Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

229. Mazi ka hukm

Mazi ka hukm

[Sawaal]

Shehwat ke ba’d jab aala-e-tanaasul se paani ki tarah be rang siyaal maadah ke qatre niklein to Kia un se ghusl waajib hai ya is soorat mein Kia karoon? Yeh maadah jab kapde ya jism ko lag jaae to Kia woh naapaak ho jaae ga aur js haalat mein mujhe Kia karna ho ga? Bara-e-Karaam rehnumaai farmaaiye. Allah Ta’ala aap ko jaza-e-khair se nawaaze!

[Jawab]

Khaarij hone waala yeh maadah mazi ke naam se mashoor hai. Yeh safed lais daar paani hota hai jo shehwat ke ba’d ya mubaashirat ko yaad karne waghaira ki haalat mein khaarij hota hai. Yeh kapde waghaira ko lag jaae to us se dhona waajib hai lekin aadmi ke liye ghusl karna sirf us soorat mein waajib hai jab mani tapak kar lazzat ke saath khaarij ho. Mani safed rang ka m’aroof paani hai aur Mazi-o-mani mein rang aur hukm ke e’itbaar se farq zaahir hai. Wallahu A’lam

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents