205. Daadhi Mandaana
Daadhi Mandaana
[Sawaal]
Daadhi mundaane ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai:
أَحْفُوا الشَّوَارِبَ وَأَعْفُوا اللحى
“Moonchein katraao aur daadhiyaan badhaao.”
Aap (ﷺ) ne moonchein katraane aur daadhi badhaane ko das sunan-e-fitrat mein se bhi shumaar farmaaya hai. Nabi Kareem (ﷺ) ki apni daadhi mubarak bhi ghani thi. Allah Ta’ala ne Hazrat Haroon ka zikr karte hue farmaaya hai ke unhon ne Hazrat Moosa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ se kaha:
يَبْنَؤُمَ لَا تَأْخُذْ بِلحْيَنِي وَلَا بِرَأْسِي
(Taha 20 94)
“Bhai meri daadhi aur sar ke baalon ko na pakadiye.”
Daadhi un baalon ko kehte hain jo kulon aur thodi par ugein , kallo’n nichle daanton ke ugne ki jagah ko kehte hain aur jis maqaam par dono kalle mil jaate hain us se thodi kehte hain. Daadhi badhaane ka hukm chun ke sahi Ahadees se saabit hai, Is liye musalmaan par waajib hai ke woh Allah Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) ki ita’at baja laae aur ita’at ke liye zaroori hai ke mukammal farmabardaari ki jaae. Jo shakhs daadhi mandaata hai woh Nabi (ﷺ) ke Irshaadaat اعفوا اللحى اوفوا اللحى وفروا اللحی aur اللحی اوفوا ki nafarmani karta hai jo shakhs daadhi mandaae ya katraae us ki ita’at-e-Rasool mein khalal hai aur woh musibat mein mubtala hai lehaaza us se apne us f’el par nidaamat ka izhaar karte hue tawbah karni chaahiye aur jo shakhs tawbah kare Allah Ta’ala us ki tawbah ko qubool farma leta hai. (Wallahu A’alam)
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…