242. Jaae Namaz Par tayammum Karna
Jaae Namaz Par tayammum Karna
[Sawaal]
Ek shakhs hospitol mein daakhil hai, Woh Wuzu se to ‘aajiz hai lehaaza woh Namaz ke liye tayammum kar leta hai lekin woh tayammum jaae Namaz par karta hai, To Kia us ki Namaz sahi ho gi?
[Jawab]
Mareez ko Namaz ke liye agar taaqat ho to Wuzu karna chaahiye, Agar Wuzu se ‘aajiz ho to us mitti ke saath tayammum kare jis mein ghubaar ho basharteke us ke husool ki us se qudrat ho aur agar yeh us ki taaqat se bahar ho to woh hamwaar zameen par’ Jis par ghubaar ho, tayammum kare ya bistar par agar ghubaar ho to us se tayammum kare, Bistar par ghubaar na ho to jo zameen us ke qareeb tareen ho ya jahan us se pohanchna asaan ho, Us se tayammum kare Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ
(Al-Taghabun 64 16)
“So jahan tak ho sake tum Allah se daro.”
Aur farmaaya:
لَا تُكَلِّفُ نَفْسُ إِلَّا وُسْعَهَا
(Al-Baqrah 2 233)
“Kisi shakhs ko us ki taaqat se ziyaada takleef nahi di jaati.”
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…