Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

167. Nazriya Irtiqa-e-Islami ‘aqeedah ke khilaaf hai

Nazriya Irtiqa-e-Islami ‘aqeedah ke khilaaf hai

[Sawaal]

Maghribi andaaz ke collegon mein hamein har jagah nazriya-e-irtiqa ka saamna karna padta hai, Kitaabon aur mujillaat mein bhi is nazriya ka yun izhaar kiya jaata hai goya is mein do aadmiyon ka bhi ikhtilaaf nahi hai. Mein Science college Shuba Biology ka taalib-e-‘ilm hoon.

Mein is mauz’o se muta’lliq Qur’ani Aayaat Ahadees-e-Sharifa aur aapki raae chaahta hoon taakeh itminaan-e-qalab haasil ho?

[Jawab]

Bilaashak-o-shuba nazriya-e-irtiqa dehriyon aur un ke pairon kaariyon maslan ghali falsafion aur maahireen-e-tabi’yaat waghaira ka ‘aqeedah hai aur yeh ek ghalat nazriya hai jis ki bunyaad kisi daleel ke baghair mehez zan-o-takhmeen par hai, Is tarah yeh log ‘aalim ko qadeem maante aur mabda-o-ma’ad aur hashar ka inkaar karte hain aur bilaashak yeh kufur-e-sareeh hai ke is mein Allah Ta’ala aur us ke Rasoolon ne jo khabren di hain un ki takzeeb hai. Musalmaanon ka ‘aqeedah yeh hai ke Allah Ta’ala har cheez ka khaaliq hai jaisa ke us ne apni kitaab mein is ki saraahat farmaai hai, Is mein bar-o-beher mein maujood tamaam makhlooqat daakhil hain. Musalmaanon ka ‘aqeedah hai ke Allah Ta’ala ne un sab makhlooqat ko Isi tarah paida farmaaya aur unhein apni qudrat aur kamaal-e-raboobiyat ki nishaaniyaan bana diya, Chunaanche farmaaya:

فَأَحْيَا بِهِ الْأَرْضَ بَعْدَ مَوْتِهَا وَبَثَّ فِيهَا مِن كُلِّ دَابَّةٍ

(Al-Baqrah 2 164)

“Aur us se zameen ko marne ke ba’d zindah kar diya (Yaane khushk hone ke ba’d sar sabz) kar deta hai aur zameen par har qism ke jaanwar phailaae*.”

Aur farmaaya:

وَمَا مِن دَابَّةٍ فِي الْأَرْضِ إِلَّا عَلَى اللَّهِ رِزْقُهَا وَيَعْلَمُ مُسْتَقَرَّهَا وَمُسْتَوْدَعَهَا

(Haud 11 6 )

“Aur zameen par koi chalne phirne waala nahi magar us ka rizq Allah ke zimme hai, Woh jahan rehta hai us se bhi jaanta hai aur jahan sonpa jaata hai us se bhi !”

Yaane un ki jagahon aur ‘Umron ko bhi jaanta hai aur farmaaya:

وَمَا مِن دَابَّةٍ فِي الْأَرْضِ وَلَا طَاهِرٍ يَطِيرُ بِجَنَاحَيْهِ إِلَّا أُمَمٌ أَمْثَالُكُمْ

(Al-An’aam 6 38)

“Aur zameen mein jo chalne phirne waala (Haiwaan) ya do paron se udne waala jaanwar hai, Un ki bhi tum logon ki tarah jama’atein hain”

Aur farmaaya:

وَاَ لۡقٰى فِى الۡاَرۡضِ رَوَاسِىَ اَنۡ تَمِيۡدَ بِكُمۡ وَبَثَّ فِيۡهَا مِنۡ كُلِّ دَآ بَّةٍ‌

(Luqman 31 10)

“Aur zameen par pahaad (Bana kar) rakh diye taakeh tum ko hilaa na de aur us mein har tarah ke jaanwar phela diye.”

Allah Ta’ala ne hamein yeh bhi khabar di hai ke us ne un tamaam jaanwaron ko paani se paida farmaaya hai:

وَاللَّهُ خَلَقَ كُلَّ دَابَّةٍ مِّن مَّاءٍ فَينْهُم مَن يَمْشِي عَلَى بَطْنِهِ، وَمِنْهُم مَّن يَمْشِي عَلَى رِجْلَيْنِ وَمِنْهُم مَّن يَمْشِي عَلَى أربع

(Al-Noor 24 45)

“Aur Allah hi ne har chalne phirne waale jaandaar ko paani se paida kiya to un mein se kuch aise hain jo pait ke bal chalte hain aur kuch aise hain jo do paaon par chalte hain aur kuch aise hain jo chaar paaon par chalte hain.”

Yeh bataur-e-misaal hai wagarna kayi jaanwaron ki chey ya us se ziyaada taangen bhi hain, Sab ko chunki Allah Ta’ala hi ne paida farmaaya hai, Is liye us ne khalq-o-rizq aur kibar-o-saghar ke e’itbaar se farq rakha aur phir har cheez ko us ne paida farma kar us par raah-e-‘amal ko bhi khol diya hai taakeh us ki hayaat aur nou ki baqa ka ehtimaam bhi ho. Un mein se har har makhlooq mein tawaalid-o-tanasaul Nashu-o-numa’ Apni apni aulaad par shafqat ka jazba aur apne rizq ki pehchaan ka sha’oor bhi ho aur tamaam makhlooqat ko yeh sab baatein tab’i taur par kisi ke ta’leem dene ke baghair hi haasil ho jaati hain. Un makhlooqaat mein sab se Ashraf-o-Afzal insaan hai ke saari Kaainaat ko us ki khaatir paida kiya gaya hai taakeh us ‘aqal-o-adraak ke saath yeh ghour-o-fikar se kaam le sake, Jis ki wajah se Allah Ta’ala ne us se tamaam makhlooqaat se numayaan aur Mumtaaz kar diya hai.

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai

الَّذِي أَحْسَنَ كُلَّ شَيْءٍ خَلَقَهُ وَبَدَأَ خَلَقَ الْإِنسَانِ مِن طِينِ

(Al-Sajdah 32 7)

“Jis ne har cheez ko bohat achi tarah banaaya (Yaane) us ko paida kiya aur insaan ki pedaaish ko mitti se shur’u kiya.”

Hamein e’itraaf karna chaahiye ke hum Allah Ta’ala ki makhlooq-o-milkiyat hain. Us ne Kaainaat ki har cheez ko hamare liye paida farmaaya hai taakeh hum us se naf’a haasil karein aur ‘ibrat bhi ! (Wallahu Al-Muwafiq)

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents