Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

203. Abroowon ke baalon ko chota karna

Abroowon ke baalon ko chota karna

[Sawaal]

Agar abroowon ke baal bohat ghane hon to Kia ‘Aurton se mushaabihat ya Allah Ta’ala ki banaai hoi soorat mein tabdeeli ke idaare ke baghair hi unhein katarna jaaiz hai?

[Jawab]

Meri raae mein un baalon ko chunna ya katarna ya kaatna jaaiz nahi hai kyunke Allah Ta’ala ne unhein Jamal-o-Zeenat aur aankh ki himaayat aur sayaanat (hifaazat) ke liye paida farmaaya hai. Mard ya ‘Aurat agar un baalon ko zaa’il kare to yeh Allah Ta’ala ki banaai hoi soorat ko badalney waali baat hai chun ke aisa aksar ‘Aurtein karti hain, Is liye un par is ki wajah se Hadees mein la’nat waarid hoi hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents