Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

237. Neend se Wuzu toot jaata hai

Neend se Wuzu toot jaata hai

[Sawaal]

Main ne dekha hai ke baaz log Zuhr ya Asar se pehle Bait-ul-Haraam mein so jaate hain phir jab unhein Namaz ke liye bedaar karne waala aata hai to woh Wuzu kiye baghair Namaz ke liye khade ho jaate hain. Ba’az ‘Aurtein bhi Isi tarah karti hain. Baraah-e-Karaam muta’lliq farmaaiye ke is ka Kia hukm hai? Allah Ta’ala aap ko jaza-e-khair se nawaaze.

[Jawab]

Jo neend is qadar gehri ho ke us se sha’oor zaa’il ho jaae to us se Wuzu toot jaata hai kyunke Sahaabi Jaleel Hazrat Safwan-Bin-‘Asaal Muradi رضی الله عنه se riwaayat hai ke:

أَمَرَنَا رَسُولُ اللهِ ، إِذَا كُنَّا مُسَافِرِينَ أَنْ لَا تَنزِعَ خِفَافَنَا ثَلَاثَةَ أَيَّامٍ وَلَيَالِيَهُنَّ إِلَّا مِنْ جَنَابَةٍ وَلَكِنْ مِنْ غَائِطِ وَبَوْلٍ وَنَوْم

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Masah ‘Ali Al-Khafeen lil musaafir-o-Al-Muqeem, H: 95,-O-Sunan Al-Nisa’i, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Tawqeet fi Al-Masah ‘Ali Al-Khafayan lil musaafir, H: 127,Wa-Sahiha Ibn-e-Khuzaima)

“Rasoolullah (ﷺ) ne hamein hukm diya ke jab hum musaafir hon to bol-o-baraz aur neend ki wajah se teen din aur teen raat tak apne Mouzon ko na utaaren haan haalat-e-janaabat ho to phir utarna ho ga.”

Isi tarah Hazrat Mu’awiya رضی الله عنه se riwaayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

الْعَيْنُ وَكَاهُ السَّهِ، فَإِذَا نَامَتِ الْعَيْنَانِ اِسْتَطْلَقَ الْوِكَاهُ»

“Aankh sharam gaah ka tasma hai lehaaza jab aankhein so jaati hain to yeh tasma dhela pad jaata hai”

____

(Masnad Ahmad, 4 96, Sunan Al-Daarimi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Wuzu min Al-Noum, H: 722, Al-Sunan Al-Kubra, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Wuzu min Al-Noum, H: 582)-wa fi sandah za’af’ Lakan lahu shuwahad ta’azadah Kahadees Safwaan Al-Mazkoo-o-Bazalak yakoon Hadees-e-Hasanan)

Is se ma’loom hoa ke jo mard aur ‘Aurtein Masjid-e-Haraam mein ya kisi doosri jagah soyein un ki tahaarat khatam ho jaati hai Lehaaza unhein Wuzu karna chaahiye. Agar kisi ne Wuzu ke baghair Namaz padh li to us ki Namaz sahih nahi ho gi. Shar’i Wuzu yeh hai ke kuli aur naak ki safai ke sath munh dhoya jaae, kuhniyon tak haathon ko dhoya jaae, Kaanon samait sar ka masaah kiya jaae aur dono takhnon samait dono paaon ko dhoya jaae. Neend , Hawa ke khurooj , Sharam gaah ko haath lagne aur oont ka gosht khaane ki soorat mein istanja karne ki zaroorat nahi hoti.

Wuzu se pehle istanja ya dheelon ka iste’maal khaas taur par bol-o- baraaz ya un ke hum ma’ani haalaton mein waajib hota hai. Ongh se Wuzu nahi tootta kyunke us se sha’oor khatam nahi hota aur us se is baab mein waarid mukhtalif Ahadees mein tatbeeq bhi ho jaati. Wallahu waali Al-Toufeeq.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents