Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

244. Pehle Ghusl Karo

Pehle Ghusl Karo

[Sawaal]

Mein haalat-e-janaabat mein tha, Bedaar hoa to sooraj nikalne waala tha, Agar ghusl shur’u kar deta to sooraj tul’o ho jaata’ Us haalat mein Kia tayammum kar ke Namaz padh loon ya ghusl kar ke Namaz padhon?

[Jawab]

pehle ghusl karo, Tahaarat ko mukammal karo aur phir Namaz padho, Is haalat mein tayammum jaaiz nahi hai, Jo shakhs bhool jaae ya soya rahe, Us ko hukm hai ke woh jaldi se Namaz padh le. Is ka koi kaffaara waghaira nahi hai kyunke Nabi (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

مَنْ نَامَ عَنِ الصَّلَاةِ أَوْ نَسِيَهَا فَلْيُصَلُهَا إِذَا ذَكَرَهَا لا كَفَّارَةً لَهَا إِلَّا ذَلِك

(Sahih Bukhari, Kitaab Mawaqeet Al-Salaat, Baab min nasi salaat falesal izaa zikr . . . H: 597, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid-o-Muwaz’a Al-Salaat, Baab Qaza Al-Salaat Al-Faa’itat, H: 684)

“Jo shakhs Namaz se so jaae ya bhool jaae to us se jab yaad aae padh le Is ka sirf yehi kaffaara hai.”

Aur yeh baat ma’loom hai ke tahaarat ke baghair Namaz nahi hoti kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne Irshaad farmaaya hai:

لا تُقْبَلُ صَلوةٌ بِغَيْرِ طُهُورٍ

“Tahaarat ke baghair Namaz qubool nahi hoti.”

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Wajoob Al-Tahaarat lis Salaat, H: 224)

Jis shakhs ke paas paani maujood ho us ki tahaarat paani se ho gi aur jis shakhs ke paas paani maujood na ho to us se tayammum karna ho ga.

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

فَلَمۡ تَجِدُوۡا مَآءً فَتَيَمَّمُوۡا صَعِيۡدًا طَيِّبًا فَامۡسَحُوۡا بِوُجُوۡهِكُمۡ وَاَيۡدِيۡكُمۡ مِّنۡهُ‌ ؕ

(Al-Maa’idaah 5 6)

“Tumhein paani na mil sake to paak mitti se apne munh aur haathon ka masah (Yaane tayammum) kar lo.”

Haan yeh bhi waajib hai ke Namaz ke baare mein khusoosi tawajjuh aur ehtimaam se kaam lo’ Sirhaane alarm laga kar rakh lo ya ghar waalon mein se kisi ko kaho ke waqt ho jaae to woh aap ko bedaar kar dein taakeh aap fareeza apne musalmaan bhaiyon ke hamraah Allah Ta’ala ke ghar mein adaa kar saken aur un munaafiqon ki mushaabihat se bach sakein, Jo Namaz ko taakheer se adaa karte aur sust khade ho kar padhte hain. Allah Ta’ala hamein’ Aap ko aur tamaam musalmaanon ko munafiqeen ki sifaat aur ikhlaaq se mehfooz rakhe. Wallahu waali Al-Toufeeq.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents