235. Oont ke gosht ke shorbe se Wuzu nahi toot’ta
Oont ke gosht ke shorbe se Wuzu nahi toot’ta
[Sawaal]
Is mein Kia hikmat hai ke oont ke gosht se Wuzu toot jaata hai? Kia oont ke gosht ke shorbe se bhu Wuzu baaril ho jaata hai?
[Jawab]
Yeh saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne oont ka gosht khaane se Wuzu ka ḥukm diya lekin hamare liye Aap (ﷺ) ne us ki ḥikmat ko bayaan nahi farmaaya Hamein sirf is qadar ‘ilm hai ke Allah Subhaan-o-Ta’ala Hakeem-o- ‘Aleem hai, Woh apne bandon ko sirf usi baat ka hukm deta hai, Jis mein un ke liye duniya-o-aakhirat ki khair-o-bhalaai ho aur sirf is baat se mana’ farmaata hai, Jo duniya-o- aakhirat mein un ke liye nuqsaan dah ho. Musalmaan ke liye waajib yeh hai ke woh Allah Subhaan-o-Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) ke ahkaam ko qubool kare aur un ke mutaabiq ‘amal kare khuwah us se ḥikmat ma’loom na bhi ho aur jis se Allah Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) ne mana’ farmaaya ho us se baaz rahe khuwah us ki hikmat ma’loom na bhi ho kyunke bandah to Allah Ta’ala aur us ke Rasool (ﷺ) ki ita’at ka maamoor hai, us se paida hi is liye kiya gaya hai lehaaza yeh Imaan rakhte hue ke Allah Ta’ala Ḥakeem-o-‘Aleem hai us se sar ita’at se jhuka dena chaahiye aur agar us se hikmat ka ‘ilm ho jaae to yeh saraapa-e-khair hai.
Oont ke gosht ke shorbe ya oont ke doodh peene se Wuzu baatil nahi hota balkeh khaas taur par gosht khaane se baaṭil hota hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai:
تَوَضَّؤُوا مِنْ لُحُوم الإبل وَلا تَتَوَضَّوْوْا مِنْ لُحُومِ الْغَنم
(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab maa jaa fi Al-Wuzu min lahom Al-Abal, H: 81, -O-Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Wuzu min Lahom Al-Abal, Ḥ: 184)
“Oont ka gosht khaane se Wuzu karo aur bakri ka gosht khaane se Wuzu na karo.”
Ek aadmi ne ‘arz kiya:
“Ya Rasoolullah!:
انتَوَضَّأُ مِنْ لُحُومِ الإِبِلِ؟ قَالَ: نَعَمْ، قَالَ : أَنَتَوَضَّأُ مِنْ لَحْمِ الْغَنَمِ؟ قَالَ: إِنْ شئت
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Wuzu nin laḥoom Al-Abal, Ḥ: 360)
“Kia hum oont ka gosht khaane se Wuzu karen? Aap (ﷺ) ne farmaaya “Haan” Us ne ‘arz kiya Kia bakri ka gosht khaane se Wuzu karen?Aap (ﷺ) ne farmaaya “Agar chaaho to kar lo”
Yeh dono Hadeesen sahih aur Nabī Kareem (ﷺ) se saabit hain.
___Shaikh Ibn-e-Baaz
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…