Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

222. Khade ho kar peshaab karna

Khade ho kar peshaab karna

[Sawaal]

Kia khade ho kar peshaab karna Halaal hai ya Haraam?

[Jawab]

Khade ho kar peshaab karna Haraam nahi hai kyunke “Sahiheen” mein Hazrat Huzaifa رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi yeh Hadees maujood hai ke:

أَنَّ النَّبِيِّ ، أَتَى سُبَاطَةَ قَوْمٍ فَبَالَ قَائِمًا

“Nabi Kareem (ﷺ) ek qaum ke koode karkat ke dhed ke paas pohanche to Aap (ﷺ) ne khade ho kar peshaab kiya.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab Al-Baul ‘Anad Sabatat Qaum, H: 226)

Chunaanche is Hadees ke pesh-e-nazar Hazrat ‘Umar’ Hazrat ‘Ali’ Ibn-e-‘Umar aur Zaid-Bin-saabit رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se manqool hai ke khade ho kar peshaab karna jaaiz hai lekin Sunnat yeh hai ke aadmi beth kar peshaab kare kyunke Hazrat ‘Ayesha رضي الله عنها se riwaayat hai ke:

مَنْ حَدَّثَكُمْ أَنَّ النَّبِيَّ ﷺ ، كَانَ يَبُولُ قَائِمًا فَلَا تُصَدِّقُوْهُ مَا كَانَ يَبُولُ إِلَّا قَاعِدًا

“Jo shakhs tum se yeh bayaan kare ke Nabi Kareem (ﷺ) khade ho kar peshaab karte the to us ki baat ki tasdeeq na karo kyunke Aap (ﷺ) hamesha beth kar hi peshaab karte the.”

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab maa ja’a fi al-nahi ‘an Al-Baul Qaiman, H: 12, -o-Sunan Al-Nisa’i, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Baul fi Al-Bait Jalisan, H: 29)

Imaam Tirmizi farmaate hain ke is baab mein sab se ziyaada sahih riwaayat yehi hai. Aur Phir Beth kar peshaab karne ki soorat mein pardah poshi bhi ziyaada hai aur aadmi peshaab ke cheenton se bhi ziyaada mehfooz rehta hai.

__Fatwa-e-Community__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents