227. Coloniya ko bataur-e- khushboo iste’maal karna
Coloniya ko bataur-e- khushboo iste’maal karna
[Sawaal]
Coloniya (Cologney) ko bataur-e-(Makeup) khushboo iste’maal karne ke baare mein kaafi behs mubahisa hoa lehaaza aap se guzaarish hai ke yeh farmaaein ke agar yeh khushboo iste’maal ki ho to Kia Wuzu dobaraah karna ho ga ya sirf jism ke us hisson ko dho liya jaae jahan yeh khushboo lagi ho?
[Jawab]
Coloniya ki khushboo “Spirit” se khaali nahi hoti aur itiba ke bawajood yeh ek nasha aawar maadah hai lehaaza is ka iste’maal tark karna aur is ke bajaae us maadah se paak khushboo ka iste’maal karna waajib hai lekin agar kisi ne yeh khushboo iste’maal karli ho to us se Wuzu karna waajib nahi aur na jism ke us hisson ko dhona waajib hai jahan yeh lagi ho kyunke is ke naapaak hone ki koi waazeh daleel nahi hai. Wallahu waali Al-Toufeeq
___Shaikh Ibn-e-Baaz
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…