Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

170. Communist murtad hain

Communist murtad hain

[Sawaal]

Communism ka nazariya wajood-e-Baari Ta’ala ke inkaar par mabni hai. Yeh nazariya maadi hayaat ka nazariya hai Yaane tamaam makhlooqaat tab’i taur par az khud paida hoi hain, To Kia ‘aalim-e-Islam ke woh naujawaan jinhon ne communism ke ifkaar-o-nazariyaat ko ikhtiyaar kar liya hai, Khaas taur par woh jinhnon ne un ifkaar-o-nazariyaat ko ‘aqeedah ki hesiyat se ikhtiyaar kar liya hai, Woh murtid hain?

[Jawab]

Mere saamne yeh sawaal bazaahir is tarah hai jaise koi yeh sawaal kare Kia sooraj sooraj hai? Kia raat raat hai? Kia din din hai? kyunke munkir-e-Khaaliq ke baare mein yeh shubah ho sakta hai ke woh kaafir nahi hai? Saabiqa mulhidon mein se koi bhi Khaaliq ka munkir nahi tha, Yeh inkaar us aakhri daur ke mulhidon ne kiya hai. Khaaliq-e-Kaainaat ka inkaar kis tarah kiya jaa sakta hai, Jab ke us ke wajood ke dalaail-o-baraheen aafataab-e-nisf-ul-naher se bhi ziyaada numaayana aur roshan hain. Din ke hote hue din ko saabit karne ke liye bhi daleel ki zaroorat ho to phir aise insaan ko koi aur baat kis tarah zehn nasheen karai jaa sakti hai? Alhamdulillah! Khaaliq ke wajood ke dalaail fitrat ‘Aqal mushaahida aur his har tarah se maujood hain. Allah Ta’ala ke wajood ka to koi hat-e-dharam insaan hi inkaar kar sakta hai balkeh haqeeqat yeh hai ke inkaar karne waalon ke dilon mein bhi us ke wajood ke baare mein itminaan hota hai. Jaisa ke Allah Ta’ala ne Fira’un ke baare mein Jis ne Khaaliq ka inkaar kar ke khud raboobiyat ka da’wa kar diya tha, zikr kiya hai ke:

وَجَحَدُوۡا بِهَا وَاسۡتَيۡقَنَـتۡهَاۤ اَنۡفُسُهُمۡ ظُلۡمًا وَّعُلُوًّا‌

(Al-Namal 27 14)

“Aur unhon ne zulm (Be insaafi) aur ghuroor se un ka inkaar kiya lekin un ke dil un ko maan chuke the.”

Allah Ta’ala ne zikr farmaaya hai ke Hazrat Moosa ne Fira’un se munaazra karte hue kaha:

قَالَ لَقَدْ عَلِمْتَ مَا أَنزَلَ هَؤُلَاءِ إِلَّا رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ بَصَابِرَ

(Al-Israa 17 102)

“Yaqeeni taur par tu yeh khoob jaanta hai ke yeh baseerat afroz nishaaniyaan aasmaanon aur zameen ke Parwardigaar ke siwa kisi ne naazil nahi ki hain.”

Jo log Khaaliq ka inkaar karte hain, Haqeeqat mein woh apne hi nafs ka inkaar karte hain kyunke woh yeh e’itqaad rakhte hain ke unhon ne apne nafs ko khud paida nahi kiya, Un ki Maao’n ne bhi unhein paida nahi kiya, Un ke baapon ne bhi unhein paida nahi kiya, Chawtha aur koi insaan bhi nahi jis ne unhein paida kiya ho to ab sirf Allah Rabb-ul-‘Aalameen hi ki hasti reh jaati hai, Jis ke baare mein yeh kaha jaae ke us ne unhein paida kiya hai, Jis tarah Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

أَمْ خُلِقُوا مِنْ غَيْرِ شَيْءٍ أَمْ هُمُ الْخَالِقُونَ

(Al-Toor 52 35)

“Kia ye kisi Khaaliq ke baghair khud paida ho gae hain? Ya yey khud apne Khaaliq hain.”

Hazrat Jabeer-bin-Muta’am رَضِيَ اللهُ عَنْهُ jo abhi tak musalmaan na hue the, Unhon ne jab is Aayat-e-Kareema ko Nabi Kareem (ﷺ) se suna to bayaan karte hain ke qareeb tha ke mein yeh Aayat sun kar udne lagta ke yeh Khaaliq Subhaan-o-Ta’ala ke wajood ki qat’i aur zaahir daleel thi.

Allah Ta’ala ke munkiron se jab yeh poocha jaata hai ke aasmaanon aur zameenon ko kis ne paida kiya hai? To siwaae is ke un ke paas aur koi jawaab nahi hota ke Allah Ta’ala ne unhein paida farmaaya hai, kyunke yeh qat’i baat hai ke aasmaanon aur zameenon ne apne aap ko khud to paida nahi kiya. Aur har maujood ke liye zaroori hai ke us ka koi muwajjid waajib-ul-wajood bhi ho aur woh Allah Ta’ala hi ki Zaat-e-Giraami hai. Agar koi shakhs yeh kahe ke maslan yeh ‘Azeem-ul-Shaan mahel jo unw’a-o- iqsaam ke barqi qumqumon se jagmaga raha hai, Yeh khud bakhud ban gaya hai to log kahen ge ke yeh pagal insaan hai kyunke mEhel khud bakhud nahi ban sakta. Agar ek mahel khud bakhud nahi ban sakta to yeh aasmaan-o-zameen Yeh iflaak aur sitaare aur sayyaare jo marboot-o-mustehkam nizaam mein munsalik hain aur apni takhleeq ke lamha se le kar us waqt tak Isi tarah baaqi rahen ge, Jab tak Allah Ta’ala is nizaam ko khatam karne ka hukm de de ga. To yeh kis tarah khud bakhud paida ho sakte hain meri raae mein to yeh amar is qadar waazeh hai ke is par kisi daleel ke laane ki bhi zaroorat nahi hai, lehaaza bilaashak-o-shuba woh shakhs faatir-ul-‘aqal hai jo Allah Subhaan-o-Ta’ala ka inkaar karta hai. Woh be Deen hai, Kaafir hai, Us ke kufur mein koi shak nahi kar sakta.

Yeh hukm un logon par bhi sadiq aata hai jinhon ne daaira-e-Islam mein zindagi basar karte hue communism ki taqleed ki kyunke Islam to us ka zabardast tareeqe se inkaar karta hai. Is fikar aur is soch ka baatil hona kisi bhi musalmaan se makhfi nahi hai aur agar kisi se makhfi hai bhi to woh m’uzur nahi hai kyunke is haqeeqat ko jaanne waale har jagah maujood hain balkeh yeh log agar khud apni hi fitrat ki taraf ruj’o karen to unhein yaqeenan ma’loom ho jaae ga ke un ke is mazhab aur fikar ki koi buniyaad nahi hai.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents