249. Mazi se ghusl waajib nahi
Mazi se ghusl waajib nahi
[Sawaal]
Kia mazi khaarij hone se ghusl waajib ho jaata hai?
[Jawab]
Khurooj-e-mazi se ghusl waajib nahi hota lekin agar Namaz ya tawaaf ya Qur’an-e-Majeed ko haath lagaane ka iraadah ho to phir aala-e-tanaasul aur khasiyatein ko dho kar Wuzu karna waajib hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) se jab is ke baare mein sawaal kiya gaya to Aap (ﷺ) ne farmaaya:
فِيهِ الْوُضُوءُ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-ʿIlm, Baab min istahya faamir ghairah baalsawaal, H; 132,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Mizī, H: 303)
“Is mein Wuzu hai.”
Aur jis ki mazi khaarij hoi ho us se Aap (ﷺ) ne hukm diya ke woh aala-e-tanaasul aur khasiyatein dho le. Ghusl sirf mani se waajib hota hai jab woh tapak kar lazzat ke saath khaarij ho ya aadmi din ya raat ko neend se bedaar hone ke ba’d us ka nishaan dekhe.
_Shaikh Ibn-e-Baaz
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…