Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

204. Shar’i daadhi ke hadood aur daadhi mundwaane ka hukm

Shar’i daadhi ke hadood aur daadhi mundwaane ka hukm

[Sawaal]

Umeed hai ke aap yeh bayaan farmaaein ge ke daadhi mundaane ya us ke kuch baal katraane ka Kia hukm hai? Nez yeh farmaaiye ke shar’i daadhi ke hadood Kia hain?

[Jawab]

Daadhi mundwaana Haraam hai kyunke us mein Rasoolullah (ﷺ) ki nafarmaani hai. Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

أَحْفُوا الشَّوَارِبَ وَأَعْفُوا اللحى

“Daadhiyaan badhaao aur moonchen katraao.”

Daadhi mundwaana Allah Ta’ala ke Rasoolon ki Sunnat ko chod kar majoosiyon aur mushrikon ke tareeqe ko ikhtiyaar karna hai.

Daadhi ki had ke baare mein guzaarish hai ke Ahl-e-Lughat ne zikr kiya hai ke woh tamaam baal jo chehre , Rukhsaaron , Kallon aur thodi par hon woh daadhi mein shaamil hain aur un mein se kisi hissa ke baalon ko lena m’asiyat mein shaamil hai. kyunke Rasoolullah (ﷺ) ke Irshaadaat أعفوا اللحى أَرْخُوا اللحى وفروا اللحی aur اوفوا اللحی ka taqaaza hai ke daadhi ke kisi hissa ke baalon ko lena bhi jaaiz nahi hai lekin ma’aasi mein bhi chun ke tafaawut hota hai lehaaza daadhi mandaana , Katraane ki nisbat ziyaada bada gunaah hai kyunke is mein ziyaada numaayaan aur badi mukhaalifat hai.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents