr kiya aur us ki aankhein ashk baar ho gayein to Allah Ta’ala us se un saat qism ke logon mein shaamil farmaae ga jinhein us din apne saaya tale jagah ‘ataa farmaae ga jab us ke siwa aur koi saaya na ho ga.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Raqaq, Al-Baka min Khashyat Allah ‘Az-o-Jal, H: 2479, 1423, 660,-o-Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Zahad, Baab maa jaa fi Al-Hab fi Allah, H: 2391)
Aap (ﷺ) ne misaal de kar farmaaya ke jo shakhs Allah Ta’ala ka zikr karta hai us ki misaal zindah ki si hai aur jo zikr nahi karta us ki misaal murdah ki si hai. zikr-e-Ilaahi dilon ki zindagi aur itminaan aur nafson ki pakeezgi aur tahaarat hai aur us ka Allah ke haan ajar-o-sawaab bhi bohat ziyaada hai.
Beshak Namaz afzal azkaar , Tilaawat-e-Qur’an , Takbeer-o-tehleel aur tasbeeh-o-tehmeed par mushtamil hai aur Allah Ta’ala ke kalaam ko bandon ke kalaam par Isi tarah fazeelat hai, Jis tarah khud Allah Ta’ala ko apne bandon par fazeelat haasil hai, Sab se afzal zikr jo Rasoolullah (ﷺ) aur aap se pehle Ambiya ne Islam mein kiya woh kalma “Laa ilaaha illa Allah” hai. Us ke saath saath Namaz ruku’-o-sajood par mushtamil hai aur banday apne Rabb ke sab se ziyaada qareeb us waqt hota hai, Jab woh sajdah mein hota hai. Namaz se bahar zikr ko Namaz par fazeelat dena kisi cheez ki apne nafs par fazeelat ke mutaraadif hai balkeh yeh ek aa’laa cheez par fazeelat ke mutaraadif hai aur yeh sahi nahi hai. Qur’an-e-Majeed mein jo yeh Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
وَاَقِمِ الصَّلٰوةَ ؕ اِنَّ الصَّلٰوةَ تَنۡهٰى عَنِ الۡفَحۡشَآءِ وَالۡمُنۡكَرِؕ وَلَذِكۡرُ اللّٰهِ اَكۡبَرُ
(Al-‘Ankaboot 29 45)
“Aur Namaz ke pabaand rahiye. Yaqeenan Namaz be hayaai ki baaton aur buraai ke kaamon se rokti hai aur Allah ka zikr sab se bada (Acha kaam) hai.”
Ma’ani yeh hai ke farz Namaazon ko un ke auqaat mein is tarah adaa karna, Jis tarah Allah Ta’ala ne hukm diya aur Rasoolullah (ﷺ) ne apne qawl-o-‘amal se bayaan farmaaya hai, Uaqeenan ek musalmaan aur us ke gunaahon ke darmiyaan haail ho jaata hai aur Allah Ta’ala us se buraiyon ke irtikaab se mehfooz rakhta hai, Isi tarah Allah Ta’ala ka tumhein yaad karna jab tum us ka zikr kar rahe hote ho to yeh bhi qadar-o-manzilat ke e’itbaar se ‘Azeem aur ajar-o-sawaab ke e’itbaar se bohat afzal ‘amal hai jaisa ke Allah Ta’ala ne farmaaya hai:
فاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ
(Al-Baqrah 2 152)
“Tum mujhe yaad kiya karo mein tumhein yaad rakhoon ga.”
Ibn-e-Jurair ne bhi apni tafseer mein Isi baat ko ikhtiyaar kiya hai aur bohat se mufassireen ne bhi Hazrat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم aur tabi’een se manqool Irshaadaat ki buniyaad par Ibn-e-Jurair ki taa’eed ki hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…