210. Mareez kis Tarah tahaarat haasil kare?
Mareez kis Tarah tahaarat haasil kare?
(1) Mareez ke liye bhi waajib hai ke paani se tahaarat haasil kare, Hadas-e-Asghar ki soorat mein Wuzu aur Hadas-e-Akbar ki soorat mein ghusl kare.
(2) Agar woh paani iste’maal karne se ‘aajiz ho ya paani ke iste’maal se marz mein izaafa ya sehat yaabi mein taakheer ka andesha ho to woh tayammum kar le.
(3) Tayammum ki kefiyat yeh hai ke apne dono haath ko ek baar paak-e-zameen par maare aur phir dono haathon se apne saare chehre ka masaah kare aur phir ek doosre haath ke saath dono haathon par masaah kare.
(4) Agar koi mareez az khud tahaarat hsasil na kar sakta ho to koi doosra insaan us se Wuzu ya tayammum kara de.
(5) Agar baaz a’aza tahaarat mein zakhmi hon to unhein paani se dho le Agar paani se dhone mein nuqsaan ka andesha ho to zakham par masaah kar le Yaane haath ko paani se tar kar ke zakham par pher le Aur agar us se bhi nuqsaan ka andesha ho to tayammum kar le.
(6) Agar jism ka koi a’aza toot gaya ho aur us par pati ya plaster laga ho, To us se dhone ki bajaae paani se masaah kar le. Is surat mein tayammum ki zaroorat nahi ho gi kyunke masaah dhone ke qaaim maqaam hai.
(7) Tayammum dewaar ke saath jaaiz hai aur har us pak cheez se bhi jis par gobar ho. Agar dewaar par koi aisi cheez lagi ho jis ka jans-e-zameen se ta’lluq na ho, Maslan paint waghaira To is se tayammum na kare illa yeh ke dewaar par gobar maujood ho.
(8) Jab zameen se ya dewaar se ya kisi aisi cheez se tayammum kare jis par gobar ho, To phir is mein bhi koi harj nahi ke kisi bartan ya romaal waghaira mein miti rakh kar us se tayammum kar le.
(9) Jab aadmi ek Namaz ke liye tayammum kar le aur doosri Namaz ke waqt tak woh bahaalat-e-tahaarat rahe, To woh pehle tayammum hi se Namaz padh le. Doosri Namaz ke liye us se dobaarah tayammum karne ki zaroorat nahi kyunke woh abhi tak tahaarat par qaaim hai aur aisi koi baat waqi’a nahi hoi jo us ki tahaarat ko khatam kar de.
(10) Mareez ke liye yeh waajib hai ke woh apne jism ko nijaasaton se paak rakhe Aur agar is ki istata’at na ho to woh apne hasb-e-haal Namaz padh le. Us ki Namaz sahih ho gi us se Namaz dohraane ki zaroorat nahi.
(11) Mareez ke liye waajib hai ke paak kapdon mein Namaz padhe, Agar kapde naapak ho jaaein to unhein dhona ya un ki bajaae paak kapde pehnna waajib hai aur agar aisa mumkin na ho to woh hasb-e-haal Namaz padh le Uski Namaz sahih ho gi us se Namaz dohraane ki bhi zaroorat nahi.
(12) Mareez ke liye waajib hai ke paak jagah par Namaz padhe, Agar uski jagah naapak ho to us se dhona waajib hai ya woh kisi doosri paak jagah muntaqil ho jaae ya us par koi paak cheez bicha de, Aur agar aisa mumkin na ho to woh hasb-e-haal Namaz padh le Namaz sahih ho gi us se dohraane ki bhi zaroorat nahi.
(13) Mareez ke liye yeh jaaiz nahi ke tahaarat se ‘aajzi ki wajah se Namaz ko us ke waqt se mu’akhar kare, balkeh maqdoor bhar tahaarat haasil kar ke Namaz ko barwaqt adaa kare, Khuwah us ke jism , kapde ya jagah par nijaasat ho jiss ke azaale se woh ‘aajiz ho
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…