Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

215. Wuzu mein waswasa

Wuzu mein waswasa

[Sawaal]

Mein jab Namaz ke liye Wuzu karta hoon to yeh mehsoos karta hoon ke aala-e-tanaasul se koi cheez nikal rahi hai to Kia is ke yeh ma’ani hain ke mein naapaak ho gaya hoon ya nahi? Aur Kia jab mein Namaz padhte hue aisa mehsoos karoon to meri Namaz baatil ho jaaegi ya nahi?

[Jawab]

Namazi ke yeh mehsoos karne se ke us ki dubur ya qabl se koi cheez khaarij ho rahi hai, Wuzu baatil nahi hota aur is ehsaas ki taraf tawajjuh na ki jaae kyunke yeh Shaitaani waswasa hai. Sahih Hadees se saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) se is tarah ki soorat-e-haal ke baare mein sawaal kiya gaya to Aap (ﷺ) ne farmaaya:

لا يَنْصَرِفْ حَتَّى يَسْمَعَ صَوتًا أَوْ يَجِدَ رِيحًا

“Us waqt tak Namaz se na hate jab tak awaaz na sun le ya badbu mehsoos na kar le.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab laa yatawaza min Al-Shak Hata Yastaqeen, H: 137, -o-Sahih Muslim Kitaab Al-Tahaarat Baab Al-Daleel ‘Ali an min tayaqan Al-Taharaat, H: 361)

Albatta jab Namazi ko yeh yaqeen ho jaae ke hawa ya peshaab waghaira khaarij hoa hai to fasad-e-tahaarat ki wajah se us ki Namaz baatil ho jaae gi us se Wuzu aur Namaz ko dohraana ho ga.

_Shaikh Ibn-e-Baaz

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents