226. Jab Namaz padhte hue kapde ki nijaasat mein shak ho
Jab Namaz padhte hue kapde ki nijaasat mein shak ho
[Sawaal]
Jab Imaam ko Namaz padhaate hue kapde ki nijaasat mein shak ho aur woh mehez shak ki buniyaad par Namaz ko na tode aur Namaz se faarigh hone ke ba’d waaqi’an kapde ko naapaak dekhe to is ka Kia hukm hai? Is qism ki soorat-e-haal mein Kia mehez shak ki buniyaad par Namaz khatam kar de ya Namaz ko poora kare?
[Jawab]
Jab Namaz padhaate hue Namazi ko apne kapde ke baare mein naapaaki ka shak ho to us ke liye Namaz ko todna jaaiz nahi khuwah Imaam ho ya muqtadi. us se is haalat mein bhi Namaz poori karni chaahiye aur Namaz se faraaghat ke ba’d agar ma’loom ho ke kapda waqiy’e hi naapaak tha to ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq us Namaz ki qaza bhi laazim nahi kyunke us se naapaaki ka yaqeen Namaz ke ba’d hoa hai.
Hadees se saabit hai ke Nabi Kareem (ï·º) ko jab bahaalat-e-Namaz Jibreel عليه السلام ne yeh khabar dÄ« ke Aap (ï·º) ke n’aleen naapaak hain to Aap (ï·º) ne Namaz hi mein n’aleen utaar diye aur Namaz ko badastoor jaari rakha aur ibtidaai hissa ko dohraaya nahi tha.(1)
(Sunan Abi Dawood’ Kitaab Al-Salwaat’ Baab Al-Salwaat fi Al-N’al’ H: 660)
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…