174. Mein kitaabein jam’a to karta hoon lekin padhta nahi
Mein kitaabein jam’a to karta hoon lekin padhta nahi
[Sawaal]
Alhamdulillah mere paas bohat si mufeed kutub aur muraj’a hain lekin mein sab ko nahi padhta balkeh un mein se ba’az muntakhib kitaabon ko padhta hoon To sawaal yeh hai Kia ghar mein kitaabein jam’a kar ke rakhne ki soorat mein gunaah to na ho ga. Haan yeh bhi hai ke ba’az log mujh se waqtan fawaqtan kitaabein musta’ar le jaate hain aur istefaada kar ke unhein wapas kar dete hain?
[Jawab]
Ek musalmaan ke liye is baat mein koi harj nahi hai ke woh mufeed kitaabon ko jam’a kar le Apni library mein hifaazat se rakhe’ Khud bhi muraji’at aur istefaada kare aur mulaaqaat ke liye aane waale Ahl-e-ilm ki khidmat mein bhi pesh kare taakeh woh un se istafaada kar saken. Agar bohat si kitaabon ko aadmi khud na bhi padh sake to koi harj nahi, Qaabil-e-e’itmaad aadmiyon ko istefaada ke liye kitaabein musta’ar dena neiki ka kaam aur taqarrub-e-Ilaahi ke husool ka zariy’a hai ke yeh tahseel-e-‘ilm ke liye a’anat hai aur hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala:
وَتَعَاوَنُوۡا عَلَى الۡبِرِّ وَالتَّقۡوٰى
(Al-Maa’idah 5 2)
“Neiki aur parhaizgaari ke kaamon mein ek doosre ki madad kiya karo*.”
Aur Nabi (ﷺ) ke is farmaan ke misdaaq hai ke:
أَخِيهِ وَاللَّهُ فِي عَوْنِ الْعَبْدِ مَا كَانَ الْعَبْدُ فِي عَوْنِ
“Allah Ta’ala apne bande ki us waqt tak madad karta rehta hai jab tak bandah apne bhai ki madad karta rehta hai.”
(Sahih Muslim، Kitaab Al-zikr-o-Al-dua’a، Baab fazal al-Ijtim’a ‘Ali Tilaawat Al-Qur’an،-o-‘Ali Al-Zikir، H : 2699)
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…