Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

236. Wuzu se pehle Bismillah padhna

Wuzu se pehle Bismillah padhna

[Sawaal]

Main ne Wuzu shur’u kiya aur haath dhone ke ba’d yaad aaya ke main ne “Bismillah” nahi padhi lehaaza mujhe jab bhi yaad aae to mein Wuzu dobaraah shur’u kar deta hoon Is baare mein Kia ḥukm hai?

[Jawab]

Jamhoor Ahl-e-ilm ka mazhab hai ke tasmiya ke baghair bhi Wuzu sahih hai. Ba’az Ahl-e-ilm ka mazhab yeh hai ke jab ‘ilm ho aur Yaad bhi ho to tasmiya waajib hai kyunke Nabi (ﷺ) ne farmaaya hai:

لا وُضُوءَ لِمَنْ لَمْ يَذْكُرِ اسْمَ اللهِ عَلَيْهِ

“Jo shakhs Allah Ta’ala ka naam na le us ka Wuzu nahi.”

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab maa jaa fi Al-Tasmiya ‘anad Al-Wuzu, H: 25,)

(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Tahaarat-o-Sunanha, Baab maa jaa fi Al-Tasmiya fi Al-Wuzu, H: 397, 398, 399)

Lekin jo shakhs bhoolne ya jahaalat ki wajah se tasmiya na padh sake us ka Wuzu sahih hai. Aur agar tasmiya ko waajib qaraar dein to phir bhi us ke liye Wuzu ka ia’adah nahi hai kyunke yeh shakhs jahaalat aur nisyaan ki wajah se ma’zoor hai. Aur is masla mein daleel hasb zail Irshaad-e-Baari Ta’ala mein sikhai gai dua’a hai:

رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا

(Al-Baqrah 2 286)

“Ae hamare parwardigaar agar hum se bhool ya chook ho gai ho to hum se mu’aakhiza na karna!”

Aur sahih Hadees mein hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:

“Allah ne us dua’a ko sharaf-e-qubooliyat se Sarfaraaz farma diya hai.”

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents